<>*Khwaab adhure*<> Khwaab adhure kai meri palkon me chhipe rehte hain
Tute kaanch ki kirchan se aankhon me chubhte rehte hain
Reh jati hun main har raat ko bas tadapkar yunhi
Jab ye meri aankhon se bas ninden churate rehte hain
Sehmi si chupchap takti rehti hun main inhe kafi der tak
Jab savere ye mujhe bistar pe apne bikhre hue milte hain
Kasmasate aur simatte aur kabhi mujhpar haste hue
Ye mere nainon se har roz ashk banke pighalte hain
Sametna chahti hun jab main inhe hatheliyon me apni
Ye aur bhi zyada mere bistar ki chaadar se chipakte hain
Uthakar inhe main fir sahejkar rakhti hun apni dairy me
Ye har raat wahan se fir chupke se bhaag nikalte hain
Har raat ki tarah aaj bhi ye meri aanhon me bas jayenge
Dekhna hai kal ye kitne gehre meri palkon me chubhte hain….!!!
anu ji bahut badhiya poem he apki..
improvement to ho hi raha he apme..
dher saari daad~
bht bht khoob anu di...
3rd one bht accha laga mujhe...
bht pahle kuch likha tha isi theme par..
adhura hai par share kar rahi hu...
Aankho me sari raat ghule..
tera sapna din or raat jale..
main tanhayi me jab baithu...
ye sapna meri aankho me pale..
nice reply ki koshish priyaaa..
eise hi paglati ..mera matlab likhti rahoo..hihi
manzil-e-ishq aap ki shayari puri karne ki ye koshish............
adhura hai vo sapna bhale
use puri karne ki aas is dil me jale
nice one heena ..
suna tha raaton ko aksar dard bahut huaa karta hai...
aaj khuli aankh teri aahat par to mehsus bhi kar liya humne... !
bahut khubsurat Kasak ji... bahut din baad aaj yo par aaye hain aur aap ki ye Peshkash dekhi dil khush ho gaya... !
aap yunhi likhte rehiye... hum to kisi kaabil rahe nahin ab...
Intezar !
intezaar ji bade gam me lag rahe hoo...
par likha bada achha he..
badhiya reply..
daad`