kuch jazbaato main se saansein jaati nahi

by Pooja on May 05, 2008, 03:35:32 PM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 8
Print
Author  (Read 6548 times)
Pooja
Guest
Drad hota hai dil main ajj bhi, ansoo ab ate nahi
Sooni si ho jaati hai ankhia, zakham ab utna satate nahi

Kyun ka sawal, chubhaata hai ab bhi teer rah rah kar
Magar yah teer ab lahoo ke ansoo mujhe rulaate nahi

Awaaz teri sun kar bhi kar deti hu ansuna sab kuch
Dhawani tere shabdo ki, ab dil ko sehma paati nahi

Dab chuka hai sab kahin ander mere, jaise ban gaya ho shamshaan
Magar phir bhi kuch jazbaato main se saansein jaati nahi.....
Logged
syednaami
Guest
«Reply #1 on: May 05, 2008, 03:50:20 PM »
Sooni Raahen

Rah rah kar ab bhi uski yaadon se khud ko sataata hun, -
Preshaan hota hun to uske aks se dil behlaata hun. -

Teer dil men lage hazaar par maza bhi leta hun, -
Jawaab adhure chhodkar suni raahon men bhatakta hun. -

Suna suna hai mera jeevan uski hansi ka sahara leta hun, -
Sahme huey pyar men ab dard hi dard ko paata hun. -

Dil ban chuka hai qabr mera sannaton men hi palta hun, -
Jazbaat to ubharte hain kai par yaad men marna chahta hun. -


(Syed Naami)

-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-
Pooja ji yeh mera fastest jawab hai, saans abhi post karke li hai.
Rok ke rakhi thi saans ke kahin bhool na jaun shabdon ko.
Buhat khoob likha, ta'azeem men khade huey hum.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: May 05, 2008, 04:01:15 PM »
fastest jawab ke liye bahoot bahoot shukaria... bahoot hi acha likha hai apne!! Likhne ke mood main hu.. ho sake to aise hi sath dete rahiyega!!

Uski yaad bhi aa jaaye to khud se nafrat hoti hai
Preshan uske liye nahi, ab meri koi sehar hoti hai

Her Teer uska maana ajj bhi dil dukhata hai
Ab to use koi bhi jawab na de kar hi tasalli hoti hai

Suna suna sa yah mera jahan, jis main nahi koi uski khwaish
Magar tanhaai main, kai baar ek sathi ki jarurat hoti hai

Dil mai uski yaadon ka shamshan, aor kuch zajbaat abhi zinda
Zindagi ma naa jaane kyun, Itani kash-m-kash hoti hai!!!!!
Logged
syednaami
Guest
«Reply #3 on: May 05, 2008, 04:19:32 PM »
Dilaasa dil ko dene ka dard-e-dil ik bahaana hai, -
Preshaan hun bhi to kya sehar ko to hona hai. -

Teeron ka aadi hun dil men har khazam hara hai, -
Jawaabon men kuchh nahin bas yaadon ka sahaara hai. -

Naadaniyaan hui to theen par aitibaar ab bhi hai, -
Tanhai ke aalam men bhi khumaar-e-ishq jaise taaza hai. -


Dhoondhta hun dil ki qabar men jo yaad dabbi hai, -
Jazbaat ki gaahrai men jo raaz-e-ishq dafan hai. -



(Syed Naami)

-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-
Ab thoda der lagi.  DOH
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: May 05, 2008, 04:28:34 PM »
SATH KE LIYE SHUKARIA!!! Bahoot sahi kaha apne!! bahoot acha likha hai!!


Kai baar na jaane kyun dil itna dukh jaata hai
Shabdo mai behal kar, kuch skoon sa paata hai

Teer wo chalata hai ek baar he dil dukhane ko
khayalo main wo hi teer, baar baar khud se chal jaata hai

Nadaani wo, jo ho jaaye, ek ya do baar kisi se
Jo dard de baar baar, usko na jaane kaya kaha jaata hai

Qabar koi to mile jis main dafana du her ek jazbaat khud ke
Siskati – trot.ti sansón se, waqat,  be-waqat dard ris jaata hai

Logged
pandit
Guest
«Reply #5 on: May 05, 2008, 06:58:34 PM »
wow ....
gud thread...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: May 05, 2008, 07:00:21 PM »
(Syed Naami)

-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-
Ab thoda der lagi.  DOH

IS BAAR KITANI DER LAGEGI, KAM SE KAM ITNA HI BATA DIJIYE!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: May 05, 2008, 07:00:54 PM »
Shukaria Pandit ji!!!
Logged
pandit
Guest
«Reply #8 on: May 05, 2008, 07:01:44 PM »
we
Shukaria Pandit ji!!!
lcome ji...
Logged
pandit
Guest
«Reply #9 on: May 05, 2008, 07:05:32 PM »
Uski yaad bhi aa jaaye to khud se nafrat hoti hai,
Uske dhadkano ki aawaaj se dil me jalan hoti hai,
Fir kyun na hoo nafrat-e-isq,
Jab humare naam se bhi kisi ko sihran se hoti hai.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: May 05, 2008, 07:08:39 PM »
wah kaya baat hai.. bahoot khoob pandit ji!!
Logged
pandit
Guest
«Reply #11 on: May 05, 2008, 07:10:52 PM »
wah kaya baat hai.. bahoot khoob pandit ji!!
Thanks pooja ji....
hausala afzai k liyea...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #12 on: May 05, 2008, 07:33:52 PM »
Drad hota hai dil main ajj bhi, ansoo ab ate nahi
Sooni si ho jaati hai ankhia, zakham ab utna satate nahi

Kyun ka sawal, chubhaata hai ab bhi teer rah rah kar
Magar yah teer ab lahoo ke ansoo mujhe rulaate nahi

Awaaz teri sun kar bhi kar deti hu ansuna sab kuch
Dhawani tere shabdo ki, ab dil ko sehma paati nahi

Dab chuka hai sab kahin ander mere, jaise ban gaya ho shamshaan
Magar phir bhi kuch jazbaato main se saansein jaati nahi.....


Bahut Bahut Khoob pooja..bahut hi acha likha hai.. Applause Applause  Applause

naami saab aapne bhi khoob likha..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: May 05, 2008, 07:52:50 PM »
Bahut Bahut Khoob pooja..bahut hi acha likha hai.. Applause Applause  Applause

naami saab aapne bhi khoob likha..


bahoot bahoot shukaria khwaish ji!!!

Magar apne kaha likha hai  BangHead
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #14 on: May 05, 2008, 08:10:50 PM »
Kuch Jazbaaton mein se Saansein Jaa Nahi Sakti
par bhari mehfil mein yeh zubaan,haale-e-dil bataan nahi sakti...

haan,yeh baat sach hai ke
tere khwaab dekhta hoon
main aaj bhi khuli aankhon se,
par khwaab to khwaab hai
haqeeqat ka rang paa nahi sakti...

har dard ko apne muskaan ke saaye mein chupaye phirta hoon
dhadkan bhi betaab hai par kya karoon??
dhadkane kabhi apni surat dikha nahi sakti....

har shaks apni apni majbooriyon ke tale daba baitha hai
kya kare "KHWAISH"?? ,
zindagi kabhi apne mutaabik nazar aa nahi sakti...

Tanhai aur bebasi ke qaid mein har saans hai apni,
lakh koshish karle par kabhi aankhein apne aansu chupa nahi sakti...

kuch jazbaaton se saansein jaa nahi sakti
par bhari mehfil mein yeh zubaan,haal-e-dil bataan nahi sakti....
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 8
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:53:47 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer