kuch jazbaato main se saansein jaati nahi

by Pooja on May 05, 2008, 03:35:32 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8
Print
Author  (Read 6592 times)
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #45 on: May 05, 2008, 11:20:58 PM »
Likhte hain to saare teer seene men khaakar likhte hain, par har teer ko aise sarahte hain jaise teer na ho koi phool chho gaya ho inko mehka gaya ho. Inke alfaaz men ghazab ka jaadu hai, dard ki siyaahi itni tez hai ki kaghaz par agar qatra gir jaye to kaghaz jal jaaye, iss liye muhtarami apne alfaaz ko dil ke kissi kone men qufl-e-aahan se band karke rakhte hain.
Humne inko jab bhi padha to chashm nam aur dil men un teeron ki chubhan ka ehsaas dabang paaya.
Yeh jazbaat ke dhani hain, dard ka qafila hain, muhabbat se sarshaar ek paikar-e-insaani hain. Hum inse takkar kya inke saamne qadam nahin jamasakte.
Yeh ek justaju hain, khayaalat-e-kaamila ki woh tashbeeh hain, jis men firaaq ki saari nishaaniyaan ayaan hain. Inke liye main likhna to buhat chahta hun, par shaayad kaaghaz khatam ho jayenge inki tehreem men mere alfaaz ka zakhira nahin khatam hoga.
Allah inko aabad rakhe qaaim-o-daaim rakhe aur hifz-o-amaan men rakhe.
Ghustaakhi na ho issliye ahqar pehle hi aap se maazarat ka talabgaar.

S Naami


Is haqeer or ilm ke lihaaz se nihayat faqeer ki aesi tareef kar ke huzuur-e-wala ne YO ke Danish mandon ki shaan me gustakhi zaroor ki he, ya phir ye kahun ke khud apne alfaaz ki shaan me bhi ye gustakhi he.  tongue3

Koi mukhlis dost or hamdard hi aesi baat likh sakta he, mere liye aap ko alfaaz to mile magar aap ki muhabbat or ikhlaas ke liye mere paas alfaaz nahi, ye chand aansoo b-tor nazraana pesh karta hun qubool farmaen.  tearyeyed

Ahqarul anaam : Sayyid Randeri [gufira lahu w.w.
]
Logged
Pooja
Guest
«Reply #46 on: May 05, 2008, 11:23:22 PM »
Yah app dono Sami jee aor Sayyid ji, ek doosre ko kaya kaya likhte ho.. bas bahoot kam hi samjh atta hai!!! waise apne sahi kaha Sami ji.. Sayyid ji kam likhte hai magar bahoot gahra likhte hai!!!

main koi jhooth bolya  BangHead
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #47 on: May 05, 2008, 11:31:09 PM »
pata nahi kaya likh rahi hu..

Ankhon se dil mai samane wala
Dil ko torr kar, akela chor jaane wala

Ansoo jisne ponch kar, ansuo main doobone wala
Khwabo mai saj kar, khwabo ko torrane wala

Ajj bhi atta hai najar wo na najaro mai anne wala
Dekh kar mujhko, phir munh ko mord kar jaane wala

Kuch palo ka sath, phir har pal ko akela chordne wala
Zindagi le gaya sath, tooti hue sanso ko de jaane wala

Jazbaat se khail kar, pathar bana jaane wala
Hansti hui, chanchla ko, Pooja bana jaane wala


achchi he bohot achhi he magar aakhri sher to lajwaab he, poori nazm ka khulasa he.

zaroor kuchh likhne ki koshish karunga.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #48 on: May 05, 2008, 11:33:33 PM »
Bahoot bahoot shukaria Sayyid ji!! Ajj sath dene ka, sath likhne ka bahoot bahoot shukaria!!
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #49 on: May 05, 2008, 11:41:09 PM »
main koi jhooth bolya  BangHead

E ka hoy gawa???!!!

Aaa..aaa..p bhi? s.naami ji ke saath shamil hogae?

Usne tareef kar ke loota he
Kon kehta he dost jhootha he

Ab aap dono milkar khilli udate rahenge to raha saha dimag bhi chat ho jaaega.  tongue3
Logged
Pooja
Guest
«Reply #50 on: May 05, 2008, 11:45:50 PM »
yah kaya ho gaya Tinku so gaya  DOH( bachpan se meri Fav line hai kuch bhi aise ho jaaye to) Laughing hard
Apki khilli nahi urdaai hai.. DOH yah kaha hai ki main Sami ji ke sath sehmat hu jo bhi apke liye likha.  Clapping Smiley
magar sath hi sath app aor Sami ji itani gahari urdu likhte hai ki adha samjh mai atta hai aor adha nahi!!! sad11 BangHead

Hun daso.. main ki jhooth bolya!!!   NaNaNa
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #51 on: May 05, 2008, 11:57:55 PM »
Aap ne sachh farmaya pooja ji magar me to itni zyada mushkil urdu istemaal nahi karta, or jo karta hun wo is liye ke me zyada hindi ya english nahi jaanta, is liye urdu alfaaz ko aap ko english me nahi samjha pata hun.

"yah kaya ho gaya Tinku so gaya" is ka matlab aap bachpan sehi shayar hen, qafiya bandi karte hen, me bhi aesi hi baaten kiya karta tha bachpan me.  Giggle
Logged
Pooja
Guest
«Reply #52 on: May 06, 2008, 12:02:03 AM »
Ji sahi kaha, apki urdu phir bhi samjh mai aa jaati hai..  Thumbs UP Magar Sami ji to Urdu ki shiksha de kar hi rahege  Crying
 Wo ek kahawat charitarth hoti hai yaha per: Poot ke panw, palne main hi najar aa jaate hai!!!  sunny
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #53 on: May 06, 2008, 12:08:33 AM »
Wo ek kahawat charitarth hoti hai yaha per: Poot ke panw, palne main hi najar aa jaate hai!!!  sunny

 Laughing hard Laughing hard Laughing hard
Han yahi baat he.
Or ghar waale to afsos karne lagte ke Ye to gaya kaam se.
Logged
syednaami
Guest
«Reply #54 on: May 06, 2008, 07:43:05 AM »
Main so gaya to peeche itna bada baaton ka jhamghata jamaa kar diya, maine to pehle hi ghustaakhi ki maafi ka banner laga diya, agar koi aisi waisi baat likhi to bhool samajh lijiyega.  sad11

Faqat Qaasir-e-taareef

S Naami
Logged
sarthika
Guest
«Reply #55 on: May 06, 2008, 01:32:32 PM »

- - - - - ------- - - - - -
- - - - - -------------- - - - - -
++++++++++
- - - - - -------------- - - - - -
- - - - - ------- - - - - -
Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
sarthika
Guest
«Reply #56 on: May 06, 2008, 01:36:00 PM »
Kuch Jazbaaton mein se Saansein Jaa Nahi Sakti
par bhari mehfil mein yeh zubaan,haale-e-dil bataan nahi sakti...

haan,yeh baat sach hai ke
tere khwaab dekhta hoon
main aaj bhi khuli aankhon se,
par khwaab to khwaab hai
haqeeqat ka rang paa nahi sakti...

har dard ko apne muskaan ke saaye mein chupaye phirta hoon
dhadkan bhi betaab hai par kya karoon??
dhadkane kabhi apni surat dikha nahi sakti....

har shaks apni apni majbooriyon ke tale daba baitha hai
kya kare "KHWAISH"?? ,
zindagi kabhi apne mutaabik nazar aa nahi sakti...

Tanhai aur bebasi ke qaid mein har saans hai apni,
lakh koshish karle par kabhi aankhein apne aansu chupa nahi sakti...

kuch jazbaaton se saansein jaa nahi sakti
par bhari mehfil mein yeh zubaan,haal-e-dil bataan nahi sakti....


Dil ka dard shabdo se khail jaata hai
Shabdo ka male, dil se khail jaata hai
Khwab jab bhari padne lage haqiqat per
Khayal zindagi se khail jaata hai!!!
Logged
syednaami
Guest
«Reply #57 on: May 06, 2008, 01:43:44 PM »
Dil ka dard shabdo se khail jaata hai
Shabdo ka male, dil se khail jaata hai
Khwab jab bhari padne lage haqiqat per
Khayal zindagi se khail jaata hai!!!


Splendid verses, sad tone and factual entry.
Bravo!!
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #58 on: May 06, 2008, 02:33:47 PM »
pooja ji,
yeh sub ek shaam mein likha gaya he!jitni gati hamari padhne ki bhee nahi ho sakti utni aap ki liikhne ki he. aap ki soch ki jitni tareef ki jaaye kum he.
agar aapki anumati ho to Limca book of records mein aapka naam propose karna chaunga-mein vakai achambhit hu.jitni meri poori zindgi ki jamapoonji nahi he-us-se adhik kavitaye ek shaam mein--namumkin sa lagta he.

Kaash aapka shatansh(1/100 hissa aa jaata)!kaise ho sakta he..kaash..

Syeednaami ji,

sangat ka khoob asar he,mere bhai--aap chaa gaye he.samy se tez chal rahe he aap to!

Sayidji,
Aap ne hausla afzahi kar  aur saath saath likh kar bahut umdaudaaharan prastut kiya he, Badhai.

Khwaish ji ,

Aap ka likha padh kar hamesha he sukhad anubhav rehta he..baar baar tareef isliye karta hu.

Saarthika ji,

bahut khoob likha he aapne.
Logged
baadal102
Guest
«Reply #59 on: May 06, 2008, 03:50:26 PM »
 Applause kya baat hai pooja ji fir wahi sur laut aaya aapka Applause


ek arse se aap ki issi saayri ka intzaar tha






Baadal
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 09:41:07 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.629 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer