~.. Khuda sach hi maiN ho

by janumanu on May 14, 2012, 03:54:38 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1200 times)
janumanu
Guest
khudaa sachi hi maiN ho aisa nahi hai
magar meri koe suntaa nahi hai

ghar apna dekh kar ye sochtaa huN
sabhi kuch hai magar aikaa nahi hai

sharafat leke tum aa to gaye ho
ye sikka khota hai chaltaa nahi hai

Muhabbat ka sila bhi ho muhabbat
ye dunia hai yahaN aisa nahi hai

meri basti hai khudgarjoN ki basti
yahaN pahla hai sab doojaa nahi hai

tujhe bhi ek din ye tazrubaa ho
jo tera hai wahi tera nahi hai

bhala kar ke bhalaa hoga yaqeenan
ye jumla hai magar sacha nahi hai

zubaaN se 'fikr' kadvaa hi bhale ho
suno insaaN buraa dil ka nahi hai
[/size][/size]
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: May 14, 2012, 03:58:27 AM »
bahut khoob dheron daad aur ek rau
Logged
Anahita
Guest
«Reply #2 on: May 14, 2012, 09:16:11 AM »
 Thumbs UP
 Applause Applause Applause Applause
Logged
sarfira
Guest
«Reply #3 on: May 14, 2012, 01:17:21 PM »
very nice dear
daad daad
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #4 on: May 14, 2012, 06:45:31 PM »
Vikas Bhai Aadaab!


Bade dinoN baad aaye Bhai... badi khushi huyi... Usual Smile
Kal hi aik janab ki gazal meiN aik sher padhkar aapki yaad
aayi thi... Usual Smile aur aaj aap aaye... isse badi khushi ki baat
kia ho sakti hai mere liye... Usual Smile

Bhai aapki kalaam ke khayaaloN ko chhu pana bhi mere bus
ki baat nahi... par aap jaante hai mujh meiN aur Sajid
sahaab meiN kia samaanta hai... tongue3

Behad umdaa gazal kahi hai bhai... Kitni bhi tareef karuN
kam raheNgi pahle padh toH luN...  Winking                     



khudaa sachi hi maiN ho aisa nahi hai
magar meri koe suntaa nahi hai

Matle ka khayaal bahut umdaa hai janab daad... Usual Smile Par Bhai ulaa meiN sachi ke baad Hi" continuosly aane se kuch ajeeb sa sound ho raha hai.. Usual Smile                   

ghar apna dekh kar ye sochtaa huN
sabhi kuch hai magar aikaa nahi hai

Bahut khoob bhai... achcha sher hai daad...
For just kidding.. yeH aikaa" lafz aapne ekta ke liye use kiya hai yaa
typo mistake ho gaya hai Alkaa ki jagaaH tongue3 Shayad aap Alkaa hi kah rahe
haiN hai naa  Giggle                   


sharafat leke tum aa to gaye ho
ye sikka khota hai chaltaa nahi hai

Kia kahne Bhai waaH behad umdaa bahut khoob .. bada
umdaa sher kaha hai .. Usual Smile daad daad daad                   


Muhabbat ka sila bhi ho muhabbat
ye dunia hai yahaN aisa nahi hai

Kia kahne Bhai bahut khoob... aapki yeH sidhi si baat kahne
ki adaa mujhe sabse jyada Bhati hai ... Usual Smile                   


meri basti hai khudgarjoN ki basti
yahaN pahla hai sab doojaa nahi hai

Bahut khoob bada achcah taNz hai daad Usual Smile                   

tujhe bhi ek din ye tazrubaa ho
jo tera hai wahi tera nahi hai

TAJRUBA" Bhai not that... and mindblowing thought .. just simply
awesome ... Usual Smile Daad daad daad ... Usual Smile                   


bhala kar ke bhalaa hoga yaqeenan
ye jumla hai magar sacha nahi hai

Kia baat hai bhai bahut khoob... aaj hi maiN aik kalaam par aik sher kaha... jiska khayaal bhi aisa hi hai..


"Zamaane ko sharaafat meiN sharafat nazar nahi aati
Buraa ho jaata hai aksar bhalaai se bhalaa karna  "
               


zubaaN se 'fikr' kadvaa hi bhale ho
suno insaaN buraa dil ka nahi hai

Bhai aap waqai saaf dil aur nek insaan ho... aachcha Maqta hai daad Usual Smile                   

[/size][/size]

Bahut khoob bhai bahut khoob... mazaa aa gaya aapki
kalaam padhkar.... behad umdaa gazal se bazm ko nawaaza hai... Usual Smile

Meri hazaaroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye...
Aur is bazm meiN bhi aate rahiye... Usual Smile

Shaad O aabaad rahiye..
Khuda Hafez... Usual Smile
                 

Logged
dolly
Guest
«Reply #5 on: May 15, 2012, 07:00:36 AM »
wonderful...ApplauseApplauseApplauseApplause
Logged
goldy_shayar
Guest
«Reply #6 on: May 15, 2012, 07:07:30 AM »
 Applause Applause Applause
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #7 on: May 15, 2012, 03:12:48 PM »
khudaa sachi hi maiN ho aisa nahi hai
magar meri koe suntaa nahi hai

ghar apna dekh kar ye sochtaa huN
sabhi kuch hai magar aikaa nahi hai

sharafat leke tum aa to gaye ho
ye sikka khota hai chaltaa nahi hai

Muhabbat ka sila bhi ho muhabbat
ye dunia hai yahaN aisa nahi hai

meri basti hai khudgarjoN ki basti
yahaN pahla hai sab doojaa nahi hai

tujhe bhi ek din ye tazrubaa ho
jo tera hai wahi tera nahi hai

bhala kar ke bhalaa hoga yaqeenan
ye jumla hai magar sacha nahi hai

zubaaN se 'fikr' kadvaa hi bhale ho
suno insaaN buraa dil ka nahi hai
[/size][/size]

very well said. good composition
Logged
janumanu
Guest
«Reply #8 on: May 27, 2012, 06:52:44 AM »
bahut khoob dheron daad aur ek rau


Shukriyaa saini sahab
Logged
janumanu
Guest
«Reply #9 on: May 27, 2012, 06:55:04 AM »
Thumbs UP
 Applause Applause Applause Applause


thanks for ur appreciation
Logged
janumanu
Guest
«Reply #10 on: May 27, 2012, 06:55:45 AM »
very nice dear
daad daad

thanks dear .... and yes .. nice ID

Logged
janumanu
Guest
«Reply #11 on: May 27, 2012, 06:56:40 AM »
very well said. good composition

thanks thanks ..... 
interesting name ... Usual Smile
Logged
janumanu
Guest
«Reply #12 on: May 27, 2012, 07:00:13 AM »
bhayee aapne meri gahzal padhi.... aapki muhabbat hai... aapne jo nishaandehi ki hai... socha uspe kuch main bhi torch maar dun apne khyaal ki Usual Smile



khudaa sachi hi maiN ho aisa nahi hai
magar meri koe suntaa nahi hai

Matle ka khayaal bahut umdaa hai janab daad... Usual Smile Par Bhai ulaa meiN sachi ke baad Hi" continuosly aane se kuch ajeeb sa sound ho raha hai.. Usual Smile  

bhaye"hi" lafz se ajeeeb sound kyun ... yeh adaygi ka ek hissa hai...


is misre ko hi ke binaa padho fir HI ke sath padho... andaaz mai kitna farq ayega....




               

shukriyaa Usual Smile

ghar apna dekh kar ye sochtaa huN
sabhi kuch hai magar aikaa nahi hai

Bahut khoob bhai... achcha sher hai daad...
For just kidding.. yeH aikaa" lafz aapne ekta ke liye use kiya hai yaa
typo mistake ho gaya hai Alkaa ki jagaaH tongue3 Shayad aap Alkaa hi kah rahe
haiN hai naa  G

bhayee aika sahi lafz hai . ektaa ya aikaa.... dono sahi lafz hai ... Usual Smile

sharafat leke tum aa to gaye ho
ye sikka khota hai chaltaa nahi hai

Kia kahne Bhai waaH behad umdaa bahut khoob .. bada
umdaa sher kaha hai .. Usual Smile daad daad daad                  

Shukriyaa

Muhabbat ka sila bhi ho muhabbat
ye dunia hai yahaN aisa nahi hai

Kia kahne Bhai bahut khoob... aapki yeH sidhi si baat kahne
ki adaa mujhe sabse jyada Bhati hai ... Usual Smile                  

thanks dear

meri basti hai khudgarjoN ki basti
yahaN pahla hai sab doojaa nahi hai

Bahut khoob bada achcah taNz hai daad Usual Smile                  

Shukriyaa
tujhe bhi ek din ye tazrubaa ho
jo tera hai wahi tera nahi hai

TAJRUBA" --
haha ... lagtaa hai iske liye coaching hi leni padegi barnaa yaha iske binaa guzara mushkil hai Usual Smile

Bhai not that... and mindblowing thought .. just simply
awesome ... Usual Smile Daad daad daad ... Usual Smile                  

Usual Smile

bhala kar ke bhalaa hoga yaqeenan
ye jumla hai magar sacha nahi hai

Kia baat hai bhai bahut khoob... aaj hi maiN aik kalaam par aik sher kaha... jiska khayaal bhi aisa hi hai..

Usual Smile

"Zamaane ko sharaafat meiN sharafat nazar nahi aati
Buraa ho jaata hai aksar bhalaai se bhalaa karna  "                

nice one ....

zubaaN se 'fikr' kadvaa hi bhale ho
suno insaaN buraa dil ka nahi hai

Bhai aap waqai saaf dil aur nek insaan ho... aachcha Maqta hai daad Usual Smile                  
bas bas yaar Usual Smile
fir milte hai ..
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:04:20 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.125 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer