"Khwaish" Woh Tufaan Rakhta hai Dil Mein!!!!!!

by khwaish on October 20, 2009, 06:14:10 PM
Pages: [1] 2 3 4  All
Print
Author  (Read 6321 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Bahut Koshish Kar Raha Tha Ke Ab Dard Mein kabhi Naa Likhu Par Kayi Bar Zindagi Kuch Aise Mod par Jaakar Insaan Ko Khada kar Deti Hai Ke Insaan Chaah Kar Bhi Kabhi Dard Aur Gham Se Nahi Ubhar Paata..Aaj Dil mein Bahut Dard Hai,Shayad Yeh Dard Lafzo Se Utar Jaaye To Dil Ko Kuch Aaraam Mile..

Zakhm Dil Ka Dil Mein Hi Woh Chupa Lega..
Apna Yahan Apna Bankar Hi Daga Dega...

Chot Gar Mehaz Jism Ko Pahunchti To Ilaaj Ho jaata..
Dil Pe Lagi Chot Ki koi Kya Dawa Dega...

Yahan Koi Kisi Ka Bhi Habeeb Nahi..
Kareeb Aakar Dost, Zakhm Ek Naya Dega...

Loota Hai Uss Shaks Ne Mujhe Apna Kehkar!!!
Main Kya Saza Doon Tujhe Eh Dost!!!
Jo Bhi Saza Hogi Woh Khuda Dega...

Mujhme Abhi Woh Insaaniyat Zinda Hai Eh Dost!!!
Dooba De Mujhe Beshak Gham Ke Samundar Mein!!
Phir Bhi "Khwaish" Tujhe Dua Dega...

"Khwaish" Bhi Seekh jaayega fark Karna Apne Aur Gairon mein!!!
Varna Apno Ki Shakl Rakhne Walo mein "Khwaish" Khud Ko Loota Dega...

Kabhi Naa Puchna Mujhse Meri Zindagi Ki Haqeeqat!!!
"Khwaish" Woh Tufaan Rakhta Hai Dil mein!!
Zubaan par Aaa jaaye To "Khwaish" Iss Mehfil Ko Rula Dega...

Yehi Apni Zindagi Ka Falsafa Hai Eh Dost!!!
Chaahe Kitne Bhi Gham Ho Zindagi mein Apni!!
"Khwaish" Phir Bhi Apne gham Par Muskura Dega...

"Khwaish" To Ek Parinde Ki Tarah Hai Jiska Koi Ek Mukaam Nahi!!!
Yaad Karlenge Kuch Log, Jab Ghazal Meri, Koi Kisi Mehfil Mein Suna Dega...

Zakhm Dil Ka Dil Mein Hi Woh Chupa Lega.....


                   ~~~~~Khwaish~~~~~
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #1 on: October 20, 2009, 07:04:25 PM »
Awesome Khwaish Bhai
Jo Dard aur Sachhayi Aapne is thread Me Piroya hai vo Wakayi Kabile Tarif hai
No Doubt Its My Favorite One
 Applause Applause Applause
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #2 on: October 21, 2009, 12:00:44 AM »
Bahut bahut khoob Khwaish ji.touched by your poem.marvelous creation.excellent.
 tearyeyed icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause great work keep it up.
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #3 on: October 21, 2009, 02:40:26 AM »
 Applause Applause Applause Applause Applause

Waah Waah Kya baat Hai  Bahoot Bahoot Khoob Khwaish ji..

Haan Zindgai kai baar aise raah kade kar deti hai.. jine laang kar jana ya usse nazar anaaz karna muskil hota hai hame aksar aise raah se rehguzar hona hi padta hai jo dil ko cheer kar rakh de... Aapke iss kalam mea jo dard hai bakoobi nazar aaya .. Bahoot Khoob!
Logged
Roja
Guest
«Reply #4 on: October 21, 2009, 03:01:54 AM »
Quote

"Khwaish" Bhi Seekh jaayega fark Karna Apne Aur Gairon mein!!!
Varna Apno Ki Shakl Rakhne Walo mein "Khwaish" Khud Ko Loota Dega...

Itni shikayat kyu bhaiya? Itna dard?

Bahut accha dard bayan kiya hai bhaiya. God bless you dear

Logged
cara
Guest
«Reply #5 on: October 21, 2009, 05:56:09 AM »
KYA BAAT HAI   KHWAISH JI.....

ZAKHAM DIL KA DIL MEIN HI WOH CHUPA LEGA,
AURON KO KUSHIYAAN DEGA,
KHUD DARD DABA LEGA.

"KHAWISH" WOH TUFAAN RAKHTA HAI DIL MEIN,
DIL MEIN HI RAHE, "KHAWISH" MUSKARATA RAHEGA,
GAR BAHAR NIKAL JAAYE,TOH SAMUNDAR MEH AAG LAGA DEGA.





Logged
k.shael
Guest
«Reply #6 on: October 21, 2009, 06:50:43 AM »
Wah Wah Wah!!! Behtreen Lafzo Ke Saath Behtreen Alfaaz Piroye Hai Aapne Bahut Hi Khoob Khawaish Ji.. Clapping Smiley  Clapping Smiley  Clapping Smiley

Good Work.

Shally.
Logged
shayara
Guest
«Reply #7 on: October 21, 2009, 07:45:19 AM »
Khwaish ji bohot dard bhari peshkash hai. Bohot khoob likha hai.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #8 on: October 21, 2009, 03:51:00 PM »
Safar e Zindagi Guzarta Hai Aur Bas Yun Hi Guzarta Jaayega
Duniya Mei Ek Dard B Sach Hai Akhair Kahan Tak Thukrayega.!!!


Khwaish Bhai Kya Khoob Andaz e Bayaan Hai Aapka
Bahut Hi Khoob Surti Se Aapne Dard e Dil Ko
Lafzon Mein Peeroya Hai...Sach Kahen To Har Lafz
Bas Jaise Hume Dard Mein Dooba Hua Sa Laga
Tabhi To Hume Aapka Dard Yahan Mehsoos Hua Bhai.
Waqay Mein Kabil Tareef Hai.Kyun Ki Bahut Kum Log
Hote Hai Aise Jo Apne Lafzon Ko Dard Mein  Doobo Sake
Aur Dusron Ko Mehsoos Kara Sake...Good Job Bro Kee It


 Applause Applause Applause

Bahut Bahut Shukriya Majid Bhai..Aapka Teh Dil Se Shukriya Jo Aapne Iss Dard Ko mehsoos Kiya..Aaj Ke daur mein Kisi Ke dard Ko samajna Bhi Bahut badi Baat Hoti hai..Bahut bahut Shukriya Bhai.. Usual Smile
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #9 on: October 22, 2009, 03:28:57 PM »
Awesome Khwaish Bhai
Jo Dard aur Sachhayi Aapne is thread Me Piroya hai vo Wakayi Kabile Tarif hai
No Doubt Its My Favorite One
 Applause Applause Applause

Thankyou Soooo Much For Considering This Poetry As One Of your Fav's..

Aur Kya Kahen Pank Ji Bas Kuch dard Itna Tha Ke Likhta Chala gaya..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: October 23, 2009, 05:23:32 PM »
Dard Ko Bhi Mashallah, Kya KHoob Surt SE Aapne Bayaan Kiya Hai,.
Har Ashaar Har Misra, Mashallah Dil Choo Gaya,.
Behtareen Kalaam Hai Ye, Mashallah,.

Allah Kareem Aapke Dard Ko Halka Kare,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: October 23, 2009, 05:33:04 PM »

Apne Ghamon Se Main Mutmayeen Hoon, "Doston,.
Aakhir Jo Milaa Mujhe, Wo Mera Naseeb Tha,.

Usne Barbaad Karne Mein Koi Kasar Na Chordi,.
Dil Ko Wo Tord Gaya, Jo Dil Ke Bohat Kareeb Tha,.

Kisi Ko Milgaya Sab Kuch, Zara Se Waqt Mein,.
Main Umr Bhar Talaash Mein Tha, Main Kitna Bad-Naseeb Tha,.

-Azeem-



Logged
Jhuki Palkein
Guest
«Reply #12 on: October 24, 2009, 11:58:09 AM »
Wah! Kya Khoob Likha Hai Aapne Khawahish Jee.
Some Really Painful And Touchy Words.

Allah Pak Aapki Har Mushqil Asaan Farmaye, Ameen!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #13 on: October 25, 2009, 05:17:03 AM »
Bahut Koshish Kar Raha Tha Ke Ab Dard Mein kabhi Naa Likhu Par Kayi Bar Zindagi Kuch Aise Mod par Jaakar Insaan Ko Khada kar Deti Hai Ke Insaan Chaah Kar Bhi Kabhi Dard Aur Gham Se Nahi Ubhar Paata..Aaj Dil mein Bahut Dard Hai,Shayad Yeh Dard Lafzo Se Utar Jaaye To Dil Ko Kuch Aaraam Mile..

Zakhm Dil Ka Dil Mein Hi Woh Chupa Lega..
Apna Yahan Apna Bankar Hi Daga Dega...

Chot Gar Mehaz Jism Ko Pahunchti To Ilaaj Ho jaata..
Dil Pe Lagi Chot Ki koi Kya Dawa Dega...

Yahan Koi Kisi Ka Bhi Habeeb Nahi..
Kareeb Aakar Dost, Zakhm Ek Naya Dega...

Loota Hai Uss Shaks Ne Mujhe Apna Kehkar!!!
Main Kya Saza Doon Tujhe Eh Dost!!!
Jo Bhi Saza Hogi Woh Khuda Dega...

Mujhme Abhi Woh Insaaniyat Zinda Hai Eh Dost!!!
Dooba De Mujhe Beshak Gham Ke Samundar Mein!!
Phir Bhi "Khwaish" Tujhe Dua Dega...

"Khwaish" Bhi Seekh jaayega fark Karna Apne Aur Gairon mein!!!
Varna Apno Ki Shakl Rakhne Walo mein "Khwaish" Khud Ko Loota Dega...

Kabhi Naa Puchna Mujhse Meri Zindagi Ki Haqeeqat!!!
"Khwaish" Woh Tufaan Rakhta Hai Dil mein!!
Zubaan par Aaa jaaye To "Khwaish" Iss Mehfil Ko Rula Dega...

Yehi Apni Zindagi Ka Falsafa Hai Eh Dost!!!
Chaahe Kitne Bhi Gham Ho Zindagi mein Apni!!
"Khwaish" Phir Bhi Apne gham Par Muskura Dega...

"Khwaish" To Ek Parinde Ki Tarah Hai Jiska Koi Ek Mukaam Nahi!!!
Yaad Karlenge Kuch Log, Jab Ghazal Meri, Koi Kisi Mehfil Mein Suna Dega...

Zakhm Dil Ka Dil Mein Hi Woh Chupa Lega.....


                    ~~~~~Khwaish~~~~~

Bahut bahut Khoobsurat likha hai aapne as usual, sorry for late reply, pehle padh liya tha par reply deneka mauka nai mila. kucch apne anubhav likh rahi hoon. hope pasand aayega.

teri har tamanna zakhmi hai meri nadaaniyon ke khanjar mein,
mere sapno ka aashiyana bhi jal raha hia shayad teri aahon mein,

khataon ke jungle mein yun chal pade the hum bedhadak,
teri hi ghutan ne qaid kar liya hia meri har saans ko seene mein...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #14 on: October 25, 2009, 08:56:32 AM »
Bahut bahut khoob Khwaish ji.touched by your poem.marvelous creation.excellent.
 tearyeyed icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause great work keep it up.

Thankyou Sooooooooo Much Madhu!!! Usual Smile

Thanks A Lot For Appreciating!!! hello
Logged
Pages: [1] 2 3 4  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 25, 2025, 01:04:52 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.147 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer