kiya mila tujhe is pyaar se

by Arifa on January 07, 2005, 08:22:53 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2463 times)
Arifa
Guest
apnay dil se mein aksar poochti hoon
kiya mila tujhe is pyaar se
kiya mila tujhe is wafa se
kion tum nay mujhe itna tanha banadiya
kion tum na mujhe apno se baygana banadiya
kion raatoo ko rona sikhadiya
kion din kay ujaloo mein hasna sikhadiya
kion mujhe kisi aur ka honay nahi diya
kion mujhe sirf usi ka honay diya
kion, aakhir kion ?
dil nay kha......................
kasoor war mein nahi tumahri soch hai
mein nay tou badi chah se tumien kisi ka banayea tha
kion tum nay khud ko tanha banadiya
kion tum nay khud ko sab se baygana kardiya
kion tum us kay pyaar ko samjh na saki
kion tum us kay jazbat ko samjh na saki
kion tum nay us par atebaar na kiya
kion tum nay us kay lout aanay ka  intezzar na kiya
kion, aakhir kion?
kiya yehi tumahra pyaar hai
kiya yehi tumahri wafa hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Aakhir Kya Mila Tujhe by Devdas_online in Shayri-E-Dard
Dil Ne Phir Tujhe Yaad Kiya by Devdas_online in Shayri-E-Dard
jab tujhe yaad kiya by Only4U in Shayri-E-Dard
Aye dil tujhe kya mila unse dil laga kar by irshad ahmed siddiqui in Shayri for Dard -e- Judai
ishq kiya to dard mila.... by priya shekhawat in Share: Poetry of Pain
Talat
Guest
«Reply #1 on: January 08, 2005, 05:43:40 AM »
Wow!! happy9
Logged
Arifa
Guest
«Reply #2 on: January 08, 2005, 07:53:56 AM »
thanks TALAT...........................
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #3 on: January 08, 2005, 08:18:37 AM »
wowwwwwwww.............arifa...........very touchy............and veryyyyyyy niceeeeeeeee.
Keep writing.....i really liked it a lot:)
Logged
Arifa
Guest
«Reply #4 on: January 08, 2005, 10:32:51 AM »
thanks NIDHI...............



sham dhal ahi hai andhyra pheal raha hai
tere aanay ka intezzar abb khtm horah hai

ik dard dil mein bassayea tha
woh dard bhi abb sath chod rah hai

teri yaadookay saya chala karte the
woh saya bhi abb gom ho rah hai

roaz bholnay ki koshsish karte hain hum tum ko
mager naam tera dil se nikal nahi rah hai

hazzaroo gum milay zindagi kay safer  mein NAZ
kisi ki bewaffaie ka gum bholayea nahi jarah hai
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #5 on: January 08, 2005, 04:53:35 PM »
again excellent work arifa. Usual Smile

"Waqt k saath unki bewafai ka gam bhar jayega,
 jab woh khuda wafa tere liye bhi layega,
 intezar kar ab tu us wafa ka.................,
 jo khuda sirf tere liye hi banayega........."
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #6 on: January 08, 2005, 05:02:06 PM »
wow nice work arifa...........nidhi...........very  touching words nidhi......bahot khoob...

aik tumharay sewaa koon hamara hai
aur hamay kis ka sahara hai

pehlay jo seenay main machalta tha
aab wo dil bhi tumhara hai

koi ansoo bhi daman main na giraoo
tumraha har dard aab humara hai

dard jab bhi dil main hua
mujahay laga tum nay pukara hai

lik tu diya tu nay halay dil abeer
magar us ko parna kab gawara hai ..............
Logged
Arifa
Guest
«Reply #7 on: January 08, 2005, 10:53:18 PM »
nice work NIDHI AND WAHEED JI .............




yaha kisi se umet_e_ wafa na kar
yehi samjh lay kay ye dour pahtroo ka hai
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #8 on: January 09, 2005, 06:47:19 AM »
Bahut khoob likha hai aap sab ne.  

Aakhon main hai gham ke aansoo,
Aur hoton pe fariyaad hai,
Aur ab kya hai paas humaare,
Sirf ek teri yaad hai..
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #9 on: January 09, 2005, 06:57:43 AM »
Wah wah waaaah.... Arifa, Waheed....
Logged
Arifa
Guest
«Reply #10 on: January 09, 2005, 01:43:23 PM »
wahhhhhhhhhhhh JHL bohat achah likha hai aap nay





zindagi ki rahhoon mein ranj_o_gum  ka maela hai
bheer hai qayeamat ki aur hum akelay hai
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #11 on: January 10, 2005, 07:07:04 AM »
Thnx Arifa. N too written well.
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #12 on: January 10, 2005, 07:21:35 AM »
Quote from: "waheed_rose2004"
wow nice work arifa...........nidhi...........very  touching words nidhi......bahot khoob...

aik tumharay sewaa koon hamara hai
aur hamay kis ka sahara hai

pehlay jo seenay main machalta tha
aab wo dil bhi tumhara hai

koi ansoo bhi daman main na giraoo
tumraha har dard aab humara hai

dard jab bhi dil main hua
mujahay laga tum nay pukara hai

lik tu diya tu nay halay dil abeer
magar us ko parna kab gawara hai ..............


very nice poem waheed

jab bhi haath utaye hain maine
ek teri hi khushi ko sawara hai

dil na todhna tum kabhi humara
tumse juda hona hume nahi gavara hai

jab tak ho tum saath mere
mere liye tab tak rangin har nazara hai

ek tumhare siva kon humara hai
aur hume kiska sahara hai
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #13 on: January 10, 2005, 07:22:34 AM »
Quote from: "waheed_rose2004"
wow nice work arifa...........nidhi...........very  touching words nidhi......bahot khoob...

aik tumharay sewaa koon hamara hai
aur hamay kis ka sahara hai

pehlay jo seenay main machalta tha
aab wo dil bhi tumhara hai

koi ansoo bhi daman main na giraoo
tumraha har dard aab humara hai

dard jab bhi dil main hua
mujahay laga tum nay pukara hai

lik tu diya tu nay halay dil abeer
magar us ko parna kab gawara hai ..............


very nice poem waheed

jab bhi haath utaye hain dua ke liye
ek teri hi khushi ko maine sawara hai

dil na todhna tum kabhi humara
tumse juda hona hume nahi gavara hai

jab tak ho tum saath mere
mere liye tab tak rangin har nazara hai

ek tumhare siva kon humara hai
aur hume kiska sahara hai
Logged
Arifa
Guest
«Reply #14 on: January 10, 2005, 10:27:32 AM »
very nice waheed ji and sandhaya



hijar ki badua na ho jana
dekh lena saza na ho jana
mod tou beshumar aayengay
thak na jana juda na ho jana
beirada safer pe niklay ho
raston ki hawa  na ho jana
ek tumhi  ko khuda se manga hai
tum khahi bewafa na ho jana
tum khahi bewafa na ho jana
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:02:36 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.093 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer