******KISMAT******

by baadal102 on January 06, 2008, 11:27:09 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1289 times)
baadal102
Guest
KISMAT bhi na jaane kaise rang dikhati hai,
Chahte hai jis ko use hi door le jaati hai,

Lakh koshish karte hai jis ko paane ki,
KISMAT use hi kuch pal mai alag ker deti hai,

Har khushi paane ki koshish karte hai,
KISMAT use khushi ko bhi gum mai badal deti hai,

Taraste rehte hai sirf ek kandhe ke liye ta-umar,
KISMAT use bhi hum se door kar deti hai,

Aakhri waqt mai mil jaate hai char-char kandhe,
KISMAT bhi na jaane kaise rang dikhati hai,

Ta-umar RAM ke naam ke liye time nahi milta hai,
Aakhri waqt mai yahi naam sun.ne ko milta hai,

KISMAT bhi na jaane kaise rang dikhate hai..........



Baadal
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
kismat by majid in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Aap ki kismat by Anj in Shayri-E-Dard
Khud Ko Khush-kismat Kahun Ya Bat-kismat? by Devdas_online in Shayri-E-Dard
KISMAT by amit_is_always_cool in Ghazals
kismat by tushar_4u_im in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2  All »
aankhain
Guest
«Reply #1 on: January 06, 2008, 12:24:51 PM »
bilkul thek kaha ap ny. mager kismet aisi hoti kyo ha??sad5
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #2 on: January 06, 2008, 12:29:43 PM »
Bahut Khoob... Baadal, Bahut achha likha hai aapne.. Usual Smile
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #3 on: January 06, 2008, 01:27:54 PM »
Quote
Aakhri waqt mai mil jaate hai char-char kandhe,
KISMAT bhi na jaane kaise rang dikhati hai,

Ta-umar RAM ke naam ke liye time nahi milta hai,
Aakhri waqt mai yahi naam sun.ne ko milta hai,

KISMAT bhi na jaane kaise rang dikhate hai..........

Bohat acha likha hai Baadal ji appne,

Haan yeh sach hai duniya ki aakri waqt
peh na hotha hai kisi ka saath sunthe
Ein ankhon seh nikale aasu mere.. Crying
Logged
punam
Guest
«Reply #4 on: January 06, 2008, 02:52:10 PM »
Bahot khoob baadal ji...
bahot acha likha aapne..
Logged
punam
Guest
«Reply #5 on: January 06, 2008, 03:22:41 PM »
Barsat ke baadal kya jane usse kis raha se bachna hai
hum naadan kya jaane humare kismat me kya likha hai..
Logged
Raman.S
Guest
«Reply #6 on: January 06, 2008, 03:35:15 PM »
very nice badal...bahut acha likha hai aapne..... Roll Eyes

ek kismat hi to bas hai ab apni
bakki koi ab apna na raha....
dosh mat do kismat ko apni
akhir mein yahi to bas degi wafa......
Grin
Logged
prmchawla
Guest
«Reply #7 on: January 07, 2008, 03:58:52 AM »
very nice dosto,

are yahi to kismat ke ajeeb khel hai,
isne rache is duniya mai anokhe anokhe mail hai,
kher kuch na kuch to is kismat ka kamaal hai,
warna yeh manushye jiwan to pashu ke samaan hai.

Prem
Logged
sika
Guest
«Reply #8 on: January 07, 2008, 09:42:34 AM »
humen jeene ki tamnna na rahi
bus wo salamat rahe ye dua karte hain

koi pal esa ho ki unko hamari yaad aaye
humko na puchhna hum to har waqt yaad karte hain

jab bhi dua karten hain hum
wo kabhi kisi ki mohtaz nahi rahe yahi dua karten hain

jab bhi aate hain khayal unke
mera har rom unki wafa karta hai
 
Logged
baadal102
Guest
«Reply #9 on: January 07, 2008, 11:37:34 AM »
thanx to all of u.
aap sab ne bhi jo lines likhe hai wo
bahut aache hai.

thanx again aap ki hosla afjai ke liye

Baadal
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 06:43:38 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.145 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer