KHWAAB SO JAATE ... ZARRAA

by zarraa on October 19, 2013, 04:09:11 PM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 1700 times)
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
zulmat-e-shab meiN gharq ho jaate
khwaab marte naheeN haiN kho jaate


(zulmat-e-shab = darkness of night, gharq = drown)


chashm-e-bedaar kis qadar bekas
ashq beh jaate khwaab so jaate


(bekas = friendless, chashm-e-bedaar = sleepless eye)


kashti-e-aas behr-e-imkaaN meiN
jis ko girdaab-e-shaq dubo jaate


(behr = sea, imkaaN = possibilities, girdaab = whirlpool)


yooN to nik’le the soo-e-zeest qadam
khud-b-khud simt-e-daar ko jaate


(soo-e-zeest = in the direction of life, simt-e-daar = towards gallows)


ashqoN se kehkahe kiye taameer
log haNste haiN jab to ro jaate


(taameer = build)


daagh-e-daaman  khurach diye jitne
daagh-e-dil aur gehre ho jaate



mat gumaaN kar fasaane pe apne
kar daghaa tujh se kissa-go jaate


(kissa-go = story tellers)


aaNkheiN dekheiN n un ke kaan suneiN
bas zubaan aazmaaye wo jaate



jin ki rehmat se bhar gaya tha kabhi
aaj daaman wahee bhigo jaate


(rehmat = kindness)


yaar mil kar puraane kehte haiN
log bhi kya se kya haiN ho jaate



jitne mushtaaq utne hi naadim
un ke ghar jab naheeN hoN wo jaate


(mushtaaq = eager, naadim = ashamed)


chaaheiN jitne yahaaN rahe naa-shaad
sab ko keh kar ki khush raho jaate


(naa-shaad = unhappy)


haazireeN khud meiN mehv haiN “zarraa”
aisee mehfil se ab chalo jaate


(haazireeN = attendees, mehv = immersed)



ZARRAA
[/b][/i]
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: October 19, 2013, 04:24:42 PM »
bahut hee pukhtaa kalaam zarraa saheb dili daad qubool karen
Logged
khujli
Guest
«Reply #2 on: October 19, 2013, 04:30:39 PM »
zulmat-e-shab meiN gharq ho jaate
khwaab marte naheeN haiN kho jaate
Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP

(zulmat-e-shab = darkness of night, gharq = drown)


chashm-e-bedaar jag rahee tan’haa
ashq beh jaate khwaab so jaate


(chashm-e-bedaar = sleepless eye)


kashti-e-aas behr-e-imkaaN meiN
jis ko girdaab-e-shaq dubo jaate
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

(behr = sea, imkaaN = possibilities, girdaab = whirlpool)


yooN to nik’le the soo-e-zeest qadam
khud-b-khud simt-e-daar ko jaate


(soo-e-zeest = in the direction of life, simt-e-daar = towards gallows)


ashqoN se kehkahe kiye taameer
log haNste haiN jab to ro jaate


(taameer = build)


daagh-e-daaman ko jitna bhi khurcha
daagh-e-dil aur gehre ho jaate



mat gumaaN kar fasaane pe apne
kar daghaa tujh se kissa-go jaate
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

(kissa-go = story tellers)


aaNkheiN dekheiN n un ke kaan suneiN
bas zubaan aazmaaye wo jaate



jin ki rehmat se bhar gaya tha kabhi
aaj daaman wahee bhigo jaate


(rehmat = kindness)


yaar mil kar puraane kehte haiN
log bhi kya se kya haiN ho jaate



jitne mushtaaq utne hi naadim
un ke ghar jab naheeN hoN wo jaate


(mushtaaq = eager, naadim = ashamed)


chaaheiN jitne rahe yahaaN naa-shaad
sab ko keh kar ki khush raho jaate


(naa-shaad = unhappy)


haazireeN khud meiN mehv haiN “zarraa”
aisee mehfil se ab chalo jaate


(haazireeN = attendees, mehv = immersed)



ZARRAA
[/b][/i]


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 17 hours and 51 minutes.
Posts: 18610
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #3 on: October 19, 2013, 04:32:39 PM »
waah waah waah waah zarra ji waah bohut khub
Logged
Ssaagar
Guest
«Reply #4 on: October 19, 2013, 05:03:39 PM »
just a fabulous creation
..... no comments ...
I would like to say my heartily thanks to u for mentioning meaning of hard wordsss...
Logged
RAJAN KONDAL
Guest
«Reply #5 on: October 19, 2013, 05:25:57 PM »
zulmat-e-shab meiN gharq ho jaate
khwaab marte naheeN haiN kho jaate


(zulmat-e-shab = darkness of night, gharq = drown)


chashm-e-bedaar jag rahee tan’haa
ashq beh jaate khwaab so jaate


(chashm-e-bedaar = sleepless eye)


kashti-e-aas behr-e-imkaaN meiN
jis ko girdaab-e-shaq dubo jaate


(behr = sea, imkaaN = possibilities, girdaab = whirlpool)


yooN to nik’le the soo-e-zeest qadam
khud-b-khud simt-e-daar ko jaate


(soo-e-zeest = in the direction of life, simt-e-daar = towards gallows)


ashqoN se kehkahe kiye taameer
log haNste haiN jab to ro jaate


(taameer = build)


daagh-e-daaman  khurach diye jitne
daagh-e-dil aur gehre ho jaate



mat gumaaN kar fasaane pe apne
kar daghaa tujh se kissa-go jaate


(kissa-go = story tellers)


aaNkheiN dekheiN n un ke kaan suneiN
bas zubaan aazmaaye wo jaate



jin ki rehmat se bhar gaya tha kabhi
aaj daaman wahee bhigo jaate


(rehmat = kindness)


yaar mil kar puraane kehte haiN
log bhi kya se kya haiN ho jaate



jitne mushtaaq utne hi naadim
un ke ghar jab naheeN hoN wo jaate


(mushtaaq = eager, naadim = ashamed)


chaaheiN jitne yahaaN rahe naa-shaad
sab ko keh kar ki khush raho jaate


(naa-shaad = unhappy)


haazireeN khud meiN mehv haiN “zarraa”
aisee mehfil se ab chalo jaate


(haazireeN = attendees, mehv = immersed)



ZARRAA
[/b][/i]
icon_salut icon_salut Clapping Smiley Clapping Smiley :clapping:bhut umda bhut khub
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #6 on: October 19, 2013, 06:19:40 PM »

Zarraa Sahaab Aadaab...!

Bahut khoob janab... Kia kahne aapke purzor khayaaloN ke bade khoob fankaar hai janab aap...

Is kafiye par itne saare ashaaroN ki soNch bhi nahi paaye the hum... behad umdaa khayaalaat zahir kiye haiN janab...

Is khoobsurat aur umdaa kalaam par humari dheroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye...

Likhate rahiye... bazm ko roshan karte rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda Hafez...
Logged
aqsh
Guest
«Reply #7 on: October 19, 2013, 07:40:55 PM »
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
Waaaah waah aur sirf waaaaaaaaaaaaaaaaaah zarra ji... bade hi mushkil qaafiye ko bakhoobi nibhaya hai aapne... aapko is kalaam ke liye dili daaaaaad qubool hoo...
Logged
nashwani
Guest
«Reply #8 on: October 19, 2013, 09:08:23 PM »
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

waah waaah waah zarra jee kya kehne..

Zabardast peshkash rahi hai..

Har ek sher laajawab..

Dhero dhero daad..happy9
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #9 on: October 20, 2013, 12:30:54 AM »
kya kahneZarra saheb . Ghazal ka har sher lajawaab takhaayyulmpesh karta hai . kis kis ki tareef karoon . phir bhi ye ashaar meri nazar mein sab se achhe hai n.aap ko bahut mubarakbaad.

zulmat-e-shab me gharq ho jaate
khwab marte nahin hain kho jaate

kashti-e-aas behr-e-imkaaN meiN
jis ko girdaab-e-shaq dubo jaate


yooN to nik’le the soo-e-zeest qadam
khud-b-khud simt-e-daar ko jaate
Logged
mkv
Guest
«Reply #10 on: October 20, 2013, 12:52:21 AM »
zulmat-e-shab meiN gharq ho jaate
khwaab marte naheeN haiN kho jaate

chashm-e-bedaar kis qadar bekas
ashq beh jaate khwaab so jaate

kashti-e-aas behr-e-imkaaN meiN
jis ko girdaab-e-shaq dubo jaate

yooN to nik’le the soo-e-zeest qadam
khud-b-khud simt-e-daar ko jaate

daagh-e-daaman  khurach diye jitne
daagh-e-dil aur gehre ho jaate

haazireeN khud meiN mehv haiN “zarraa”
aisee mehfil se ab chalo jaate

Bahut khoob Zarra saheb
ye ashaar bahut khoob rahe

Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #11 on: October 20, 2013, 01:54:31 AM »
Kya bat hai.............
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #12 on: October 20, 2013, 03:22:02 PM »
bahut hee pukhtaa kalaam zarraa saheb dili daad qubool karen

Saini sahab ... Is qalaam ko kisi bhi laayak samajhne ka shukriya
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #13 on: October 20, 2013, 03:41:23 PM »
kashti-e-aas behr-e-imkaaN meiN
jis ko girdaab-e-shaq dubo jaate

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
parinde
Guest
«Reply #14 on: October 20, 2013, 03:51:51 PM »
 Applause Applause Applause Applause
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 05:37:02 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.138 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer