kis khataa par mitaa gaya... Intezar !

by Intezar on December 15, 2010, 02:49:11 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1223 times)
Intezar
Guest


    kuch aisa kar gaya ajnabi wo hume khud se aaj
    khud ko bade gaur se dekhte rahe aaine me der tak

    kal tak tha bada yakeen jinko meri kurbat par
    aaj wahi dekhte rahe ajnabi ki tarah hame der tak

    ki faasla itna de gaya wo khud se door kar ke
    main uski taraf dekhta raha khada hokar bahut der tak

    mujhe wo meri kis khataa par mita gaya kuch aise
    main us gunaah ko apne yaad karta raha bahut der tak

    main uska bhi raha kuch aisa aitbaar ban kar
    ki karta reh gaya main Intezar uska bahut der tak... !

Shukriya
Intezar !
[/font][/size][/color]
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #1 on: December 15, 2010, 03:05:07 PM »
behad umda peshkash hai ye aapki intezaar ji...dil me dheron sawl dabaye jaise koi chikh raha ho....lekin aise hlaat me ho hi jati hi aisi peshaksh.....

khudko samjhaterahe hum rat bhar k kuch hua nahin
lekin dil ne kaha k kuch dil me tutta raha der tak

mushkil daur tha jo guzar gaya hai lamha lamha karke
badi mushkilon se khudse ladti rahi main bht der tak

ho gai hain galtiyan kuch aisi k jise na sudhaar paungi
apni badkeesmati ko kyun dosh deti rahi me yunhi der tak...!!!
Logged
Intezar
Guest
«Reply #2 on: December 15, 2010, 03:55:50 PM »
nazar aap ki mujhpar padi... dil khaamosh hogaya...
bahut hi zyaada kasak uthti hai lafzon ko padhkar tere... ab dard mujhse judaa nahi hota... !


kaash ke mujhe ek lafz hi rehne diya hota
mukammal gazal ki chahat na thi kabhi meri,

main khataa tujhe chaahne ki karta raha bas
juda hone ki tujhse chahat na thi kabhi meri,

tune di jagah apne lafzon mein hi sahi kabhi
dil mein rehne ki kabiliyat na thi kabhi meri,

ki raakh ko utha kar maathe tak le gaye tum
mitti me pade rehne ki bi haisiyat na thi kabhi meri,

jaane ab aur kya deta main tujhe dard ke siwa
par tera dil dukhaane ki aadat na thi kabhi meri,

main khud mein reh gaya hun ab bas ulajhkar
tere saath to sulajhne ki chahat na thi kabhi meri,

jab bhi uthi kasak tere Intezar mein to haath uthaya
tere liye duaa se khaali to ibaadat na thi kabhi meri... !

Intezar !

Logged
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #3 on: December 15, 2010, 04:07:18 PM »
bahut umda peshkash Intezaar ji--
Kasak ji ka behtareen saath --
ufff kya maza aa gaya jaise
koi ajnabee sa suroor cha gaya
            bahut der tak
sochne par majbur hua par kuch samjh na paya
            bahut der tak
             *******
dil me ek khalbalee si machi shant na hua
             bahut det tak
wo ajnabee kyu kar gaya shayd mujhko mujhi se juda
             kar gaya
           ******
Logged
Intezar
Guest
«Reply #4 on: December 15, 2010, 05:20:51 PM »
Killbill ji Shukriya... bahut bahut shukriya...
par ise bas alfaaz na samajhna... kaheen mujhse hokar gujra hai sab...

Intezar !

bahut umda peshkash Intezaar ji--
Kasak ji ka behtareen saath --
ufff kya maza aa gaya jaise
koi ajnabee sa suroor cha gaya
            bahut der tak
sochne par majbur hua par kuch samjh na paya
            bahut der tak
             *******
dil me ek khalbalee si machi shant na hua
             bahut det tak
wo ajnabee kyu kar gaya shayd mujhko mujhi se juda
             kar gaya
           ******
Logged
dead heart
Guest
«Reply #5 on: December 15, 2010, 08:16:13 PM »
Bahaut bahaut khoob Intezar jee aur Anamika di..!
Applause
Logged
Intezar
Guest
«Reply #6 on: December 15, 2010, 08:20:57 PM »
shurkiya Shihab ji... bahut bahut shukriya aapka saath dene ke liye... !

Intezar !
Bahut Khub Intezar Ji...

Khush Rahiye...

~Shihab~

Logged
Intezar
Guest
«Reply #7 on: December 15, 2010, 08:22:18 PM »
Rahim bhai... shukriya aapka bahut bahut shukriya...

Intezar !

Bahaut bahaut khoob Intezar jee aur Anamika di..!
Applause
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #8 on: December 16, 2010, 01:41:33 AM »


    kuch aisa kar gaya ajnabi wo hume khud se aaj
    khud ko bade gaur se dekhte rahe aaine me der tak

    kal tak tha bada yakeen jinko meri kurbat par
    aaj wahi dekhte rahe ajnabi ki tarah hame der tak

    ki faasla itna de gaya wo khud se door kar ke
    main uski taraf dekhta raha khada hokar bahut der tak

    mujhe wo meri kis khataa par mita gaya kuch aise
    main us gunaah ko apne yaad karta raha bahut der tak

    main uska bhi raha kuch aisa aitbaar ban kar
    ki karta reh gaya main Intezar uska bahut der tak... !

Shukriya
Intezar !
[/font][/size][/color]
Wah Kya baat hai
Bahut uttam peshkash hai
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #9 on: December 16, 2010, 01:43:57 AM »
behad umda peshkash hai ye aapki intezaar ji...dil me dheron sawl dabaye jaise koi chikh raha ho....lekin aise hlaat me ho hi jati hi aisi peshaksh.....

khudko samjhaterahe hum rat bhar k kuch hua nahin
lekin dil ne kaha k kuch dil me tutta raha der tak

mushkil daur tha jo guzar gaya hai lamha lamha karke
badi mushkilon se khudse ladti rahi main bht der tak

ho gai hain galtiyan kuch aisi k jise na sudhaar paungi
apni badkeesmati ko kyun dosh deti rahi me yunhi der tak...!!!

AAp ki kya taareef karun
Sabd hi nahi milte
Logged
shiba
Guest
«Reply #10 on: December 16, 2010, 07:14:16 PM »
 Applause
Logged
Intezar
Guest
«Reply #11 on: December 28, 2010, 07:56:28 PM »
Rajesh ji Shukriya aapka bahut bahut shukriya... !

Intezar !

Wah Kya baat hai
Bahut uttam peshkash hai
Logged
Intezar
Guest
«Reply #12 on: December 28, 2010, 07:57:06 PM »
Shukriya aapka bahut bahut shukriya Shiba ji...

Intezar !

Applause
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:24:56 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer