khushnaseeb hoon main...

by diya786 on December 04, 2008, 10:28:43 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1624 times)
diya786
Guest
khushnaseeb hoon main ki mujhe yeh tanhayee mili
khushi mili  nahin par
jeene ke liye mohabaat ke gham to mile
mehboob ki dilkash aawaaz ki jagah
apne toote dil ki rooti hui aawaaz to mili
apne haath mein unka haath na sahi
par dil mein unke diye zakhm to mile
unka pyar na sahi
unki nafrat to mili
unki wafa na sahi
unki bewafaai to mili
zindagi guzaarne ke liye
unki kuch haseen yaadein to mili

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Main nashay main hoon by Syed Imran in Ghazals
Fazaoon Main Bikherta Dard Main Samait Laiti Hoon by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
itna khushnaseeb bhi nahin by NABROY in Miscellaneous Shayri
khushnaseeb by ADITYA1906 in Shayri for Khumar -e- Ishq
May Itna Khushnaseeb Nahi by Rajesh Harish in Shayri for Khumar -e- Ishq
Rajesh Harish
Guest
«Reply #1 on: December 04, 2008, 10:41:41 AM »
Nice one Diya Ji

Tanhai mein jeene ka maja kuch aur hai
Unke diye hue gum ke sahare jee lenge
Har zakham ko hara rakh kar jeena hai
Unke haseen yaaden ke sahare jee lenge
Logged
diya786
Guest
«Reply #2 on: December 04, 2008, 10:46:57 AM »
SHUKRIYA RAJESH JI notworthy

NICE LINES BY YOU TOO
Applause
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: December 04, 2008, 11:34:53 AM »
khushnaseeb hoon main ki mujhe yeh tanhayee mili
khushi mili  nahin par
jeene ke liye mohabaat ke gham to mile
mehboob ki dilkash aawaaz ki jagah
apne toote dil ki rooti hui aawaaz to mili
apne haath mein unka haath na sahi
par dil mein unke diye zakhm to mile
unka pyar na sahi
unki nafrat to mili
unki wafa na sahi
unki bewafaai to mili
zindagi guzaarne ke liye
unki kuch haseen yaadein to mili



Bohat Achcha Likha Hai,.
Kashish Ji Aapne,.

Khushnaseebi Ye, Har Kisi Ko Milti Nahi,.
Sab Ke Baagh Mein Gham Ki Kali Khilti Nahi,.

Khushi Tumse Door Hui, Zindagi Ko Tanhaai Mili,.
Kismat Sawar Na Saki, Tumhaare Mukaddar Ko Ruswaai Mili,.

Itna Sab Kuch Hogaya, Phir Bhi Khushnaseeb Samajhte Ho Tum,.
Waah "Diya" Kya Baat Hai Tumhaari, Dil Mein Dard Bharke Haste Ho Tum,.

______________________________________-Jaanasheen-


Logged
diya786
Guest
«Reply #4 on: December 05, 2008, 09:59:04 AM »
Bahut bahut shukriya Azeem
koshish ki thi bahut dino ke baad likhne ki accha laga ki aapko pasand aaya

Bas usi ke gham mein jeena seekh liya
apne har dard par muskurana seekh liya
yeh kaisi ajeeb kismat hai meri bhi
jahan "kashish" bhi hai aur inkaar bhi...
Logged
diya786
Guest
«Reply #5 on: December 05, 2008, 10:01:01 AM »
Bohat Achcha Likha Hai,.
Kashish Ji Aapne,.

Khushnaseebi Ye, Har Kisi Ko Milti Nahi,.
Sab Ke Baagh Mein Gham Ki Kali Khilti Nahi,.

Khushi Tumse Door Hui, Zindagi Ko Tanhaai Mili,.
Kismat Sawar Na Saki, Tumhaare Mukaddar Ko Ruswaai Mili,.

Itna Sab Kuch Hogaya, Phir Bhi Khushnaseeb Samajhte Ho Tum,.
Waah "Diya" Kya Baat Hai Tumhaari, Dil Mein Dard Bharke Haste Ho Tum,.

______________________________________-Jaanasheen-




kya baat hai Azeem sahab kamaal ka likha hai aapne bhi
shayari ka jawaab shayari mein dena to koi aapse seekhe
its great!!!
Applause Applause

Logged
k.shael
Guest
«Reply #6 on: December 05, 2008, 10:43:54 AM »
 Applause  Applause
BAHUT KHOOB DIYA SIS,
REALLY GOOD FEELINGS EXPRESSED BY U,
BY. K.SHAEL
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #7 on: December 05, 2008, 10:55:15 AM »
Bahut bahut shukriya Azeem
koshish ki thi bahut dino ke baad likhne ki accha laga ki aapko pasand aaya

Bas usi ke gham mein jeena seekh liya
apne har dard par muskurana seekh liya
yeh kaisi ajeeb kismat hai meri bhi
jahan "kashish" bhi hai aur inkaar bhi...



bahut hi badiya kaha aap neh DIYA


HA NA, HA NA MEH, HO GAYA THA PYAR
ISSEY PEHLEY KI SAMAJ PATEY
DIL KOH CHURA CHUKA THA MERA PYAR

YEH KYA HUA, YEH KAISEY HUA
SOCHTEY HI REH GAYE
NAZREY KHULI TOH SAATH BAITHA THA MERA PYAR
HA NA, HA NA MEH , HO GAYA THA PYAR


JASBIR SINGH
hira_company@yahoo.com
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #8 on: December 05, 2008, 09:24:32 PM »
Bohat khoob Diya, Rajesh & Azeem...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: December 07, 2008, 10:35:27 AM »
kya baat hai Azeem sahab kamaal ka likha hai aapne bhi
shayari ka jawaab shayari mein dena to koi aapse seekhe
its great!!!
Applause Applause


Bohat khoob Diya, Rajesh & Azeem...

Shukriya Kashish Ji,.
Aur Aryaan Bhaijaan,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: December 07, 2008, 10:41:28 AM »
Khushnaseeb Khud Ko Main Kaise Kahoon,.
Mere Paas To Apna Naseeb Nahi,.

Gham Uske Aur Bhi,Hazaaron Seh Leta Main,.
Kaash Wo Mujhe Baahon Mein Leta Ek Baar,.
Wo Mujhe Gham Dekar Bhi Mere Kareeb Nahi,.

Khushnaseeb Unhe Kehte Hain, Jinka Koi Hota Hai,.
Ponch Dete Hain Aansoon Aanchal Se Jab Wo Rota Hai,.

Aisi Apni Kismat Nahi Doston,.
Kisi Ko Humse Mohabbat Nahi Doston,.

________________________-Jaanasheen-

Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #11 on: January 21, 2009, 02:46:15 AM »
Bohat khoob Diya, Rajesh & Azeem...
Thanks Aryaan Ji
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:28:53 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer