kis per kare etabaar ??

by ranjana on August 15, 2006, 09:36:04 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1049 times)
ranjana
Guest
karna chahye toh etabaar kis per kare hum
ki suraj bhi apni roshni de kar raato ko chhip jaata hai

kaun samjhega yahan dard ki dastaan
gulaab todne ki aarzoo mein haath bhi kabhi zakhami ho jaata hai

keh do suraj se na aake jagaaya kare hame
bhalla raato ke jage hue ko bhi koi jagaata hai

mujhko chahte ho apne ishq se paana
toh mere dil ki gehraaiyon mein utar ke dekho
bhalla kinaaro se kabhi samander ki geharaai ko naapa jaata hai

peete rahe hum ta umar apni hi aansu.n ko behissab
koi puche  hamse yeh zeher pee ke bhi kaise  jeeya jaata hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
koi help kare by desikuri in Chit - Chat & General Discussion « 1 2 3 4 »
DIL KARE.......... by Naya_Daur in Shayri for Khumar -e- Ishq
pyar ka ikkrar (kare to kare wo kaise) by tushar_4u_im in Shayri for Khumar -e- Ishq
~~~~~~ Ab kya kare ~~~~~~~~~~~ by BeNam in Shayri for Khumar -e- Ishq
Etabaar------------------------'Sagar' by Advo.RavinderaRavi in Shayri for Khumar -e- Ishq
arunsingh
Guest
«Reply #1 on: August 15, 2006, 09:44:10 AM »
is thara se jiya jata hai ranjana ji

betab tammnao ke kasak rahene do
manjil ko pane ke lalak rahene do

ap bhele raho najro se door magar
band akaho mai apani jalak rahane do
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #2 on: August 15, 2006, 09:48:51 AM »


Very nice work Ranju Di and Arun ji....

=D> =D> =D> =D> =D>
[/b]
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #3 on: August 15, 2006, 09:49:18 AM »


Ab kis par kare etabaar hum bhala,
Hum ko to jo bhi mila bewafa mila....

Mere dil se khel kar tum chaley gaye,
Bata is khel mey bhala tujhey kya mila...

Hum jin ke karam se roye bahut raat din,
Woh shaksh sada mujhey muskurata mila....

Mehsoos ki humney zindagi apnii adhoori sii,
Aansu humari aankh pey chalchalata mila...
[/b]
Logged
ranjana
Guest
«Reply #4 on: August 15, 2006, 09:51:39 AM »
bahut khoob arun ji .........

band aankho mein bhi hamne tere khawabo ko saja ke dekha
apne ashqo mein khud ko hi baha ke dekha

mili na manzil kabhi bhi hame koi sanam
har raste per hamne apni nazao ko tere liye bicha ke dekha
Logged
ranjana
Guest
«Reply #5 on: August 15, 2006, 10:06:18 AM »
Quote from: "Shikha12"


Ab kis par kare etabaar hum bhala,
Hum ko to jo bhi mila bewafa mila....

Mere dil se khel kar tum chaley gaye,
Bata is khel mey bhala tujhey kya mila...

Hum jin ke karam se roye bahut raat din,
Woh shaksh sada mujhey muskurata mila....

Mehsoos ki humney zindagi apnii adhoori sii,
Aansu humari aankh pey chalchalata mila...
[/b]


shukriya shikha .wonderful ........bahut khoob likha hai..........

kabhi unko bhi toh hum apni tarah betaab dekhte
mohbbat mein hoti hai tadap kaisi yeh jara hum bhi toh dekhte

ishq ke dard mein baha diye hamne apne din raat
kabhi unki aankho mein bhi toh kuch jagate hue khawab dekhte

dikhaate they kabhi woh hame mehekate sapano  ke baag
kabhi unki nazaro mein bhi kuch dard ke selaab dekhte

unke intazaar mein hamne beeta di apni umar saari
kabhi apne liye bhi unki nazaro mein hum intzaar dekhte
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #6 on: August 15, 2006, 10:10:59 AM »
Ranju, Shikha, Arun

Behtareen !

Aur kuch kehne ki zaroorat nahi hai !

Rajbir
Logged
ranjana
Guest
«Reply #7 on: August 15, 2006, 10:43:48 AM »
shukriya Rajbir ..........aap yun  hi hamaare saath rahe wahi  sabse badi baat hai hamaare liye...... :D
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #8 on: August 15, 2006, 10:55:13 AM »
Marvalous Job Ranju.....Shikha and Arun ji.....

Laa Utaar de Chingari Seene me mere.......
Ab aur Dard peene ko Jee Chahata hai......

Tu kahe toh khatam kar doon yeh Zindagi......
Ab Maut se haath milane ko jee Chahata hai.......

Jab pighalegi meri aaag me Zameen.....
Tab na kehna ki Sanam tumse Pyar karne ko jee Chahata hai........!!!!!!!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #9 on: August 15, 2006, 11:03:31 AM »
Quote from: "badnaam_shayar"
Marvalous Job Ranju.....Shikha and Arun ji.....

Laa Utaar de Chingari Seene me mere.......
Ab aur Dard peene ko Jee Chahata hai......

Tu kahe toh khatam kar doon yeh Zindagi......
Ab Maut se haath milane ko jee Chahata hai.......

Jab pighalegi meri aaag me Zameen.....
Tab na kehna ki Sanam tumse Pyar karne ko jee Chahata hai........!!!!!!!!!!!!!


wonderful gauarv .............chhaa gaye aap toh.. Usual Smile

yeh dard ka sagar jo mere ander hai
yeh baat bhi zamaane mein kahan sabko milti hai

jidhar dekho udar bas ek nakali si hansi hai
naqab ode hue mujhe har zindagi si dikhti hai

rehne ko reh lete hain sab apne hi bichaaye khawabo ke saath
magar yeh tanhai ki ek duniya bahlla sabko kahan dikhti hai

kai rahagujar mil jaate hain yun hi chalate chalate
magar apni manpasand maznil kab kahan yahan kisi ko milti hai
Logged
ranjana
Guest
«Reply #10 on: August 17, 2006, 06:56:03 AM »
khuli si aankh mein koi gum fir se jaagta hai
meri yaado mein koi kaanta sa chub jaata hai

maine har pal kiya hai bas usi se pyaar
fir bhi woh har waqt bas meri raza kyu mangaata hai

duba hai dil bas mera uske hi khyaalo mein
magar zamaane ke dar se har baar woh mujhe talata hai

kyu deni padti hai har baar kafiayt mujhe zamaane ko
ki uski aankho ka yeh etebaar mere dard ko aur bada sa jaata hai
Logged
ranjana
Guest
«Reply #11 on: August 19, 2006, 11:11:11 AM »
sirf dil mein dard ka ehasas hai
sab khushi kisi bhulawe mein kho gayi

nam nahi hai ab mere dil ki zameen
meri palko per koi boond ab kho gayi

hamsafar bhi ab saath dete nahi
badi fasale dilo ke itne ki duriya dil mein bahut ho gayi!!
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:14:00 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.09 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer