khushi kis haq se maange~~~ saahil

by salil2002 on September 05, 2009, 09:24:19 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2330 times)
salil2002
Guest
daur -e- shikayat hai, maafi kis kis se maange
har ghar mein bhookhe hai , hum roti kisse maange

diye jalaye toh kis raah par, andhera har kaahin hai
charagon kii roshni panaah maange toh kis se maange

har dil ko tod gaya hai gham uska andar tak
hum khushi maange bhi toh, kis haq se maange

khuda ne de kar zindgi, phir aise chheen li
darte hai sab kii ab dua maange ya na maange

oos par sitam yeh khoob hai nafrat ka zamane main
sochte hai kayi baar kissii se mohabbat maange ya na maange
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: September 05, 2009, 09:26:11 AM »
Waah Waah Waah Kya Khoob Kahaa Hai..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #2 on: September 05, 2009, 09:28:30 AM »


Jinhe Nafrat Hai, Wo Aankh Bharke Dekhte Hain Hume,.
Jinse Mohabbat Hai, Unse Kabhi Nazrein Na Mil Saki,.

Karte Rahe Umar Bhar Hifazaat Us Gulistaan Ki Hum,.
Naseeb Mein Jiske "Azeem, Koi Kali Na Khil Saki,.

-Azeem-
Logged
salil2002
Guest
«Reply #3 on: September 05, 2009, 09:32:52 AM »


Jinhe Nafrat Hai, Wo Aankh Bharke Dekhte Hain Hume,.
Jinse Mohabbat Hai, Unse Kabhi Nazrein Na Mil Saki,.

Karte Rahe Umar Bhar Hifazaat Us Gulistaan Ki Hum,.
Naseeb Mein Jiske "Azeem, Koi Kali Na Khil Saki,.

-Azeem-
woh gul kya khile jise gulistaan na mile
woh khwab kya pale jise teri aankhon ka jahan na mile
aur azeem mere dost woh sher kya bane
jise teri saadgi. aue tere kalam ka zazbaat na mile
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #4 on: September 05, 2009, 09:38:40 AM »
woh gul kya khile jise gulistaan na mile
woh khwab kya pale jise teri mohabbat na mile
aur azeem mere dost eoh sher kya bane
jise teri saadgi. tera saath na mile





Tere Saath Sadaa Mera Saath Rahega,.
Tere Aasuon Ke Saath, Mera Ashq Bhi Bahega,.

Logged
salil2002
Guest
«Reply #5 on: September 05, 2009, 09:45:47 AM »
meri aankhon ka ashq beh k tera ashq dhoondega
kii sun k siskiyaan ab aansu hum bahaate hain
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #6 on: September 05, 2009, 09:47:05 AM »
meri aankhon ka ashq beh k tera ashq dhoondega
kii sun k siskiyaan ab aansu hum bahaate hain

Apne Gham Bayaan Karne Ka,Koi Aur Dhang Ijaad Kar,.
Teri Aankhon Ka Paani To Puraana Hoga,.

-Waseem Barelvi-
Logged
salil2002
Guest
«Reply #7 on: September 05, 2009, 01:51:29 PM »
Apne Gham Bayaan Karne Ka,Koi Aur Dhang Ijaad Kar,.
Teri Aankhon Ka Paani To Puraana Hoga,.

-Waseem Barelvi-

nice sharing azeem bhai

ashq dekh kar meri aankhon ka bhi muskuraaye woh
goya woh nadaan hai, fark na bsamajh paaye
Logged
angel4u
Guest
«Reply #8 on: September 05, 2009, 03:15:20 PM »
bahut khoob salil n Azeem Usual Smile
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #9 on: September 06, 2009, 04:51:11 AM »
Wah wah bahut khoob Saahil ji really touching and mindblowing creation.
Beautiful sharing Azeem bhai. Thumbs UP Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
salil2002
Guest
«Reply #10 on: September 06, 2009, 08:10:51 AM »
bahut khoob salil n Azeem Usual Smile
bahut bahut shukriya huzena dear
Logged
Sammual
Guest
«Reply #11 on: September 06, 2009, 08:46:02 AM »
Bahut Khoob Sahil Ji And Azeem Ji. Applause
Logged
salil2002
Guest
«Reply #12 on: September 06, 2009, 01:41:40 PM »
bahut shukriya sam bhai magar dost kucch likh jaatey toh achcha tha

badi door chala aaya hoon main bhatakte huye
ab sochta hoon ghar kii roti achchi thi
Logged
Roja
Guest
«Reply #13 on: September 06, 2009, 02:01:39 PM »
daur -e- shikayat hai, maafi kis kis se maange
har ghar mein bhookhe hai , hum roti kisse maange

diye jalaye toh kis raah par, andhera har kaahin hai
charagon kii roshni panaah maange toh kis se maange

har dil ko tod gaya hai gham uska andar tak
hum khushi maange bhi toh, kis haq se maange

khuda ne de kar zindgi, phir aise chheen li
darte hai sab kii ab dua maange ya na maange

oos par sitam yeh khoob hai nafrat ka zamane main
sochte hai kayi baar kissii se mohabbat maange ya na maange

Wah bahut khoob bahut khoob  Applause Applause Applause
Logged
salil2002
Guest
«Reply #14 on: September 06, 2009, 02:36:50 PM »
Wah bahut khoob bahut khoob  Applause Applause Applause
bahuit bahut shuriya roja dear

khshi meri itni door chali gayi mujhse
ab ghamon ko hi apne paas paata hoon
qaid kar leta hoon khud ko isliye deewaron main
kaahin yeh bhi na chale jaaye jinhe apne paas pata hoon
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 10:02:09 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer