Kuch Aakhiri Pal.......!!!! (Plz Share the Moments...!!)

by badnaam_shayar on September 15, 2006, 04:22:27 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2021 times)
badnaam_shayar
Guest

Dard ki Galion me ghoome ka ab Sehra aa nikla.....
Awaara phir ab bann gaye hum tera Nishaan hee mera Manzar nikla.....

Laut aye hum phir Dard ka Darwaja khatkhane.....
Shayad Yahi Zindagi Nasoor BaDShaaH nikla.....

Maan lee ab haar humne or Khumar ke Saamne ghutne tek diye.....
Teri Badsalookhi se dekh kaise mera Karwaan Badnaam nikla.....

Dard ki Galion me ghoomne ka ab Sehra aa nikla......

Na kehna Awaara hume hum toh bas Mahobbat kia karte the......
Kya kariyega jo woh Phool kisi aur ka nikla......

Yeh Garmian yeh Narmian......
Bas yahi Mausam hai jo mera ASHQ teri Aankhon se aa nikla......

Lo Chale gaye ab hum Raah se teri......
Phir na kehna tu kyu mere Raste ka Pathar aa nikla......

Dard ki Galion me ghoomne ka ab Sehra aa nikla........!!!!!!!!!!!!
:D  :D  :D  :D Anjaani Style.... :wink:


Plz Share Some Last MOments of Love.....Fight.....aur Any End moment of any Relation.........!!!!!!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
There come the moments by Sonu in English
ye aakhiri SALAAM sabko... by sacccha_pyar in Shayri-E-Dard
The moments we share!!!! by BeNam in English « 1 2 3 4 5 »
Those moments by Amanraj in English
AAKHIRI PAHAR by kuchtohai in Shairi - E - Zindagi
Talat
Guest
«Reply #1 on: September 15, 2006, 04:51:28 PM »
Very Nice Gaurav.....behtareen !!

Wo tera dard ko muskurahat main chupana.....
Ankhon ke konon se do ashkon ka beh jaana....
Kuch kehte hue mujhse tum ruk gaye the jab....
Haan, mujhe yaad hai wo aakhiri pal....!!!

Un aankhon ne mujhe bohot bechain kiya tha.....
Teri awaaz ki larzish pe dil mera tadap utha tha...
Alwida kehte hue kuch toota tha andar...
Haan, mujhe yaad hai wo aakhiri pal....!!!

Jaani anjaani raahon pe aaaj bhi chalte hue.....
Chehron ki bheed main tumhe dhoond rahi hoon....
Dobaara milne ki aas ki lau bujh si gayi thi jab...
Haan, mujhe yaad hai wo aakhiri pal....!!!
Logged
phoenix
Guest
«Reply #2 on: September 15, 2006, 05:38:25 PM »
hua kuch iss kadar tha wo shaam k aandhere mein
thodi si baatein chubi thi dono k seene mein
in sard hawao.n ne bhadkai thi chingari iss dor mein
the hum aandhere mein ab aa gaye hain iss kone mein

jaane anjaane mein badte chale gaye faasle
na kuch bolna munaseeb samjha na batana iss khel ghinone mein
kya karta galti meri bhi thi uss dil mein ek kil chubhone mein
rota hun mein jab hasta hai aaina shakl dekh meri diye ki lau k hone mein

aaj jab aate hain mukaam wahi uss raah ko choode hue kisi kone mein
dil bhar jata hai, aankh hoti hai nam
jab yaad aa jati hai din aur raat k hone na hone se
hai wo mere aas paas chahe tum dekh lo palat kar mere sapan salone mein
( for my angel whom i hav lost forever....)
Logged
ranjana
Guest
«Reply #3 on: September 15, 2006, 05:47:34 PM »
bahut khoob gaurav ....nice one....Talat ..too good...

woh sardi ki aakhari shaam kuch ajab dhang se meri zindagi mein aayi thee
ek umeed thee mere daman mein fir se tujhse milne ki
mere dil ki dharkan joro se badh aayi thee…….

Woh shaam jaise ek mout ke kadamo ki aahat thee
zindagi kuch udaas udaas  thee………
Tere khyaalo  se roshan thaa dil mera aur..
 dil mein tujhse Bicharne ke ehasaas se bojhil si meri saans thee,

us shaam ke us pal mein  kya kya na mere pass thaa
beete pal ki kuch khushnumaa  yaade aur mera dil unse aabaad thaa
saath dekehe gaye khawab ki shehnaayi ke saath woh sama bahot udaas thaa
woh bheegii bheegii si sard hawa woh halki halki si ghungunhat……
mujhe tere saath saath alvida kehane aayi thee……..
woh sardi ki aakhari shaam kuch ajab dhang se meri zindagi mein aayi thee

zehan mein woh raahe thee jin raaho se hum gujare they
aankho mein woh  manzar thaa jab haatho mein haath pakade they
aaj wahi raahe kitni maausi le kar aayi thee
sardi ki woh shaam aakhari kyu meri zindagi mein aayi thee

badal gaye woh halaat saare sapane kyu kar tut gaye
tum mere khawaabo ko badal na sake haqikat mein
aur main bhi kahan apni hado se baahar  nikal paayi thee
aaj hamaari yeh chahat yeh kis mod per aayi thee
woh sardi ki shaam aakhari aaj mujhe tere saath alvida kehne aayi thee…………..
Logged
roshni246
Guest
«Reply #4 on: September 15, 2006, 05:47:44 PM »
big bro..aap to hi kamal..(akhir ma bro)

too gud...keep it up guyz..
Logged
Talat
Guest
«Reply #5 on: September 15, 2006, 06:07:18 PM »
Nitesh....and Ranju di.....waah bohot hi khoob likha hai !!!
Logged
phoenix
Guest
«Reply #6 on: September 15, 2006, 06:14:55 PM »
Quote from: "Talat"
Natesh....and Ranju di.....waah bohot hi khoob likha hai !!!


ye kaun hai
Logged
ranjana
Guest
«Reply #7 on: September 15, 2006, 06:28:07 PM »
Quote from: "Talat"
Natesh....and Ranju di.....waah bohot hi khoob likha hai !!!


shukriya Talat .... Usual Smile

kuch yaade kisi pal ki zinadgi mein saath jud jaati hai
chaha ke bhi zehan se fir woh nikal nahi paati hain

badalta hai jab jab kisi rut ka mizaaz kahi bhi
mujhe aaj bhi woh beete lamahe yaad aa jaate hain

saath beetaaye they kuch lamahe maine zinadgi ke saath jeene ke
woh lamahe mere maaus dil ko aaj bhi jeene ki wajah de jaate hain...
Logged
Talat
Guest
«Reply #8 on: September 15, 2006, 06:39:56 PM »
Nice one again :D

Arre galti ho gayi NITESH :D
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #9 on: September 15, 2006, 07:21:41 PM »
Waaaah....Talat....Ranjana and Nitesh.....Superb all of u...!!!
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #10 on: September 16, 2006, 09:19:25 AM »
dard e ishq ka kya rishta hai mujhse mai tujhse kaise kahu.....
is dard k bina aab mai is duniyame kaise rahu......
wo chala hai mujhe chod is duniya me akela kahi door.....
wo thi meri sanse uske bager mai kaise jiyu.....
Logged
ranjana
Guest
«Reply #11 on: September 16, 2006, 10:57:43 AM »
hame shikva sirf apne dil se hai
ki hum na ban sake tere vishawas ke kaabil

jo aaj tere hum tere dil ke itne kareeb hote
toh tujhe nazarandaaz hone ki shikaayat na hoti !!

************************************

hawaayen to aaj bhi hamaara paigaam apke paas le jaati hain...
Ye aur baat hai ki aapne ab kabhi unko suna hi nahi


tere dil ke siva mera thikaana aur kahan thaa
teri manzil ko ab meri raaho.n se koi waasta hi  nahi !!
Logged
roshni246
Guest
«Reply #12 on: September 16, 2006, 11:10:34 AM »
na thi unki khata...kuch galtiyan humare daman bhi hai...
mar mitte unpe..kuch istara be-inteha mohobbat kar baithe...

kya karen kuch dosh is zalim dil ka bhi tha ..
to kuch dosh unki bechain dhadkano ka bhi hai...

do pal mein mere dil ka karwan chal diya...
yeh dastan ab mere rukh ki dishaon mein bhi hai...

aaj phir in ghataon ne unki yaad dilayi hai...
beeti chaht ki bheeni si mehek in hawaoon mein bhi hai..


~roshni~ Puzzled !
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #13 on: September 16, 2006, 08:22:16 PM »
Waaah...Tushar.....Roshu....and Ranju


Halaat-e-Dard ab Zaahir nahi kia jata......
Yoon toh de deta hu Tasalli Dil ko......
Par khud ke Zakhm pe toh haath phera nahi jata.......

Lab Muskurate hai mere par Khushi ka Matlab na samajh sake.....
JO rehti hai Chandani Chaar dinn use Zindagi kyu na keh sake......

Ab Dard Sangeen aur Khawab Adhoore se lagte hai......
De de Maut aye Khuda humse bina Khawabon ke jeeya nahi jata.....!!!!!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #14 on: September 17, 2006, 11:46:28 AM »
yun tut kar kisi ko koi na kabhi chahay
yun har pal kisi ki yaad yun dil na jaalaye

na beete yun har pal aankho mein ashq bahrte hue
Rabha ab koi heer apne ranjhe se bicharane na paaye

fir se na veeran ho ab kisi ke dil ka chaman
har kisi ko apne pyaar ki manzil mil jaaye

yeh dard judaai ka bahut sataata hai
ab yeh dard kisi ka nasur na ban jaaye

na bhatake ab kisi ki raha apni manzil se
ab kisi ki zindagi ke carvaan ko koi sehara na bulaaye

sadiyo tak bahatkati hai yeh payaas koi adhuri si
koi  mirgtrishana ka dariya ab kisi ko yun na bahatkaaye
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 02:38:06 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer