Kisko de awaaz kis se guzarish kare

by mistufer on June 29, 2009, 12:51:38 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 2974 times)
mistufer
Guest
ek bebasi ki dastan likkhi gayi, dil toot.ta hai jab koi is daur se guzarta, us waqt duniya ko aag lagane ka dil karta hai. aapki rai ka intzaar rahega.
shukriya


Beete dino ki yaad aaj
darwaze par phir se
dastak de gayi------------
bandh kiye huye kuch
kiwardh khol gayi.

Ek dhoondli si tasveer
Nochti nazaar aati hai.
Masoom si bachi
Yeh kahan janti hai
Jo haat jhoola rahain
Vo kahan kahan tak
Jaate rahe hain

Rishte ke naam par
Unn darindo ke
Haaton se Nasoor Zakhan
ban Jate hain
Unke Chahre par hasi
Dil mein kalikh hai.
Woh jhonk ki
Bimari hain
Samaj par bhari hain

Jis ne abhi chalna
Bhi naa seekha
Bolna bhi naa aata ho
Vo hifaazat kaise kare
Kisko awaaz de kiisse
Guzarish kare

Badhti umar aur bebasi
Khud par vishwas
Kho deti hai.
Manti hai kasoor
Uska nahi
Himmat phir bhi
Todh deti hai

Dahshat ki maari
Bebas bechari
Ek deewar bana leti hai
Sanse leti – daar daar kar
Ek jeevit laash si rahti hai
Tamam umr lash si rahti hai

nira
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
````~~~:::GUZARISH:::~~~```` by fakharenaveed in Shayri-E-Dard
SATAYEGA KISKO .... by s.hajare in Shayri-E-Dard
pyar ka ikkrar (kare to kare wo kaise) by tushar_4u_im in Shayri for Khumar -e- Ishq
dosh du kisko...... by Pooja in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Guzarish by faisal314 in Ghazals
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #1 on: June 29, 2009, 01:04:05 PM »
ek bebasi ki dastan likkhi gayi, dil toot.ta hai jab koi is daur se guzarta, us waqt duniya ko aag lagane ka dil karta hai. aapki rai ka intzaar rahega.
shukriya


Beete dino ki yaad aaj
darwaze par phir se
dastak de gayi------------
bandh kiye huye kuch
kiwardh khol gayi.

Ek dhoondli si tasveer
Nochti nazaar aati hai.
Masoom si bachi
Yeh kahan janti hai
Jo haat jhoola rahain
Vo kahan kahan tak
Jaate rahe hain

Rishte ke naam par
Unn darindo ke
Haaton se Nasoor Zakhan
ban Jate hain
Unke Chahre par hasi
Dil mein kalikh hai.
Woh jhonk ki
Bimari hain
Samaj par bhari hain

Jis ne abhi chalna
Bhi naa seekha
Bolna bhi naa aata ho
Vo hifaazat kaise kare
Kisko awaaz de kiisse
Guzarish kare

Badhti umar aur bebasi
Khud par vishwas
Kho deti hai.
Manti hai kasoor
Uska nahi
Himmat phir bhi
Todh deti hai

Dahshat ki maari
Bebas bechari
Ek deewar bana leti hai
Sanse leti – daar daar kar
Ek jeevit laash si rahti hai
Tamam umr lash si rahti hai

nira


VERII PATHECTIC AND TOUCHING ...WE ARE REQUIRED TO DEVELOP A HEALTHY ATMOSPHERE IN ORDER TO AVOID SUCH HINEOUS CRIME
Logged
mistufer
Guest
«Reply #2 on: June 29, 2009, 01:07:52 PM »

VERII PATHECTIC AND TOUCHING ...WE ARE REQUIRED TO DEVELOP A HEALTHY ATMOSPHERE IN ORDER TO AVOID SUCH HINEOUS CRIME

khamosh awaaz ji
bahut sahi kaha hai aapne isse samaj se hatane bahut zaroorat hai
aapne is dard ko samajh mera likhna safal hua
bahut bahut shukriya
nira
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #3 on: June 29, 2009, 01:13:51 PM »
Wah Nira Didi.. Kitna Maarmik Varnan Kiya hai aapne is Bebasi ka..!! Waqai aapka Yeh Qalaam Kuch sochne ko Majboor kar gaya..!! aapki soch Humesha Avval Darze Ki Hoti hai Nira didi.. Kamaal ka likha hai aapne.. Bahut Bahut Khoooooooob.. Applause Applause


**~** Mann **~**
Logged
mistufer
Guest
«Reply #4 on: June 29, 2009, 01:16:58 PM »
Wah Nira Didi.. Kitna Maarmik Varnan Kiya hai aapne is Bebasi ka..!! Waqai aapka Yeh Qalaam Kuch sochne ko Majboor kar gaya..!! aapki soch Humesha Avval Darze Ki Hoti hai Nira didi.. Kamaal ka likha hai aapne.. Bahut Bahut Khoooooooob.. Applause Applause


**~** Mann **~**

vicky tumne hamesha mere likhe ehsaason ko samajha hai usse saraya hai. dilse shukriya adaa karti hoon
god bless u
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 06:08:47 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.083 seconds with 20 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer