khush hooN haaN, tujhe GANWAA kar bhi...!!

by ghayal_shayar on July 02, 2010, 11:00:28 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1312 times)
ghayal_shayar
Guest
teri bewafaai kal parson ki baat lagti hai,, jo dekhta hun tasveer teri, to barson ki baat lagti hai,, ishq ke bostaa.N(upwan) me aaj sirf kaanton ka chaman hai,, dil laga ke usko todna hi shayad zamaane ka chalan hai,, zindagi me laga jo mushkilon ka mela hai,, na jane kyun har raahi akelaa hai,, ishq kyun dil ki zanjeer ho gayi,, shayad yun "ghayal" hona hi meri taqdeer ho gayi,, tujhse is kadar jo main door ho gaya,, lahoo me kalam dubaa kar chalane ko majboor ho gaya................


haan sach majboor ho gaya..............





Hue na juda tujhse door jaa kar bhi,
Khush hun haan! tujhe gaNwaa kar bhi…

Tadap rahi rooh, use yaad kar har pal,
Mila chain kahaaN use bhulaa kar bhi…

Syaah-e-ashq* se bhar di kitaaben kitni,
Dard raha jawaa.N dil ko mitaa kar bhi..

*aaNsuon ki syahi,, ink of tears...!!

Gili daraazon me dafn unki tasviren,
Jinhe rakha tha kabhi sajaa kar bhi…

In chasmon me chupa dard ka khazana,
Kam na hua, sainkdon moti lutaa kar bhi…

Paane ki aarzoo rakhte hain sabhi“ghayal”,
Aur humne, khoya hai unhe paa kar bhi…
Logged
Noorafza
Guest
«Reply #1 on: July 04, 2010, 10:46:09 PM »
Ghayal ji, aapka kalam dil ko chu gaya! Shayad isliye pyar ko rog kehte hain, juda hoke bhi jab dil unke liye dhadakta hai. . .
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #2 on: December 24, 2011, 12:44:52 PM »
teri bewafaai kal parson ki baat lagti hai,, jo dekhta hun tasveer teri, to barson ki baat lagti hai,, ishq ke bostaa.N(upwan) me aaj sirf kaanton ka chaman hai,, dil laga ke usko todna hi shayad zamaane ka chalan hai,, zindagi me laga jo mushkilon ka mela hai,, na jane kyun har raahi akelaa hai,, ishq kyun dil ki zanjeer ho gayi,, shayad yun "ghayal" hona hi meri taqdeer ho gayi,, tujhse is kadar jo main door ho gaya,, lahoo me kalam dubaa kar chalane ko majboor ho gaya................


haan sach majboor ho gaya..............





Hue na juda tujhse door jaa kar bhi,
Khush hun haan! tujhe gaNwaa kar bhi…

Tadap rahi rooh, use yaad kar har pal,
Mila chain kahaaN use bhulaa kar bhi…

Syaah-e-ashq* se bhar di kitaaben kitni,
Dard raha jawaa.N dil ko mitaa kar bhi..

*aaNsuon ki syahi,, ink of tears...!!

Gili daraazon me dafn unki tasviren,
Jinhe rakha tha kabhi sajaa kar bhi…

In chasmon me chupa dard ka khazana,
Kam na hua, sainkdon moti lutaa kar bhi…

Paane ki aarzoo rakhte hain sabhi“ghayal”,
Aur humne, khoya hai unhe paa kar bhi…



waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #3 on: October 29, 2012, 01:49:20 AM »
noorafza ji aur adil ji, hausla afzaayi ka bahut bahut shukriya, bas aage v yuNhi saath nibhaate raheN...
Logged
unltd_music
Guest
«Reply #4 on: March 23, 2013, 10:56:10 PM »
Wah ! Bohat khoob likha hai aap ne
Logged
suman59
Guest
«Reply #5 on: March 24, 2013, 05:16:27 PM »
bahut khoob bahut dard hai ... vry nice Thumbs UP
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 07:56:10 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer