"Khwaish" Woh Tufaan Rakhta hai Dil Mein!!!!!!

by khwaish on October 20, 2009, 06:14:10 PM
Pages: 1 [2] 3 4  All
Print
Author  (Read 6324 times)
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #15 on: October 26, 2009, 10:03:46 AM »
Khawish JI sach kaha h aapne is poet me
dil ko chu rhi h aapki her bat aapne kitni
sadagi se apna dard byan kiya h sach
mein aapki ye poet bar bar padhi h humne
Applause Applause Applause


Her lafj ko aapne dil se sawara hai
Sukh-dukh to her sahil ka kinara hai


Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #16 on: October 26, 2009, 03:23:13 PM »
Applause Applause Applause Applause Applause

Waah Waah Kya baat Hai  Bahoot Bahoot Khoob Khwaish ji..

Haan Zindgai kai baar aise raah kade kar deti hai.. jine laang kar jana ya usse nazar anaaz karna muskil hota hai hame aksar aise raah se rehguzar hona hi padta hai jo dil ko cheer kar rakh de... Aapke iss kalam mea jo dard hai bakoobi nazar aaya .. Bahoot Khoob!

Bahut bahut Shukriya Sophi..

Aur Sach kahaan Aapne..Chunotiyon Ka Saamna karna Hi Zindagi hai..

Kai Baar inn Mushkil Raahon Se har Insaan Ko Guzarna Padhta hai..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #17 on: October 26, 2009, 03:31:55 PM »
Itni shikayat kyu bhaiya? Itna dard?

Bahut accha dard bayan kiya hai bhaiya. God bless you dear



Roja Behna, Bebasi Aur Maauysi Mein Insaan bas Yehi To kar pata hai..jahan Zakhm Honge waha Par Shikayaton Ko Hona Bhi Laazmi hai..bas Dard Bayaan Naa Karna Chaahkar bhi Dard Bayaan Kar gaya..

Waheguru Aap Ko Bhi humesha Khush Rakhe.. Usual Smile
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #18 on: October 31, 2009, 04:06:06 PM »
Bahut Koshish Kar Raha Tha Ke Ab Dard Mein kabhi Naa Likhu Par Kayi Bar Zindagi Kuch Aise Mod par Jaakar Insaan Ko Khada kar Deti Hai Ke Insaan Chaah Kar Bhi Kabhi Dard Aur Gham Se Nahi Ubhar Paata..Aaj Dil mein Bahut Dard Hai,Shayad Yeh Dard Lafzo Se Utar Jaaye To Dil Ko Kuch Aaraam Mile..

Zakhm Dil Ka Dil Mein Hi Woh Chupa Lega..
Apna Yahan Apna Bankar Hi Daga Dega...

Chot Gar Mehaz Jism Ko Pahunchti To Ilaaj Ho jaata..
Dil Pe Lagi Chot Ki koi Kya Dawa Dega...

Yahan Koi Kisi Ka Bhi Habeeb Nahi..
Kareeb Aakar Dost, Zakhm Ek Naya Dega...

Loota Hai Uss Shaks Ne Mujhe Apna Kehkar!!!
Main Kya Saza Doon Tujhe Eh Dost!!!
Jo Bhi Saza Hogi Woh Khuda Dega...

Mujhme Abhi Woh Insaaniyat Zinda Hai Eh Dost!!!
Dooba De Mujhe Beshak Gham Ke Samundar Mein!!
Phir Bhi "Khwaish" Tujhe Dua Dega...

"Khwaish" Bhi Seekh jaayega fark Karna Apne Aur Gairon mein!!!
Varna Apno Ki Shakl Rakhne Walo mein "Khwaish" Khud Ko Loota Dega...

Kabhi Naa Puchna Mujhse Meri Zindagi Ki Haqeeqat!!!
"Khwaish" Woh Tufaan Rakhta Hai Dil mein!!
Zubaan par Aaa jaaye To "Khwaish" Iss Mehfil Ko Rula Dega...

Yehi Apni Zindagi Ka Falsafa Hai Eh Dost!!!
Chaahe Kitne Bhi Gham Ho Zindagi mein Apni!!
"Khwaish" Phir Bhi Apne gham Par Muskura Dega...

"Khwaish" To Ek Parinde Ki Tarah Hai Jiska Koi Ek Mukaam Nahi!!!
Yaad Karlenge Kuch Log, Jab Ghazal Meri, Koi Kisi Mehfil Mein Suna Dega...

Zakhm Dil Ka Dil Mein Hi Woh Chupa Lega.....


                    ~~~~~Khwaish~~~~~
bahut khooob Khwaish ji....dard ko khoob sameta hai aapne alfaazon mein....
 Applause Applause Applause Applause
khuch likhne ki koshish kar rahi hu....


Sachi ye baatein hai sachi ye kahani hai
Jo kabhi apna hi na hua uske liye aankho mein paani hai

Samjha humne apne ne dga diya hai humein
Kaun jaane begana tha wo jisne odhi apnepan ki odhni hai

Tujhe dubone waalon ko bhi deta hai jo tu dua
Phr kyu yu bebas h,kyu tanha teri zindgaani hai

Tere dil mein palne waale tufaan se hum anjaan nahi "khwaish"
Bas mat badhne de iss tufaan ko,
Mat de ghamon ko khushi se bada rutba,
tere ghum,aur iss tufaan se hamein pareshaani hai
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #19 on: November 04, 2009, 05:16:26 AM »
KYA BAAT HAI   KHWAISH JI.....

ZAKHAM DIL KA DIL MEIN HI WOH CHUPA LEGA,
AURON KO KUSHIYAAN DEGA,
KHUD DARD DABA LEGA.

"KHAWISH" WOH TUFAAN RAKHTA HAI DIL MEIN,
DIL MEIN HI RAHE, "KHAWISH" MUSKARATA RAHEGA,
GAR BAHAR NIKAL JAAYE,TOH SAMUNDAR MEH AAG LAGA DEGA.







Bahut Bahut Shukriya Cara Ji..

Aur Aapne Bhi Khoob Saath Diya..

Bahut Khoob Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Talat
Guest
«Reply #20 on: November 05, 2009, 09:21:43 AM »
Bahut Koshish Kar Raha Tha Ke Ab Dard Mein kabhi Naa Likhu Par Kayi Bar Zindagi Kuch Aise Mod par Jaakar Insaan Ko Khada kar Deti Hai Ke Insaan Chaah Kar Bhi Kabhi Dard Aur Gham Se Nahi Ubhar Paata..Aaj Dil mein Bahut Dard Hai,Shayad Yeh Dard Lafzo Se Utar Jaaye To Dil Ko Kuch Aaraam Mile..

Zakhm Dil Ka Dil Mein Hi Woh Chupa Lega..
Apna Yahan Apna Bankar Hi Daga Dega...

Chot Gar Mehaz Jism Ko Pahunchti To Ilaaj Ho jaata..
Dil Pe Lagi Chot Ki koi Kya Dawa Dega...

Yahan Koi Kisi Ka Bhi Habeeb Nahi..
Kareeb Aakar Dost, Zakhm Ek Naya Dega...

Loota Hai Uss Shaks Ne Mujhe Apna Kehkar!!!
Main Kya Saza Doon Tujhe Eh Dost!!!
Jo Bhi Saza Hogi Woh Khuda Dega...

Mujhme Abhi Woh Insaaniyat Zinda Hai Eh Dost!!!
Dooba De Mujhe Beshak Gham Ke Samundar Mein!!
Phir Bhi "Khwaish" Tujhe Dua Dega...

"Khwaish" Bhi Seekh jaayega fark Karna Apne Aur Gairon mein!!!
Varna Apno Ki Shakl Rakhne Walo mein "Khwaish" Khud Ko Loota Dega...

Kabhi Naa Puchna Mujhse Meri Zindagi Ki Haqeeqat!!!
"Khwaish" Woh Tufaan Rakhta Hai Dil mein!!
Zubaan par Aaa jaaye To "Khwaish" Iss Mehfil Ko Rula Dega...

Yehi Apni Zindagi Ka Falsafa Hai Eh Dost!!!
Chaahe Kitne Bhi Gham Ho Zindagi mein Apni!!
"Khwaish" Phir Bhi Apne gham Par Muskura Dega...

"Khwaish" To Ek Parinde Ki Tarah Hai Jiska Koi Ek Mukaam Nahi!!!
Yaad Karlenge Kuch Log, Jab Ghazal Meri, Koi Kisi Mehfil Mein Suna Dega...

Zakhm Dil Ka Dil Mein Hi Woh Chupa Lega.....


                    ~~~~~Khwaish~~~~~

Bohot Khoob Khwaish Dost...Humesha ki tarah behtareen likha hai aapne...lafz dil ko chu jaate hain....Bohot Khoob Applause Applause Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #21 on: November 07, 2009, 02:59:57 AM »
Wah Wah Wah!!! Behtreen Lafzo Ke Saath Behtreen Alfaaz Piroye Hai Aapne Bahut Hi Khoob Khawaish Ji.. Clapping Smiley  Clapping Smiley  Clapping Smiley

Good Work.

Shally.


Thankyou Soooooooooo Much Shally!!! Usual Smile
Thanks A Lot For Reading And Appreciating icon_flower
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #22 on: November 25, 2009, 05:28:00 PM »
Khwaish ji bohot dard bhari peshkash hai. Bohot khoob likha hai.


Bahut Bahut Shukriya Shayaraji..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #23 on: November 28, 2009, 04:14:57 AM »
Dard Ko Bhi Mashallah, Kya KHoob Surt SE Aapne Bayaan Kiya Hai,.
Har Ashaar Har Misra, Mashallah Dil Choo Gaya,.
Behtareen Kalaam Hai Ye, Mashallah,.

Allah Kareem Aapke Dard Ko Halka Kare,.

Bahut Bahut Shukriya Azeem..

Aapne Iss Kalaam Ko Padha,Iske Jazbaat Ko samjha..Teh Dil Se Aapka Shukriya
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #24 on: November 28, 2009, 06:35:15 AM »
Bahut Koshish Kar Raha Tha Ke Ab Dard Mein kabhi Naa Likhu Par Kayi Bar Zindagi Kuch Aise Mod par Jaakar Insaan Ko Khada kar Deti Hai Ke Insaan Chaah Kar Bhi Kabhi Dard Aur Gham Se Nahi Ubhar Paata..Aaj Dil mein Bahut Dard Hai,Shayad Yeh Dard Lafzo Se Utar Jaaye To Dil Ko Kuch Aaraam Mile..

Zakhm Dil Ka Dil Mein Hi Woh Chupa Lega..
Apna Yahan Apna Bankar Hi Daga Dega...

Chot Gar Mehaz Jism Ko Pahunchti To Ilaaj Ho jaata..
Dil Pe Lagi Chot Ki koi Kya Dawa Dega...

Yahan Koi Kisi Ka Bhi Habeeb Nahi..
Kareeb Aakar Dost, Zakhm Ek Naya Dega...

Loota Hai Uss Shaks Ne Mujhe Apna Kehkar!!!
Main Kya Saza Doon Tujhe Eh Dost!!!
Jo Bhi Saza Hogi Woh Khuda Dega...

Mujhme Abhi Woh Insaaniyat Zinda Hai Eh Dost!!!
Dooba De Mujhe Beshak Gham Ke Samundar Mein!!
Phir Bhi "Khwaish" Tujhe Dua Dega...

"Khwaish" Bhi Seekh jaayega fark Karna Apne Aur Gairon mein!!!
Varna Apno Ki Shakl Rakhne Walo mein "Khwaish" Khud Ko Loota Dega...

Kabhi Naa Puchna Mujhse Meri Zindagi Ki Haqeeqat!!!
"Khwaish" Woh Tufaan Rakhta Hai Dil mein!!
Zubaan par Aaa jaaye To "Khwaish" Iss Mehfil Ko Rula Dega...

Yehi Apni Zindagi Ka Falsafa Hai Eh Dost!!!
Chaahe Kitne Bhi Gham Ho Zindagi mein Apni!!
"Khwaish" Phir Bhi Apne gham Par Muskura Dega...

"Khwaish" To Ek Parinde Ki Tarah Hai Jiska Koi Ek Mukaam Nahi!!!
Yaad Karlenge Kuch Log, Jab Ghazal Meri, Koi Kisi Mehfil Mein Suna Dega...

Zakhm Dil Ka Dil Mein Hi Woh Chupa Lega.....


                    ~~~~~Khwaish~~~~~

Bahut khoob Khwaish Ji
Dard ka sailaab baha di aap ne
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #25 on: January 16, 2010, 01:57:47 PM »

Apne Ghamon Se Main Mutmayeen Hoon, "Doston,.
Aakhir Jo Milaa Mujhe, Wo Mera Naseeb Tha,.

Usne Barbaad Karne Mein Koi Kasar Na Chordi,.
Dil Ko Wo Tord Gaya, Jo Dil Ke Bohat Kareeb Tha,.

Kisi Ko Milgaya Sab Kuch, Zara Se Waqt Mein,.
Main Umr Bhar Talaash Mein Tha, Main Kitna Bad-Naseeb Tha,.

-Azeem-





Bahut Bahut Khoob Azeem.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut Hi Acha Likha Hai Aapne..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #26 on: January 18, 2010, 07:54:48 PM »
Simply Mind Blowing.. kavita likhi hai apne khwaish ji... most of the time I like to post my fav. lines from your poetry.. but in this poem each and every poem is full of Emotions.. and very meningful... wow... Superbbbb... A very good creation!!!


Baki sabhi sathio ne bhi bahoot acha likha hai... Good work team!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #27 on: January 22, 2010, 02:26:48 PM »
Wah! Kya Khoob Likha Hai Aapne Khawahish Jee.
Some Really Painful And Touchy Words.

Allah Pak Aapki Har Mushqil Asaan Farmaye, Ameen!


Bahut bahut Shukriya Jhuki Palkein Ji..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #28 on: January 22, 2010, 03:04:31 PM »
Bahut bahut Khoobsurat likha hai aapne as usual, sorry for late reply, pehle padh liya tha par reply deneka mauka nai mila. kucch apne anubhav likh rahi hoon. hope pasand aayega.

teri har tamanna zakhmi hai meri nadaaniyon ke khanjar mein,
mere sapno ka aashiyana bhi jal raha hia shayad teri aahon mein,

khataon ke jungle mein yun chal pade the hum bedhadak,
teri hi ghutan ne qaid kar liya hia meri har saans ko seene mein...


Thanks A Million For Appreciating Angel!!!

Aur Aapne Bhi bahut Khoob Likha.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

I Really Miss Your Work!!! icon_salut
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #29 on: January 22, 2010, 03:36:10 PM »
Khawish JI sach kaha h aapne is poet me
dil ko chu rhi h aapki her bat aapne kitni
sadagi se apna dard byan kiya h sach
mein aapki ye poet bar bar padhi h humne
Applause Applause Applause


Her lafj ko aapne dil se sawara hai
Sukh-dukh to her sahil ka kinara hai




Kisi Ki Poetry Ko Koi Baar-Baar Padhe,Isse Zyada Kisi Shayar Ko kya Chahiye..Aapka Teh dil se Shukriya Rishi ji Jo Aapne Iss Poetry Ko Apna Waqt Diya..

Aur Rishi ji Aapne Ek sher Mein bahut Kuch Keh Diya.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Logged
Pages: 1 [2] 3 4  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 25, 2025, 01:26:36 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.175 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer