kis se kahun.....

by Pooja on March 20, 2006, 07:17:42 AM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 8
Print
Author  (Read 6442 times)
Pooja
Guest
«Reply #15 on: March 20, 2006, 04:09:23 PM »
Quote from: "nirbhay"
Zakhm Kuch aaise they....
Ke Aaghaat aaur hum seh na sakey
Alfaz kuch aaise they....
Ke shikayat ki wo baat hum keh na sakey

Jeena to jeena tha muskil tere Isq mein
Wo marne ki baat hum keh na sakey
Sahtey bhi to kabb talak sahtey
Tarr ko shyahi mein bahay bagair reh na sakey!!!!!



wah kaya baat hai, bahoot khoob neer. bahoot dino baad apko parane ka moka milla hai.... bahoot khoob!!

Her zakham tera, ek aor khamoshi bana
her ek dard tera, ek aor sadma sa saja
khud hi khud mai, kab simat kar ek murat mai rah gai
kab Pooja naam khatam hua, kab mai ek pagali ban kar rah gai!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dost kahun ya pyar kahun by carajeshsingh in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
kaise kahun by 19deepak94 in Share:Miscellaneous Shayari
kiss se kahun by saahill in Shayri-E-Dard
La-jawaab Kahun --------------------------------------------PWFS by pankajwfs in Ghazals « 1 2  All »
Ise teri kashish kahun ya tadap...Raaj by Sunil Malhotra in Shayri-E-Dard
Pooja
Guest
«Reply #16 on: March 20, 2006, 04:16:12 PM »
Quote from: "nirbhay"
Naa Dagar ki hai koi khabar
Naa aashna hain rahein Guzar

Naa Meharbaan koi nazar
Jaayein to Jaayein jaayein kidhar??

makaam-e gumnaam hai fhir bhi magar
Kartey Hunooj hain Talaash-e-koi-shajar

teri ayesi to koi Kami na khalti aye humsafar
Parr apnoo ne bhi di mujhe parayo.n ki Dagar!!!


wah kaya baat hai.. you are in full mood Neer!!!
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #17 on: March 20, 2006, 04:54:25 PM »
Jee Bohat Shukriya Pooja Didi.....


Waqt ki chaal se bekhabar ho gaye they
Raat din umar dillagi mein basar ho gaye

Roshni se ulajh iss kadar main gaya tha kahin
Abb andhere mere humnafas-o-hamsafar ho gaye

Manzil to Pukarti thi khari mere saamne wahin
Magar Rah-e-mazil darguzar ho gaye

Gairon se mukhaatab har lamhat mai puchta raha
Ujalon ki talaash mein tanha karvaan se hogaye

mai Jaanta hoon ki Jannat nahin banii yeh zamin kabhie
Parr kyun..Huh??
kyun chaand taare uski mehfil mein shajar ho gaye??
Logged
Pooja
Guest
«Reply #18 on: March 21, 2006, 04:14:28 PM »
wah kay abaat hai, bahoot khoob aor apki Urdu wah janab bahoot khoob!!

her ujala muje uski soorat mai najar ayya
her manjil ka rasta, muje uski taraf khich laya
khud ko bahoot kismatwali samjh kar
sari duniya ko dushman maine bana ayya!!

waqat ka khel tha, wo bhi apna khel, khel gaya
aise chali andhi ki, her ek khawab bikhar gaya
na ajj wo hai sath main, na duniya ko meri parwaah
tanha hi ayye, tanha hi rahe, aor lo ajj tanha hi main chala!!
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #19 on: March 21, 2006, 04:32:27 PM »
Bohat Shukriya Didi and Good One again!!!!!!!!!

Na karo sawaal ke Jazbaa-e-dil kahan hai
Harr ek lavzon mein chhupe lakhon tufaan hai
Ujalon ko lagatey they zanjeer meri hifaazat
Azaad hai wo kya hua jo bikhre mere armaan hai!!!!!

Gum na daale saaya tujhe pe aye humnashi
Kabool hume bewafayi our dagabaaz ka ilzaam hai
Abb to mere wajood se bhi hai apno.n ko hi naffrat
Umeedein hain jal gayi aor zindgi gumnaam hai!!!!!!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #20 on: March 21, 2006, 04:58:50 PM »
Very Nice Nirbhay & Pooja....
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #21 on: March 21, 2006, 05:02:03 PM »
Quote from: "Pooja"
Quote from: "nirbhay"
Zakhm Kuch aaise they....
Ke Aaghaat aaur hum seh na sakey
Alfaz kuch aaise they....
Ke shikayat ki wo baat hum keh na sakey

Jeena to jeena tha muskil tere Isq mein
Wo marne ki baat hum keh na sakey
Sahtey bhi to kabb talak sahtey
Tarr ko shyahi mein bahay bagair reh na sakey!!!!!



wah kaya baat hai, bahoot khoob neer. bahoot dino baad apko parane ka moka milla hai.... bahoot khoob!!

Her zakham tera, ek aor khamoshi bana
her ek dard tera, ek aor sadma sa saja
khud hi khud mai, kab simat kar ek murat mai rah gai
kab Pooja naam khatam hua, kab mai ek pagali ban kar rah gai!!!


wah wah    Nirbhay...... Pooja sis.........   Jaanasheen...............sabhi  ne  bahot accha likha...

Hai  itne  jakham  seene mein,yeh  nasoor  na  ban  jaaye
dhadak raha hia dil mera, kahin  khamosh  na ho jaaye
kam ho jaaye sab dard, agar woh apne seene  se laga le
darr  lagta hai mujhe,kahi mera janaza ashkon se na nahaye.....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #22 on: March 21, 2006, 05:15:27 PM »
na tha koi zindagi mai, na hi shayd koi baad mai ayega
tanhaan beeti yah zindagi, lash ko bhi shayad koi nahi uthayega
jab ayegi badboo duniya ko, apni khatir kahin jala diya jayega
chalti rahi hai duniya, chalati rahegi, kayun koi do ashaq bhi bahayega!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #23 on: March 21, 2006, 05:22:30 PM »
bahot  khoob  Pooja sis..........

woh aankhen  bujh  chuki  hain ashk  bahate hue
shayad  yeh  ab kisi  ke  kaam    bhi na aaye
kaise  bataon main  apni  be-basi  ko  
shayad  meri  jidagi ka  do lahma khud  ab mere kaam na aaye...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #24 on: March 21, 2006, 05:43:23 PM »
bahoot khoob waheed!!
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #25 on: March 21, 2006, 06:44:20 PM »
Zakhm jiss kadar kashe, mujhse fhir bhi koi gila na hua
Teri rafter-e-Tabdeeliyat mein aaj fhir izafa hua
Bahaal kartey Rahey kyun marr mitne ki tarkeebon ko
Dil se gila na hua aaur mera har taraf tamaashaa hua

Jaan dekar Zimedar thaa teri muhabaat ka
Iss martaba bhi ye hakk adaa na hua
Hai afwahyein tarz pe tere lout aane ki …..
Gard-e-shaher ki harr gali mein ujaalaa hua

Kalam-o-shayhi pe kizan hue hum iss paigam parr
Qasr-e-zulmat se mere aashiyane ka azaala hua!!!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #26 on: March 21, 2006, 07:11:26 PM »
Good one Neer!!
Logged
Princess21
Guest
«Reply #27 on: March 22, 2006, 03:10:44 AM »
buhat acha likha hai subne and nirbhay...wow kya baat ha!!
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #28 on: March 22, 2006, 04:23:40 AM »
Shukriya Didi..Waheed Bro...&...Aryaan Jee

Aor Princess21....thanks& Kya baat hai....Huh? happy9
Logged
Pooja
Guest
«Reply #29 on: March 23, 2006, 04:21:14 PM »
dard ki gazal gungunaau kaise
kaya hai is dil mai batau kaise
kabhi lahoo to kabhi ashaq bahe jaata hai
ek wo Pal, kayun pakaar mai nahi atta hai!!
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 8
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:30:49 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer