kooi toh banaaye isse dhang ka ..................

by tanhachand on December 18, 2005, 01:22:25 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1911 times)
tanhachand
Guest
kooi in havaaone se puche
ye itne shital sii kyoun hain
garm lava main bhi
ye lageti thandii se kyoun hain
jevan ko jene ke liye
inki hoti jarorat kyoun hai
aag bhi jalaayein toh bhi
aag bujhaao toh bhi
hoti inki jarorat kyoun hai


khile phoolon se kooi puche
wo raat main aisa karti kya hai
jise dekha tha aaj hin khile huye
subah wo sadkoon pe bichi kyoun hai
havaao ne unko cheda hai
fir bhi hava badnaam nahi kyoun hai
sabhi jagah inki hoti jarorat kyoun hai..............


hava toh sabka meet hai
 sabko deta jeevan sangeet  hai
khud ko jalakar deti sabko siiit  hai
aise hava ko kooi kaise na pyaar kare
jo unke tan ki khushbu ka ehsaas karaaye
aise hava se  kaise kooi door rahe
chaahe wo chupke se unko chuaa kare
meri soutan bana kare
par unka sandes mujhe bas deti rahe
chaahe hazaaro saal unke saath rahe........unko jeevan deti rahe.


........................................


.......................pata nahi kya likhna chaahti thi .........jo sahbdoon main piroo nahi paai ..............jisse likhna aata hai kya wo is bhav ko sahi roop de sakta .hai............agar haan toh plz ...........kooi banaaye issee dhang ka poem ..................mujh se toh nahi bana ..................
Logged
tanhachand
Guest
«Reply #1 on: December 19, 2005, 05:09:55 AM »
chupke se jab tum
...................kaano main kutch kehte ho
............................suno main sun nahi paati tumko
tumhaari saanso ke
......................garm hava se
mann main ek lehar si
............................uttth jaati hai
na jaane aankhe band or
......................saanse tej kyoun ho jaati hai


ji karta hai bas
.................tum aise hin kutch kehte raho
pass mere issi bahaane
....................bas u hin khade raho
tumhaari saanse mujhe bas
........................u hin chooti rahe
gaal tumhaare mere gaalon se
...........................aise hin satte rahe
labb tumhaare kisi bahaane
...........................mujhe aise hin chute rahe


kaash ! haan kaash
.................kutch kehne ko mere paas bhi ho
main bhi tumhaare kaano maine
................chupke se kutch kaha karoon
tumhaare kaandhoon ko kisi bahaane
......................aise hin choooa karoon
haathon se tumhaare gaal ko
..................... chupke se chuaa karoon
dil ki dhadkan ko tumhaare
...................apne siine pe mehsoos karoon
kisi bahaane hay ! kisi baahane tumhaare nazdiik
........................aise hin aaya karoo..........
Logged
tanhachand
Guest
«Reply #2 on: December 19, 2005, 05:32:23 AM »
do badan ki khushboo mil jaaye aise
ek naya khushboo ban jaaye  jaise
saanso se saanse mil jaaye aise
garm kooi laava bane jaaye jaise
aao mil jaaye ek dusre se aise
ek naya pehchaan mil jaaye jaise
do badan ek jaan hon hum  jaise ..................
Logged
tanhachand
Guest
«Reply #3 on: December 19, 2005, 04:34:50 PM »
khuda bhi naa jaane
....................kya kya karte rehte hain
har ghadi na jaane kyoun
.....................imtihaan lete rehte hain
aankho ko chmak dikha kar
mann main abhilaasaha jaga kar
niymoono ka na jaane kyoun
................. pool baandh dete hain
door khade tadpata dekh
...............na jaane kya sochte rehte hain
khushi  meri dekh na jaane kyoun
................khfa ho jaate hain
hasne se pehle hin assonoko
......................bhej dete hain
assono se ladta dekh_
..................or ek naya dard bhej dete hain
data aab to rehm karo ki
............... ek insaan hoon main
aapke jaisi nahi kooi
.................bhagwaan  hoon main
meri hin  kisamt
..................aisi kyoun hai
meri hin aasoono ki  
.................aapko jarorat kyoun hai
reham khuda ...maana aapki
.................chaheti hoon main
khush hoon ki  rehti  humesha
..................aapke karreb hoon main
itne se mann bhrata nahi mera
........ kya kroon ki
...............mere dil ki ek kone ko
..................... jaroorat unke pyaar ki hai.............
Logged
tanhachand
Guest
«Reply #4 on: December 20, 2005, 03:42:05 PM »
chand se bhi sunder mera pyaar hai
chaand se bhi jayaada unmaine gumaan hai
har baat pe apni muskaan deta hai
ek saath na jaane kitno pe waar  karta hai
usspe unki aadaayin ki wo samjhte kutch nahi
kooi unke khaatir bimaar hai unko khbar nahi
chalte aise  hian jaise kooi mastaana sa ho
paas jaao toh dikhte viraana se hain wo
ye ada unki dil churaane ki hai
apne jaalon main sabko fasaane ki hai
dorr se wo dikhte bade bhole_bhaale jaise hain
vise wo hain bhi bade hin sidhe jhlebi jaise hain
kehte hain itna sidha toh nahi hoon main
bas barfi jaisa hin hoon main
hay! unka har baat pe aise  hasna
jaise khud bade hoshiyaar or mera kam_akal hona
kooi unse keh de hum bewakoof nahi hain
hai muhobbat unke hasi se
issliye bante thode kam_akal hain hum ..........
Logged
tanhachand
Guest
«Reply #5 on: December 22, 2005, 01:18:25 PM »
suniye mujhe  pyaar se padha karo
dimaag jyaada na lagyaa karo
mere bhavoon ko hin bas samjha karo
kaisa likhti hoon ye na bataaya karo ...........its for u hero ji..haha
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #6 on: December 22, 2005, 01:21:30 PM »
badhiya hai tanjha ji..... nice... keep writing...Usual Smile
Logged
tanhachand
Guest
«Reply #7 on: December 22, 2005, 01:39:26 PM »
mili iiiiiiiiiiiiiiiiiiii............................. ..............


...................


................................................. aapko swaad badhiyaa laga iskeliye thanks...............


....................................bye tc
Logged
tanhachand
Guest
«Reply #8 on: December 25, 2005, 04:28:05 AM »
hadd se jyaada kisi ki taaref na kijiyega
sach ! pachtana pad jaayega
wo tumko hin sare aam bura keh jaayega
gumaan usko itna ho jaayega ........he he
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #9 on: December 25, 2005, 05:00:09 AM »
wow tanha achhi collection hai............very gud......... tongue3
Logged
tanhachand
Guest
«Reply #10 on: December 25, 2005, 06:41:16 AM »
thankssssssssssssss
Logged
tanhachand
Guest
«Reply #11 on: December 25, 2005, 06:41:43 AM »
thankssssssssssssss
Logged
tanhachand
Guest
«Reply #12 on: December 26, 2005, 04:15:57 PM »
mujhe yaad hai tumhari saari baatain
apne wo saare haseen mulaakatain
har wo baat jo tumne kahi thi
jindagi wo pal jo humne saath bitai thi
wahi hai meri yaadon ka gehna
tum bhi humesha ye yaad rakhna
mujhe khud se kabhi na door karna
main bas tunhaari hin hoon sajnaa




sach hai aaj bhi bas itna hin chahti hoon
 dil se keh do ki pyaar hai itna hin maangti hoon
 tumhaare yadon main basna chahti hoon
har ghadi khushi bankar dil main rehna chahti hoon
tumhaare aankho ki roshni main chamkna chahti hoon
tum jahan bhi dekho nazar aaon main aisi tasveer banna chahti hoon.......................




keh do ek baar sajna
itna kyoun pyaar sajna
 hai mujh main aisa bhi kya re ......................sach tumhaare shabdoon main khona chahti hoon ......ha ha ha
Logged
tanhachand
Guest
«Reply #13 on: December 27, 2005, 06:05:50 AM »
kaha ho tum chale aao
ki ek ek din bhaari padta hai
ek ek din karke saal gujar jaata hai
saal aise guzrate rahe toh zindagi guzar jaata hai
zindagi guzar gayi toh lout ke na kooi aata hai
bina ichcha purti marn ko bhoot banna padta hai
bhoot ko fir sabko pareshaan karna padta hai
bhoot pareshan karega toh sabko drana padta hai
fir har haal main bhoot ko dar dar ke yaad karna padta hai
or apne kismat pe rona padta hai ..........ha ha .....just kidding ..............
Logged
tanhachand
Guest
«Reply #14 on: December 29, 2005, 06:22:39 AM »
100 bar kehti hoon ki pyar hai tumse
100 bar kehti hoon ki inetzar hai tumhaara
100 baar kehti ki tum se hin jevan hai mera
100 baar kahi baatain ko ansoona kar dete ho
1 baar jo keh doon ki chale jaao
1 bar jo keh doon nafrat hai tumse
toh jhatt se kaise soon lete ho ........hmmm
................................................. ...............................................Huh?Huh?Huh?Huh?Huh??//
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:22:09 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer