kuch jazbaato main se saansein jaati nahi

by Pooja on May 05, 2008, 03:35:32 PM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 8
Print
Author  (Read 6651 times)
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #15 on: May 05, 2008, 08:14:35 PM »
Drad hota hai dil main ajj bhi, ansoo ab ate nahi
Sooni si ho jaati hai ankhia, zakham ab utna satate nahi

Kyun ka sawal, chubhaata hai ab bhi teer rah rah kar
Magar yah teer ab lahoo ke ansoo mujhe rulaate nahi

Awaaz teri sun kar bhi kar deti hu ansuna sab kuch
Dhawani tere shabdo ki, ab dil ko sehma paati nahi

Dab chuka hai sab kahin ander mere, jaise ban gaya ho shamshaan
Magar phir bhi kuch jazbaato main se saansein jaati nahi.....


Sundar ati sundar....
Khas kar jazbaat ki thami huai saanson ka zikar kafi gehri soch ki jaanib ishara karta he, bohot khooooob.
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #16 on: May 05, 2008, 08:22:22 PM »
S.naami ji pandit ji or khwaish sa. aap tamam ne bohot umda mehfil sajai he, lage raho shayro.........
Logged
Pooja
Guest
«Reply #17 on: May 05, 2008, 08:23:45 PM »
bahoot bahoot shukaria sayyid ji... kavita pasand karne ke liye aor "kuch jazbaato main se saansein jaati nahi" mai chipi gahrai samjhane ke liye!!!

Sath hi sath bahoot bahoot shukaria, is baar jayada gahri urdu/hindi ka upyog na karne ke liye!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #18 on: May 05, 2008, 08:32:58 PM »
Kuch Jazbaaton mein se Saansein Jaa Nahi Sakti
par bhari mehfil mein yeh zubaan,haale-e-dil bataan nahi sakti...

haan,yeh baat sach hai ke
tere khwaab dekhta hoon
main aaj bhi khuli aankhon se,
par khwaab to khwaab hai
haqeeqat ka rang paa nahi sakti...

har dard ko apne muskaan ke saaye mein chupaye phirta hoon
dhadkan bhi betaab hai par kya karoon??
dhadkane kabhi apni surat dikha nahi sakti....

har shaks apni apni majbooriyon ke tale daba baitha hai
kya kare "KHWAISH"?? ,
zindagi kabhi apne mutaabik nazar aa nahi sakti...

Tanhai aur bebasi ke qaid mein har saans hai apni,
lakh koshish karle par kabhi aankhein apne aansu chupa nahi sakti...

kuch jazbaaton se saansein jaa nahi sakti
par bhari mehfil mein yeh zubaan,haal-e-dil bataan nahi sakti....


wah wah wah.. khwaish ji.. ek ek line apke dil se sidha yaha challi aaii.. bahoot khoob.. ek ek line kamal ki likhi hai apne.. magar yah lines baar baar padi gai:

har shaks apni apni majbooriyon ke tale daba baitha hai
kya kare "KHWAISH"?? ,
zindagi kabhi apne mutaabik nazar aa nahi sakti...

Jalad hi kuch likhugi !!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #19 on: May 05, 2008, 08:45:26 PM »
Toot kar bikharata hai dil, to jagah maloom nahi padati
Her atte jaate ki shakal, bas ek ajnabi si hai lagati

Such aor khwab na ho sake kabhi ek zindagi main
Per armaano per bhi koi bandish lag nahi sakati

Dard kabhi badla muskaan mai to kabhi bilkh gaya ansuo main
Her baar to dhardkan dil ki sun nahi sakati

Bata kar apni apni majboori, chal diya her ek shakas
Kyun Zindagi, Ek baar bhi Pooja ko khushi de nahi sakti

Bebas tanhaai main, saasein bhi aatti hai ruk ruk kar
Kyun ek baar main he yah saasein ruk nahi sakati……
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #20 on: May 05, 2008, 08:48:53 PM »
wah wah wah.. khwaish ji.. ek ek line apke dil se sidha yaha challi aaii.. bahoot khoob.. ek ek line kamal ki likhi hai apne.. magar yah lines baar baar padi gai:

har shaks apni apni majbooriyon ke tale daba baitha hai
kya kare "KHWAISH"?? ,
zindagi kabhi apne mutaabik nazar aa nahi sakti...

Jalad hi kuch likhugi !!

Bahut Bahut shukriya pooja!!bas jo dil mein aa raha tha likhta gaya..teh dil se aapka shukrioya ke aapne padha aur saraha..
Logged
syednaami
Guest
«Reply #21 on: May 05, 2008, 08:52:54 PM »
Pooja ma'am
Wonderful amazing, excellent, vivacious, value added, revolutionary. Superb, Bravo!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #22 on: May 05, 2008, 08:58:02 PM »
bahoot bahoot shukaria Sami ji!! Sath mile to bhawnaaye apne app shabdo ka roop laker kavita ban jaati hai!!!
Meri kavitao ko itani achi tarah se srahne ke liye bahoot bahoot shukaria!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #23 on: May 05, 2008, 08:58:37 PM »
Toot kar bikharata hai dil, to jagah maloom nahi padati
Her atte jaate ki shakal, bas ek ajnabi si hai lagati

Such aor khwab na ho sake kabhi ek zindagi main
Per armaano per bhi koi bandish lag nahi sakati

Dard kabhi badla muskaan mai to kabhi bilkh gaya ansuo main
Her baar to dhardkan dil ki sun nahi sakati

Bata kar apni apni majboori, chal diya her ek shakas
Kyun Zindagi, Ek baar bhi Pooja ko khushi de nahi sakti

Bebas tanhaai main, saasein bhi aatti hai ruk ruk kar
Kyun ek baar main he yah saasein ruk nahi sakati……


Bahut Bahut Khoob..kya likha hai aapne!!bahut hi ache..
yeh padhkar mujhe kisi aur ka kuch likha yaad aaya..share karna chahunga..

Manzilen Bhi Uski Thi,
Raasta Bhi Uska Tha,

Ek Main Akela Tha,
Kaafila Bhi Uska Tha,

Saath-Saath Chalne Ki Soch Bhi Uski Thi,
Phir Raasta Badalne Ka Faisla Bhi Uska tha,

Aaj Main Akela Hoon,
Dil Sawaal Karta Hai,

LOG TO USS HI KE THE,
KYA KHUDA BHI USKA THA??
Logged
Pooja
Guest
«Reply #24 on: May 05, 2008, 09:04:36 PM »
bahoot hi achi KAVITA SHARE KI HAI APNE KHWAISH JI... Magar janati hu, Apki likhi kavita,, is kavita se kahin jayada achi aor gahari hogi....

Sami ji appka jawab ka bhi intzaar ho raha hai..
Logged
syednaami
Guest
«Reply #25 on: May 05, 2008, 09:05:51 PM »
Mr./Ms. Khwaish
Marvelous, trustworthy words, poetic valor hidden inside, heart impounding verses. Bravo!!!

Pooja Ma'am,
So nice, your philosophical indenture is really a ground breaking imagination. Sources are always like minerals just a need to explore is required.

Thanks
Logged
Pooja
Guest
«Reply #26 on: May 05, 2008, 09:09:45 PM »
Sami ji.. Khwaish ji Mr. hai Usual Smile
Logged
syednaami
Guest
«Reply #27 on: May 05, 2008, 09:12:03 PM »
Oh, I D K. Thanks for info
Logged
Pooja
Guest
«Reply #28 on: May 05, 2008, 09:24:06 PM »

Pooja Ma'am,
So nice, your philosophical indenture is really a ground breaking imagination. Sources are always like minerals just a need to explore is required.

Thanks


Tahe dil se bahoot bahoot shukaria janab!!!
Logged
syednaami
Guest
«Reply #29 on: May 05, 2008, 09:30:58 PM »
Thank you for considering my thoughts and letting me know about your precious inner feelings about the philosophical spree.

Thanks and Regards
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 8
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 01:42:42 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer