kisi gair kaa daaman thaam kar... Intezar !

by Intezar on December 02, 2010, 05:32:17 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1732 times)
Intezar
Guest

   Kuch dil farebo se huaa jaata hai zaar zaar aitbaar bhi yahaan
   Ki phir koi ajnabi mila mujhe nazre jhukaye is baar bhi yahaan

   Kisi gair kaa daaman thaam kar socha wo apna hoga shayad
   lekin phir milaa hume wahi dard ka sehra is baar bhi yahaan

   Ki koi to thaame meri baahein ki main bikhar raha hun toot kar
   Lekin samet le mujhko khud me koi nahin hai is baar bhi yahaan

   Kiski ummeed me be-zaar huaa jaata hai tu khud ko barbaad kiye
   Milegi tujhe wahi nafarat wahi daga wahi fareb is baar bhi yahaan

   Main kis kaabil tha jo apni palko par sazaaya tune khwaab ki tarah
   Sazaa kar khwab jala diya tune har baar ki tarah is baar bhi yahaan

   Ki shohrat ki tamanna liye roshan huye baihte hain jo is mehfil me
   Sabhi ki khushi ke liye bana diya tamaasha mera is baar bhi yahaan

   Ek na-muraad si hayaat meri jo, is jahaan ki deewaaron me qaid hai
   Dhundli ho gayi hai ummeed is qaid se nikalne ki is baar bhi yahaan

   In jismo.n ki duniya ko chhod kar socha, door huye fareb se hum to
   Lekin wahi dhoka mila is lahad mein ‘Intezar’ ko is baar bhi yahaan !


           
                                           Shukirya
                                           Intezar !
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #1 on: December 02, 2010, 07:07:42 PM »
bht khubb intezar ji...bht mast likha hai aapne...jald hi iska reply dene ki koshish karungi
Logged
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 59 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #2 on: December 02, 2010, 07:48:11 PM »
nice one

   Kuch dil farebo se huaa jaata hai zaar zaar aitbaar bhi yahaan
   Ki phir koi ajnabi mila mujhe nazre jhukaye is baar bhi yahaan

   Kisi gair kaa daaman thaam kar socha wo apna hoga shayad
   lekin phir milaa hume wahi dard ka sehra is baar bhi yahaan

   Ki koi to thaame meri baahein ki main bikhar raha hun toot kar
   Lekin samet le mujhko khud me koi nahin hai is baar bhi yahaan

   Kiski ummeed me be-zaar huaa jaata hai tu khud ko barbaad kiye
   Milegi tujhe wahi nafarat wahi daga wahi fareb is baar bhi yahaan

   Main kis kaabil tha jo apni palko par sazaaya tune khwaab ki tarah
   Sazaa kar khwab jala diya tune har baar ki tarah is baar bhi yahaan

   Ki shohrat ki tamanna liye roshan huye baihte hain jo is mehfil me
   Sabhi ki khushi ke liye bana diya tamaasha mera is baar bhi yahaan

   Ek na-muraad si hayaat meri jo, is jahaan ki deewaaron me qaid hai
   Dhundli ho gayi hai ummeed is qaid se nikalne ki is baar bhi yahaan

   In jismo.n ki duniya ko chhod kar socha, door huye fareb se hum to
   Lekin wahi dhoka mila is lahad mein ‘Intezar’ ko is baar bhi yahaan !


           
                                           Shukirya
                                           Intezar !

Logged
Intezar
Guest
«Reply #3 on: December 02, 2010, 08:28:25 PM »
Shukriya... aur Intezar rahega Jawaab ka...

Intezar !

bht khubb intezar ji...bht mast likha hai aapne...jald hi iska reply dene ki koshish karungi
Logged
Intezar
Guest
«Reply #4 on: December 02, 2010, 08:38:20 PM »
Shukriya Manoj ji bahut bahut shukriya...

Intezar !
nice one
Logged
poonam singh
Guest
«Reply #5 on: December 03, 2010, 06:08:13 AM »
 Applause Applause  Applause
buhat hi umda likha hai intezar ji.
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #6 on: December 03, 2010, 06:43:30 AM »
bahut bahut umda lika he aapne..

dher ssaari daad intezar ji~
Logged
Intezar
Guest
«Reply #7 on: December 03, 2010, 11:34:52 AM »
Shukriya Poonam ji bahut bahut shukriya aap ka... aur aapki is nazar ka... !

Intezar !

Applause Applause  Applause
buhat hi umda likha hai intezar ji.
Logged
Intezar
Guest
«Reply #8 on: December 03, 2010, 11:36:21 AM »
Abhi ji aapka bahut bahut shukriya... aap ne ik nazar hum par daali iskeliye bahut bahut shukriya... !

Intezar !

bahut bahut umda lika he aapne..

dher ssaari daad intezar ji~
Logged
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #9 on: December 03, 2010, 02:41:09 PM »
Intezaar ji...bahut achha likha aapne ...bhale meri samjh me nhi aya to kya hua..
uski fikra nt..samjh hi jaunga me kese bhi:)Usual Smile
very very sundar peshkash...
***
Logged
Intezar
Guest
«Reply #10 on: December 03, 2010, 05:47:50 PM »
aap ki yahi saadgi to hume pasand hai KB ji... shukriya aapke khusbsurat comments ke liye... bas aise hi saath rehiye humesha...

Intezar !

Intezaar ji...bahut achha likha aapne ...bhale meri samjh me nhi aya to kya hua..
uski fikra nt..samjh hi jaunga me kese bhi:)Usual Smile
very very sundar peshkash...
***

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 7 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: December 03, 2010, 07:12:21 PM »
Na Jaane kyun Yun lag raha hai jaise ye kalaam mere liye likha gaya ho./
Logged
Intezar
Guest
«Reply #12 on: December 03, 2010, 07:25:55 PM »
itni gehraayi se padhne ke liye shukriya Azeem ji... ki ye aap ke liye laga aapko... bahut bahut shukriya...

Intezar !
Na Jaane kyun Yun lag raha hai jaise ye kalaam mere liye likha gaya ho./
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #13 on: December 06, 2010, 04:09:47 AM »
Good one intezaar ji
Logged
Intezar
Guest
«Reply #14 on: December 06, 2010, 06:43:41 PM »
shukrya bahut bahut shukriya... Rajest ji.. bas yun hi saath rehiye... fir ek baar shukriya aapka...

Intezar !
Good one intezaar ji
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 08:49:21 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer