kuch jazbaato main se saansein jaati nahi

by Pooja on May 05, 2008, 03:35:32 PM
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8
Print
Author  (Read 6590 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #90 on: May 07, 2008, 04:04:28 PM »
Zubaan Khamosh Hai Par
Aankhon Mein Tufaan Sa Kyon Hai??

Saans To Leta Hai Har Shaks Iss Jahan Mein,
Par Bejaan Sa Kyon Hai??

Kai Hasratein Dam Tod Chuki Hai Kismat Ke Aage,
Par Phir Kismat Ke Aage Insaan Itna Meharbaan Sa Kyon hai??

Dil To Hai Mere Paas "Khwaish"
par mere dil ke paas dhadakne ka koi bahana nahi,
Dilo Ke Iss Bazaar Mein, Har Shaks Pareshaan sa Kyon Hai??

Chupe Hue Khwaishe,Chupe Hue Jazbaat Bhi Saans Lete Hai Eh Khuda!!
Woh Baat Alag Hai,Tu Inn Baaton Se Anjaan Sa Kyon Hai??

Humsafar Saath Na De To Karwaan Nahi Rukh Jaata "Khwaish"
Zindagi Ke Har Ek Sawaal Ka Jawaab Hota Hai Insaan Ke Paas,
Par Phir bhi Inn Sawaalo Se Insaan Hairaan Sa Kyon Hai??

Inn Ankhon Ne Keh Diya Woh Raaz Jo Dil Mein Chupa Tha "Khwaish"
Ungli Teri Taraf Kabhi Uthai Bhi Nahi,
phir Tu Itna Pashemaan Sa Kyon Hai??

Kisi Ke Liye Dard Nahi Iss Dil Mein,
Nahi Rota Hai Yahan Koi Kisi Aur Ki Mushkil Mein,

Sach To Yeh Hai Ki YEH PATHAR HAI,
Par Phir Shakal Insaan Ki Kyon Hai??

Jo Paraya Hai,Woh Apna Ban Gaya Hai "KHWAISH"
Aaj Apna Hi Apne Ghar Mein Mehmaan Sa Kyon Hai??

Zubaan Khamosh Hai Par Aankhon Mein Tufaan Sa Kyon Hai??
Logged
Pooja
Guest
«Reply #91 on: May 07, 2008, 04:09:03 PM »
wah wah wah!!! Khwaish ji app jab likhte hai Dil ki gahraio se likhte hai!!! bahoot khoob... ek ek line bahoot achi likhi hai... magar yah lines bahoot achi lagi...

Humsafar Saath Na De To Karwaan Nahi Rukh Jaata "Khwaish"
Zindagi Ke Har Ek Sawaal Ka Jawaab Hota Hai Insaan Ke Paas,
Par Phir bhi Inn Sawaalo Se Insaan Hairaan Sa Kyon Hai??
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #92 on: May 09, 2008, 02:53:23 PM »
wah wah wah!!! Khwaish ji app jab likhte hai Dil ki gahraio se likhte hai!!! bahoot khoob... ek ek line bahoot achi likhi hai... magar yah lines bahoot achi lagi...

Humsafar Saath Na De To Karwaan Nahi Rukh Jaata "Khwaish"
Zindagi Ke Har Ek Sawaal Ka Jawaab Hota Hai Insaan Ke Paas,
Par Phir bhi Inn Sawaalo Se Insaan Hairaan Sa Kyon Hai??

Bahut Bahut Shukriya Pooja...bas jo soch thi usse aksharo mein utaarta chla gaya...aapne padha,bahut bahut shukriya
Logged
baadal102
Guest
«Reply #93 on: May 09, 2008, 03:31:55 PM »
Bahoot khoob khwaish ji
bahoot aacha likha hai



Baadal
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #94 on: May 10, 2008, 12:33:05 PM »
Bahoot khoob khwaish ji
bahoot aacha likha hai



Baadal

bahut bahut shukriya baadalji..
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #95 on: May 10, 2008, 01:28:10 PM »
Bahut khoob likha hai aapne.. Khwaish.. Applause

Logged
Pooja
Guest
«Reply #96 on: May 12, 2008, 02:35:30 PM »
Zubaan thak chuki, deemag thak chuka
ankhon ki barsaat kabhi thakati nahi
saansein lena hai ek majboori is shareer ki
zindagi ka jeena, ab jaroori nahi

hasrato ki hasrate tooti is kadar ab to
kisi bhi hasrat se koi umeend jaroori nahi
Bichardna He Tha, Bichard Gaya Jo Mil Kar
zindagi-e-raah main ab uska intZar jaroori nahi

seene se ubhar kar aa jaate hai kuch zajbaat ankhon mai
beh jaane de ab inko pooja, ankhon ko band karna jaroori nahi
thume thume se, siskate yah zajbaat kahin  mere ander
jiye jaane de, her ek ka marna bhi Jaroori nahi......
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #97 on: May 12, 2008, 09:31:31 PM »
Zubaan thak chuki, deemag thak chuka
ankhon ki barsaat kabhi thakati nahi
saansein lena hai ek majboori is shareer ki
zindagi ka jeena, ab jaroori nahi

hasrato ki hasrate tooti is kadar ab to
kisi bhi hasrat se koi umeend jaroori nahi
Bichardna He Tha, Bichard Gaya Jo Mil Kar
zindagi-e-raah main ab uska intZar jaroori nahi

seene se ubhar kar aa jaate hai kuch zajbaat ankhon mai
beh jaane de ab inko pooja, ankhon ko band karna jaroori nahi
thume thume se, siskate yah zajbaat kahin  mere ander
jiye jaane de, her ek ka marna bhi Jaroori nahi......


Bohot khoob Pooja ji apne jazbaat ko alfaaz ke sanche me bakhoobi dhala he aap ne.  Applause

Logged
Pooja
Guest
«Reply #98 on: May 29, 2008, 06:40:32 PM »
shukaria Sayyid Randeri ji!!
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #99 on: May 29, 2008, 06:46:07 PM »
Bahut Bahut khoob randheri saab..

Aap ki nawazish he khwaish ji...
digar janaab me randheri nahi randeri hun.  tongue3
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #100 on: June 06, 2008, 12:35:08 PM »
bahut khoob pooja..bahut acha likha hai...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #101 on: June 06, 2008, 12:38:03 PM »
Bahut khoob likha hai aapne.. Khwaish.. Applause


bahut bahut shukriya mahiya..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #102 on: June 24, 2008, 07:48:28 PM »
Ghor Talab

Koi wah ko samjhe aah
to koi aah men dhoonde raah
Aisi pukhta rakho chaah
ki har aah se mile wah


(Syed Naami)

her aah ko wah mil nahi paati
kyun wafa ko wafa mil nahi paati
jitna bhi chaha khud ko samjhana
utani he zindagi hai ulajh jaati
Logged
Pooja
Guest
«Reply #103 on: June 24, 2008, 08:43:58 PM »
E meri dhadkano, thora sa reham kar do
Mere dil ko mere zisam se juda kar do
Thak rahi hai zindagi, bikhar na jaaye kahin
Meri akhiri sanson ko sirf mere naam kar do

Badi hasrato se sicha hai yah pyar ka daaman
Dheere dheere, ise mujhse juda kar do
Bichard gaya jab wo, to kaya karu inka
Mere her ek ahsaas ko mujhse juda kar do

Ab na ayye ashaq, meri ankhon mai kabhi
Dil se meri her ek dhadkan ko juda kar do
Zindagi ki he koi chah na rahi Pooja ko
Pooja ko ab uski rooh se juda kar do…..

E meri dhadkano, thora sa reham kar do
Meri Rooh ko mere zisam se juda kar do
Logged
sagar_voski22@gmail.com
Guest
«Reply #104 on: June 24, 2008, 09:05:53 PM »
 Applause u hv written tht which i heartly and truly waiting fr..
u hv touched my soul 2melt.....an u hv md my eyes  2turn into ocean of tears...
may god give u all..wt evr u want...
thanx...fr such nice versions.. Applause Applause Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

ab toh hur najara huraam lagta hai..
jindagi kya uske bagaer..
chand sanso ki baat hai..
warna ab toh maut hi iska aakhri naam lagta hai.. Applause

Logged
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 04:51:05 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.169 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer