ANGEL JI----KHWAB TO KHUD BHARAM HI HOTE HAIN.....
MAIN HER RAAT UNSE MILTA HU
HER SUBAH YE BHARAM TUT JATA HAI
KAI BAR SOCHTA HU SUBAH HO HE N.....
Apne Bistar Pe Bahut Der Se Main Neem Daraz,
Sochta Tha Ke Wo Is WaQt Kahan Par Hoga,
Main Yahan Hoon Magar Us Koocha-E-Rang-O-Boo Mein,
Roz Ki Tarahse Wo Aaj Bhi Aaya Hoga,
Aur Jab Usne Wahan Mujhko Na Paaya Hoga,
Aap Ko Ilm Hai Wo Aaj Nahi Aayi Hai?
Meri Har Dost Se Usne Yehi Puchha Hoga,
Kyon Nahi Aayi Wo? Kya Baat Hui Hai Aakhir?
Khud Is Baat Par Sau Baar Wo Uljha Hoga,
Kal Wo Ayegi To Main Usse Nahi Bolunga,
Aap Hi Aap Ke Baar Wo Rootha Hoga,
Wo Nahi Hai To Bulandi Ka Safar Kitna Kathin,
Sidiyan Chadte Hue Usne Socha Hoga,
Raahdaari Mein, Hare Lawn Mein, Phoolon Ke Kareeb,
Usne Har Simt Mujhe Aa Ke Dhunda Hoga,
Naam Bhulne Se Jo Mera Kahin Aaya Hoga,
Gair Mehsoos Tareeke Se Wo Chaunka Hoga,
Ek Jumle Ko Kayi Baar Sunaya Hoga,
Baat Karte Hue Sau Baar Woh Bhoola Hoga,
Ye Jo Ladki Nayi Aayi Hai Kahin Wo To Nahi,
Usne Har Chehra Yehi Sochke Dekha Hoga,
Jaan-E-Mehfil Hai Magar Aaj FaQt Mere Bagair,
Hai Kis Darja Wohi Bazm Mein Tanha Hoga,
Kabhi Sannaton Se Wehshat Jo Hui Hogi Use,
Usne Besakhta Phir Mujhko Pukara Hoga,
Chalte Chalte Koi Maanoos Si Aahat Paakar,
Doston Ko Bhi Kisi Uzr Se Roka Hoga,
Yaad Karke Mujhe Nam Ho Gayi Hongi Palkein,
Aankh Mein Pad Gaya Kuch Keh Ke Taala Hoga,
Aur Ghabra Ke Kitabon Mein Jo Le Hogi Panah,
Har Satr Mein Mera Chehra Ubhar Aaya Hoga,
Jab Mili Hogi Use Meri Haalaat Ki Khabar,
Usne Aahista Se Deewar Ko Thama Hoga,
IttefaQan Mujhe Us Shaam Meri Dost Mili,
Maine Puchha Ke Suno, "Aye The Kya Wo? Kaise The?"
Usne Ek Lamhe Ko Dekha Mujhe Aur Phir Hans Di,
Us Hansi Mein To Wo Talkhi Thi Ke Usse Aage,
Kya Kaha Usne Mujhe Yaad Nahi Hai Lekin,
Itna Malum Hai..........
Itna Malum Hai.....
"KHWABON KA BHARAM TOOT GAYA"