iss raah-e-mohobat mein
kitna door chala aaya hoon
lagta nahi ki main zinda hoon
shayad koi gum ka saaya hoon
ab dekhta hoon
peechhe mud ke to
apne nishaan bhi
nahi dikhte mujhe
shayad ye duriyaan hain unse
woh to aajkal
kuch bhi nahi likhte mujhe
lagta hai aisa ke
door door tak koi nahi hai
uss dil ke tukde se
koi awaaz aa rahi hai
mere sapne bhi aaj
mujhe chhod chuke hain
phir bhi iss raah per
mere kadam kyun ruke hain
lagta hai ke koi shayad
awaaz dega abhi mujhko
chhod sakti hai woh
yun kaise kabhi mujhko
uss samander ke kinare per
mera ghar toot gaya hai
jaise uske haathon se mera
haath chhoot gaya hai
ab koi ummeed nahi hai
nahi hai koi sahara
kya kahoon tujhse jab
tu he nahi hamara
bas ek baat kehni hai
tujhse e khuda
banaye gar kisi ka saathi
to karna mat juda
ab pathar ker diya hai iss dil ko
koi jab chahe tod sakta nahi isko
tune phir se mere pyar ka
jo anjaam dikhaya hai
maanga tha tujhse amrit
tune zeher pilaya hai
phir bhi nahi hai koi
shikwa ya gila tujhse
shayad aaj tak koi
diljala nahi mila tujhse
karta hoon fariyad e khuda ki
jab tak iss dunia mein pyar rahe
bewafa kahen log tujhe
yahi tera naam rahe.............
ishq hai usse aaj bhi tujhse...
dard woh apna baante aur kis se
kya likhe jo likh chuki hai dil par naam tera...
darr hai kahin ban naa jaaye yeh jism zinda laash mera...
uske dil par jo beet ti hai koi na jaane
duniya ussse tanha chod bas deti hai taane...
kasam dene waala bhi nahi deta hai saath...
khuda se to maanga hai bas tera hi haath...
woh to tujhe chod sakti nahi...
apne pyaar se muhn mod sakti nahi...
pehli fariyaad jo nikli thi dilse...
sewa kartoon teri main mann se....
khuda ne nahi diya woh haq mujhko....
ke jeevan saathi bankar paaon tujhko...
raat raat bhar dil ke dard aansoon main hai girte...
kyun yun mohabbat main milke hain bichadte...
har pal teri yaad main nikalta hai din...
kaise jeeongi ye zindagi
Tum Bin....kahin koi umeed hai dabi..
shaayad mil jaao mujhe tum kabhi....