"Khwaish" Ka To Bas Itna Sa Ek Sawaal Hai.......

by khwaish on February 29, 2012, 10:21:50 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 2806 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Kal Hi ki Ek Baat Hai, Meri Bbm Chat Ke zariye Kisi Se Baat-cheet Chal Rahi Thi, Uss Dauraan Uss
Shakhs Ne Mujhse Pucha Ke Kaheen Tum "Paki" To Nahi..
Main Hairaan Reh Gaya,Maine Kaha Ji "Paki" To Nahi Hoon Main
Haan Par "Indian" hoon..Yeh Kehte Hi Uss Shakhs Ki Baatcheet Ka Lehja Badal Sa Gaya..Maine Pucha Agar "Pakistani Yaa "Hindustani" rahoon To Kya
Fark Padhta Hai..To Uss Ajnabee Ne Bluntly Mujhe Yeh Jawaab Diya Ke "No, I Don't Talk To Asians"
 Aage Maine Usse Aisi Baatein Kaheen Ke Woh Shakhs Khamosh Sa Reh Gaya Jaise Uske Paas Meri Baaton Ka Koi jawab Hi Naa Tha  Aur Aakhir Mein
Mujhse Muaafi Bhi Maang Baitha..Main yeh sab isliye Bata Raha Hoon
Kyonki Mujhe Khud Bahut Afsos Hua Ke Yeh Duniya Ki Kaisi Chaal-Chalan Hai..Aaj Bhi Dharam-Mazhab,Rang Ka Bhed-Bhaau mein
Insaaniyat Hi Akeli Lahoon-Luhaan Hui Hai...Zaroori Nahi Ke Har Koi Aisa Ho Par Yeh Baat Bhi Nazar-Andaaz Nahi kiya Jaa Sakta Ke
Aise Bhi Log iss Duniya Mein Rehte Hai...Kal Ke Iss Kisse Ke Baad Dil Ho Aaaya Ke Kuch Iss Topic Par Likhoon..Main Meri Soch
Ke Saath insaaf Kar Paaya Hoon Yaa Nahi,Pata Nahi, Ab Aap Hi Faisla Kijiye..




Zakhm Khaane Par Pata Chala
Ke Sabka Ka Khool To Yahan Laal Hai

Hindu Musalmaan Sikh Isaai Sab Jee Rahe Hai.!!!
Par Kya Inme Insaan Bhi Jee Raha Hai, Ab yeh Sawal Hai

Pyaar Mohabbat Kabhi Dharam-Mazhab Nahi Dekhta..!!!
Phir Kyon Haathon mein Phoolon Ki Jageh Talwaar Hai

Zindagi Ke Aaene Mein Khud Ko Dekhkar Hairaan Reh Gaya..!!!!!
   Insaan Bana Baitha Kya Apna yeh Haal Hai..!!!!

Rabb Ki Banayi Hui Duniya Mein Jaat-Paat ka Bhed Bhaau!!
Har Jagah Har Taraf Aadmi  Kar Raha Sirf Bawaal hai..

"Naam" Aur "Desh" Ka Pata Puchne Par Aage Ki Baatcheet!!!!
Aisi Duniya Mein Ab Jeena Bhi Ban baitha Muhaal Hai..

Gora-Kaala, Safedi Ka yeh Ajeeb Saa  Khel Niraala!!!!!
Rang Gora Ho To Bas!!Chalne Mein Chahe Langde Jaisi Chaal Hai

Jab Kissi Se Milo Usske  Dil mein Jhaank Kar dekho...!!!!!!!
Mazhab Puchkar Dosti Karne Walo, Kya Tum Insaan Ho???


        "Khwaish"Ka To Bas Itna Sa Ek Sawaal Hai...

                         ~~~~~Khwaish~~~~~
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: February 29, 2012, 10:27:41 AM »
MUskil yahee hai mere bhaai ham naheen sochte ki ham pahle sirf aur sirf insaan hain. good thoughts keep it up
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #2 on: February 29, 2012, 10:32:42 AM »
Kal Hi ki Ek Baat Hai, Meri Bbm Chat Ke zariye Kisi Se Baat-cheet Chal Rahi Thi, Uss Dauraan Uss
Shakhs Ne Mujhse Pucha Ke Kaheen Tum "Paki" To Nahi..
Main Hairaan Reh Gaya,Maine Kaha Ji "Paki" To Nahi Hoon Main
Haan Par "Indian" hoon..Yeh Kehte Hi Uss Shakhs Ki Baatcheet Ka Lehja Badal Sa Gaya..Maine Pucha Agar "Pakistani Yaa "Hindustani" rahoon To Kya
Fark Padhta Hai..To Uss Ajnabee Ne Bluntly Mujhe Yeh Jawaab Diya Ke "No, I Don't Talk To Asians"
 Aage Maine Usse Aisi Baatein Kaheen Ke Woh Shakhs Khamosh Sa Reh Gaya Jaise Uske Paas Meri Baaton Ka Koi jawab Hi Naa Tha  Aur Aakhir Mein
Mujhse Muaafi Bhi Maang Baitha..Main yeh sab isliye Bata Raha Hoon
Kyonki Mujhe Khud Bahut Afsos Hua Ke Yeh Duniya Ki Kaisi Chaal-Chalan Hai..Aaj Bhi Dharam-Mazhab,Rang Ka Bhed-Bhaau mein
Insaaniyat Hi Akeli Lahoon-Luhaan Hui Hai...Zaroori Nahi Ke Har Koi Aisa Ho Par Yeh Baat Bhi Nazar-Andaaz Nahi kiya Jaa Sakta Ke
Aise Bhi Log iss Duniya Mein Rehte Hai...Kal Ke Iss Kisse Ke Baad Dil Ho Aaaya Ke Kuch Iss Topic Par Likhoon..Main Meri Soch
Ke Saath insaaf Kar Paaya Hoon Yaa Nahi,Pata Nahi, Ab Aap Hi Faisla Kijiye..




Zakhm Khaane Par Pata Chala
Ke Sabka Ka Khool To Yahan Laal Hai

Hindu Musalmaan Sikh Isaai Sab Jee Rahe Hai.!!!
Par Kya Inme Insaan Bhi Jee Raha Hai, Ab yeh Sawal Hai

Pyaar Mohabbat Kabhi Dharam-Mazhab Nahi Dekhta..!!!
Phir Kyon Haathon mein Phoolon Ki Jageh Talwaar Hai

Zindagi Ke Aaene Mein Khud Ko Dekhkar Hairaan Reh Gaya..!!!!!
   Insaan Bana Baitha Kya Apna yeh Haal Hai..!!!!

Rabb Ki Banayi Hui Duniya Mein Jaat-Paat ka Bhed Bhaau!!
Har Jagah Har Taraf Aadmi  Kar Raha Sirf Bawaal hai..

"Naam" Aur "Desh" Ka Pata Puchne Par Aage Ki Baatcheet!!!!
Aisi Duniya Mein Ab Jeena Bhi Ban baitha Muhaal Hai..

Gora-Kaala, Safedi Ka yeh Ajeeb Saa  Khel Niraala!!!!!
Rang Gora Ho To Bas!!Chalne Mein Chahe Langde Jaisi Chaal Hai

Jab Kissi Se Milo Usske  Dil mein Jhaank Kar dekho...!!!!!!!
Mazhab Puchkar Dosti Karne Walo, Kya Tum Insaan Ho???


        "Khwaish"Ka To Bas Itna Sa Ek Sawaal Hai...

                         ~~~~~Khwaish~~~~~


 achcha kalaam hai Applause Applause Applause Applause

khawaish ji,

 aap ne jo likha hai ye baat sabhi jaante hain. aur mokhtalif tariqo.n se ye bataya gaya hai. per aaj ke samaaj mein aisa sochte kam hi hain aur amal ki baat to choar dijiye koi kabhi aisa amal hi karta hoga.
aap insaniyat ki baat choar dein

 musal maan ho ya hindu. aap shadio.n mein bhi aapni zaat beradari dekhte hain..!

 so iss masle ka hull tabhi nikal sakta hai jab hum sab aur new generation taraqqi ke saath saath apne vivek ka bhi istemaal kare.
Logged
mkv
Guest
«Reply #3 on: February 29, 2012, 11:38:47 AM »
Khoobsurat khayaalaat pesh kiye hai aapne..
bahut khoob Khwaish ji
Bas mai to ek hi baat jaanta hu.
khoong ka ek hi rang hai. LAAL
Applause
Logged
dead heart
Guest
«Reply #4 on: February 29, 2012, 01:54:37 PM »
Bahaut bahaut ala soch par likha hai dost..
Nationality ko kosne ka dard, main bahaut achi tarha janta hoon..
Koshish karunga kabhi, kay iss soch par likhoun..
Apne bahaut bahaut bahaut acha likha hai..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Khush rahiye..!
Logged
usha rajesh
Guest
«Reply #5 on: February 29, 2012, 01:59:53 PM »
bahut sundar khwaish ji. Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #6 on: February 29, 2012, 06:21:51 PM »
khwaish ji alag mazhab ki toh kya kahe...ek mazhab k logon mein b yha sc, bc k naam par aaj bhi bhedbhav h...aise khuch log toh mere aas paas hi h...waise aapne iss insaaan ko aisi kya baatein sunaayi jo wo aapse maafi mangne lga...shayad mai bhi kisi ko khuch smjha saku
Logged
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
7 days, 50 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011


View Profile
«Reply #7 on: February 29, 2012, 07:26:01 PM »
khwaish Sahab,



 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Aapki sonch ke ghayal hove hai
kiya kehgaye ap ke ham sunte hi rahe hai

Bahut khoob sir, bhaut khooob

Dua Goo
Abul Asad
Logged
sarfira
Guest
«Reply #8 on: March 01, 2012, 04:16:40 AM »
bahot bahot aur bahot khoob peshkash Khwaish ji--
apne mann ke bechaini ko aapne ache alfaaz die hain
daad kubul karen--

!
mai Adil ji ki baaton se ittefaaq rakhta hoon
!
aur ye kehna chahunga ki ye thread koi discussion wala nhi balki ek adabb sachchai bayan karta post hai--
aur aapne apne khayalon aur haqeeqati ehsaason ko behtar tareeke se vyakt kia hai--

khus rahen
muskurate rahen
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #9 on: March 05, 2012, 12:04:49 PM »
MUskil yahee hai mere bhaai ham naheen sochte ki ham pahle sirf aur sirf insaan hain. good thoughts keep it up


Thankyou Sooooooooo Much Saheb!!!!

Your Appreciation Is Always Valued a Lottttt.. icon_flower
Logged
dolly
Guest
«Reply #10 on: March 05, 2012, 08:19:02 PM »
budhi ki kami hai...

gud one khwaish ji
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 08:04:32 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.127 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer