Kisamat, zazbaat aor Insaan

by Pooja on September 02, 2004, 03:10:48 PM
Pages: 1 2 3 [4]
Print
Author  (Read 5075 times)
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #45 on: July 20, 2006, 06:14:12 AM »
Quote from: "Pooja"
Shukaria AKS JI!!

Bhatak rahi hu, apne zazbaato ke armaan liye
chup ro di ankhiya, band apni juban liye
wah!! nice!! Pooja ji!!


Humne dekha hai Dard-o-mohabbat ki zubaan hoti hai!
Yeh woh kahani hai jo Khamoshi se hi bayan hoti hai!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Zazbaat.... by Amit Janglan in Shayri for Khumar -e- Ishq
ek zazbaat ........ek khayal by salil2002 in Shayri for Dard -e- Judai
~~"KOI ZAZBAAT BAKI NAHI HAI"~~ by k.shael in Shayri-E-Dard
mere ZAZBAAT by EK LAMHA HOON MAIN in Share: Poetry of Pain
Zazbaat-E-Mohabbat by Mohammad Touhid in Shayri for Khumar -e- Ishq
Pooja
Guest
«Reply #46 on: July 20, 2006, 03:52:08 PM »
khamosh njaro mai, koi hulchal nahi
zindagi mai, jeene jaise ab koi baat nahi
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #47 on: July 22, 2006, 10:35:10 AM »
Quote from: "Pooja"
khamosh njaro mai, koi hulchal nahi
zindagi mai, jeene jaise ab koi baat nahi
waah pooja ji!!!

Jeevan ke patjhad mein, basant ki aahat saunp de!
murjhate hue phoolon ko phir khilkhilahat saunp de!

Kar de tamaam mayusiyaan humare naam tu ay khuda,
magar us masoom gulabi chehre ko ek muskurahat saunp de!
[/color]
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #48 on: July 23, 2006, 09:18:16 AM »
WAH KAYA BAAT HAI.....

Kis khuda se app muskaan hai maang rahe
jisne her pal, jakham hajaar hai diye
kismaat kisi ki badal paya hai kon
kismat hai sirf dard, in ashqo ko rok paya hai kon
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #49 on: July 24, 2006, 04:10:25 AM »
Nice written pankhuri ji!!

Dori apne dil ki saunp ke
zara dekh to khuda ke haath tu!
Dawa har ek zakhm ki payega,
Har ek zakhm ke saath tu!
[/color]
Logged
Pooja
Guest
«Reply #50 on: August 14, 2006, 12:26:28 AM »
Kis khud se karu shikayat
jis ke hatho mai khud dor hai
kaya paugi mai koi dawa
uski diye hue gum hi bahoot hai
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #51 on: August 14, 2006, 07:57:35 AM »
Kiya Thaa Hami Nay Yay Daawa K Gher Bas Gher Hi Rehtay Hein

Apni Issi Mantak Ko Samjhaanay Mein Hamein Zamaanay Lagay

Qurbaton Ki Waja Say Door Hova,Hay Yay Ussiki Ryazton Ka Sila

Jissey Paas Aanay Mein Bhi Thay Najanay Kitnay Zamanay Lagay

N/M
Ques....
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #52 on: August 14, 2006, 08:57:37 AM »
Quote from: "Pooja"
Kis khud se karu shikayat
jis ke hatho mai khud dor hai
kaya paugi mai koi dawa
uski diye hue gum hi bahoot hai


Tera diya har ek zakhm humein jaan se pyara hai!
Apni wafaon ke badle yeh tohfa to humara hai!

kaali andhiyari raaton mein jab baadal ghir kar aate hain,
Teri soorat, teri yaadein, tera gham hi to sahara hai!
[/color]
Logged
Pooja
Guest
«Reply #53 on: August 19, 2006, 05:19:00 AM »
bahoot khoob AKS ji and good one Ques ji!!

diya intzaar ka kabhi bujhaya na jayega
yakin yah bhi hai na wo ab kabhi ayega
zindagi ki raah mai kab bujh jaaye shama
de bharosa koi, ek din wo bahoot pachtayega
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #54 on: August 20, 2006, 06:19:49 AM »
Quote from: "Pooja"
bahoot khoob AKS ji and good one Ques ji!!

diya intzaar ka kabhi bujhaya na jayega
yakin yah bhi hai na wo ab kabhi ayega
zindagi ki raah mai kab bujh jaaye shama
de bharosa koi, ek din wo bahoot pachtayega


Janewala chala gaya uska intezar chhod de!
Jo thi uske dum se tu woh bahar chhod de!
Magan ho apne raag mein tu nai ragini bana,
Jo rula de tujhe tu woh malhar chhod de!
[/color]
Logged
Pooja
Guest
«Reply #55 on: August 20, 2006, 06:30:03 AM »
Bewafa hai wo, jiska dard dil se jata nahi,
kayun yah dil, itani se baat maan jaata nahi!!!
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #56 on: August 20, 2006, 06:56:23 AM »
Quote from: "Pooja"
Bewafa hai wo, jiska dard dil se jata nahi,
kayun yah dil, itani se baat maan jaata nahi!!!


woh is liye hain Be-wafa, Unhone ishq ki Ibadat nahin kee!
Tum Isliye ho Ghamzada, Tumne ishq mein Tizaarat nahin kee!
[/color]
Logged
Pooja
Guest
«Reply #57 on: August 20, 2006, 07:00:56 AM »
na jaane kayun, zindagi ki her baaji hari hai
ajj bhi uski bewafai meri wafa per bhari hai
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #58 on: August 20, 2006, 07:43:59 AM »
Tum Wafaa Kartee Rahoo,
Bay Wafaaee say Na Darooo..

Woo Yak Din Pachtaayagaa..
Phir aapkay paas aayagaa...

Dil Hee Dil May woo..
Aap koo hee Cahaygaa..

Par wo aysaa Kartaa Hai Que..
Eqrar karnay say Dartaa Hai Que..

Yaa Wakat Jab chalaa Jayaa gaaa..
Waapas phir Nahee ayaagaa..

Magar.. Dil Hee Dil May woo..
Aap koo hee Cahaygaa..

Ques....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #59 on: August 20, 2006, 07:47:30 AM »
chahega jis din wo muje
yah dil mujko bata dega
na bolega chahe wo kuch
mera dil samjha dega

rooh meri ko chain pa jayegi
dhadakn bhi kuch karaar pa jayegi
hai yah wo khawab
jo roj dekha karati hu
apne hi khayalo se
roj khud ko challa karati hu
Logged
Pages: 1 2 3 [4]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:19:03 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer