kis se kahun.....

by Pooja on March 20, 2006, 07:17:42 AM
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8]
Print
Author  (Read 6434 times)
Pooja
Guest
«Reply #105 on: March 13, 2008, 06:17:33 PM »
Lil bro ek ek line kamal ki hai , na jane kitani baar pard chuki aor her baar dobara padne ko man. bahoot hi gahri rachna apne hum sab ke sath share ki hai!! Thanks dear!!

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dost kahun ya pyar kahun by carajeshsingh in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
kaise kahun by 19deepak94 in Share:Miscellaneous Shayari
kiss se kahun by saahill in Shayri-E-Dard
La-jawaab Kahun --------------------------------------------PWFS by pankajwfs in Ghazals « 1 2  All »
Ise teri kashish kahun ya tadap...Raaj by Sunil Malhotra in Shayri-E-Dard
Aryaan
Guest
«Reply #106 on: March 13, 2008, 08:54:03 PM »
Good Ones Pooja & Azeem..
Logged
Roja
Guest
«Reply #107 on: March 14, 2008, 02:11:17 AM »
Ek Ek Patthar Jord ke Maine Jo Deewaar banaai Hai,.
Jhaanku Uske Peeche To Ruswaai Hi Ruswaai Hai,.

Yun Lagta Hai Sote Jaagte Auron Ka Mohtaj Hoon Main,.
Aankhein Meri Apni Hain, Par Unmein Neend Paraai Hai,.

Dekh Rahe Hain Sab Hairat se Neele Neele Paani Ko,.
Pooche Kaun Samander Se Tujhme Kitni Gehraai Hai,.

Sab Kehte Hain Ek Jannat Utri Hai Meri Dharti Par,.
Main Dil Mein Sochoon Shayad Kamzor Meri Binaai Hai,.

baher Saham Mein Perdon Par Kuch Jalte Bujhte Jugnu The,.
Hairat Hai Phir Ghar Ke Ander Kisne Aaag Lagaai Hai,.

Aaj Hua Maloom Mujhe Is Sheher Ke Chaand Saayon Se,.
apni Raah Badalte Rehne Sabse Badi Danaai Hai,.

Tord Gaye Paimaan-e-Wafa Is Daur Mein Kaise Kaise Log,.
Ye Mat Soch "Qateel" Ki Bas Ek Yar Tera Harjaai Hai,.

__________________________________-Qateel Shifaai,.



Superb.... wonderful creation by Shifaani sb. Thanks for sharing Jaanasheen ji.
Logged
Roja
Guest
«Reply #108 on: March 14, 2008, 02:12:46 AM »
thnaks Majid!!

Jaan lutana koi chakori si sikhein
payaar nibhana koi Pooja se sikhein
dil hi dil mai murat jo ek basai hai
ajj tak khud usko na wo bata paai hai!!

Apni Bathon se dil behlana koyi aap se seeke
Haste haste baathein paltana koyi aap se seeke  tongue3
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #109 on: March 14, 2008, 10:40:59 AM »
Shukriya Pooja Didi,.'
Aryaan Bhai,.
Roja Sis,.
Waise Qateel Shifaai Ji Ki Har GHazal Dil Ko Choo Jaati Hai,.
ye Ghazal Meri Fav8 Hai,.
Khushi Hui Ke Aap Sab Ko Bhi Pardkar Achcha Laga,. Giggle
Logged
Pooja
Guest
«Reply #110 on: March 14, 2008, 02:22:39 PM »
Apne hi chakarview main apni ek tasveer banai hai
Kabhi achi to kabhi boori surat is main najar aai hai

Karati rahti hu khud se khud ki baatein
Ajj apni hi zindagi main, kitani tanhaai paai hai

Yaandon ke jhule jhulu kabhi baith angan main
Kabhi khayalo mai ane wale sukh ki parchaai hai

Atta nahi kuch bhi hath is pooja ke
Na jaane kaya kismet likhwa kar yah aai hai

Kon sune, kis ko kahe yah dil ke dard apne
Kiya ji sper bhi kabhi vishwas, ussi se thokar khai hai

Apne hi chakarview main apni ek tasveer banai hai
Kabhi achi to kabhi boori surat is main najar aai hai……..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #111 on: March 16, 2008, 09:13:11 AM »
Nice One Sis,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #112 on: March 16, 2008, 09:16:51 AM »
Kis Se Kahoon Ke Mera Haal Kya Hai,.
Tanha Hai Dil Ki Nagri Jo Yaar Mera Juda Hai,.

Phir Bhi Muskuraate Hue Zindagi Basar Kar Rahe Hain,.
Zindagi To Azaab Hai Mujhpe aur ye Zindagi Ek Saza Hai,.

___________________________________-Jaanasheen-
Logged
Pooja
Guest
«Reply #113 on: March 17, 2008, 04:25:10 PM »
baaton hi baaton mai unko uljha dete the
baaton hi baaton mai unko samjha dete the
ajj soch soch kar hue hai preshan hum
shabdo se kaise unko uljha dete the

ek bhi shabd ab to lub per nahi atta
ansuo se kahin bhi ubhar nahi paata
waqat na jane kaise badal gaya sab
humko ab unko man.na nahi atta
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #114 on: March 19, 2008, 09:52:55 AM »
Wah Dodo Kamaal Ka Likha Hai aapne,.
yunhi LIkhte Rahiye,./
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #115 on: March 19, 2008, 10:09:47 AM »
Sab dosto ney khoob likha hai... Applause

Kisi se kahe na sakun mera dard
Kis se kahoon mein hal-e-dil
Ek raasta pe uljan hai toh ek pe gum ka dard
Katam na hogey ye meri tamana aur ye dard ka zeher
Logged
Pooja
Guest
«Reply #116 on: March 19, 2008, 03:00:19 PM »
Thanks lil bro and good one Honey!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #117 on: July 22, 2008, 02:19:08 PM »
Ek Ek Patthar Jord ke Maine Jo Deewaar banaai Hai,.
Jhaanku Uske Peeche To Ruswaai Hi Ruswaai Hai,.

Yun Lagta Hai Sote Jaagte Auron Ka Mohtaj Hoon Main,.
Aankhein Meri Apni Hain, Par Unmein Neend Paraai Hai,.

Dekh Rahe Hain Sab Hairat se Neele Neele Paani Ko,.
Pooche Kaun Samander Se Tujhme Kitni Gehraai Hai,.

Sab Kehte Hain Ek Jannat Utri Hai Meri Dharti Par,.
Main Dil Mein Sochoon Shayad Kamzor Meri Binaai Hai,.

baher Saham Mein Perdon Par Kuch Jalte Bujhte Jugnu The,.
Hairat Hai Phir Ghar Ke Ander Kisne Aaag Lagaai Hai,.

Aaj Hua Maloom Mujhe Is Sheher Ke Chaand Saayon Se,.
apni Raah Badalte Rehne Sabse Badi Danaai Hai,.

Tord Gaye Paimaan-e-Wafa Is Daur Mein Kaise Kaise Log,.
Ye Mat Soch "Qateel" Ki Bas Ek Yar Tera Harjaai Hai,.

__________________________________-Qateel Shifaai,.



bahoot khoob lil bro.. ajj phir kai baar padi yah kavita!! Good sharing
Logged
smardia
Guest
«Reply #118 on: August 10, 2010, 09:35:31 AM »
Nice poetry Pooja-ji......very good expressions...dil ko chhute huye.... Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Apne hi chakarview main apni ek tasveer banai hai
Kabhi achi to kabhi boori surat is main najar aai hai

Karati rahti hu khud se khud ki baatein
Ajj apni hi zindagi main, kitani tanhaai paai hai

Yaandon ke jhule jhulu kabhi baith angan main
Kabhi khayalo mai ane wale sukh ki parchaai hai

Atta nahi kuch bhi hath is pooja ke
Na jaane kaya kismet likhwa kar yah aai hai

Kon sune, kis ko kahe yah dil ke dard apne
Kiya ji sper bhi kabhi vishwas, ussi se thokar khai hai

Apne hi chakarview main apni ek tasveer banai hai
Kabhi achi to kabhi boori surat is main najar aai hai……..

Logged
Pooja
Guest
«Reply #119 on: September 21, 2010, 05:12:24 AM »
bahoot bahoot shukaria Smardia ji!!
Logged
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:18:02 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.131 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer