# # # Kuch paane ke liye... # # #

by diya786 on May 14, 2009, 09:21:49 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 3435 times)
diya786
Guest
Sabhi ki zindagi mein ek waqt aisa bhi zaroor aata hai jab woh yeh sochne par majboor ho jaata hai ki kuch paane ki chah mein kya kuch kho diya usne
ek choti si koshish ki hai ki jab wohi shaks peeche mudkar dekhta hai to use kaisa lagta hai...

Kuch paane ke liye
na jaane kitna kuch kho aaye
ab khud se sharminda hain soch kar
yeh kis raah par nikal aaye

Kaisa hai yeh zindagi ka safar
nahin hai jiski koi bhi manzil
ab tak humne jo kuch kiya
nahin hai uska koi bhi haasil
ek khushi hi talashti thi nazar
lekin kitne hi gham ab hain aaye
Ab khud se sharminda hain soch kar
yeh kis raah pe nikal aaye

Tum bhi soch lo meri majbooriyaan
na chah kar bhi jo humne kiya
palat kar jo humne dekha zara
khud apne haalat pe ashkon ko baha diya
phir jo dekha humne aaina
khud ko hi pehchaan_ne se inkaar kar aaye
Ab khud se sharminda hain soch kar
yeh kis raah pe nikal aaye...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
kuch paane ke liye by aryan_mantri in Shairi - E - Zindagi
TUJHE PAANE KE LIYE by Grim Reaper in Shayri for Khumar -e- Ishq
tujhe paane ke liye Katle-aam kar diya by thegrimreaper in Shayri for Dard -e- Judai
***Tume Paane Ke Liye*** by AVTAR RAYAT in Shayri for Khumar -e- Ishq
hamne kaato se dosti ki phoolo ko paane ke liye by jeet jainam in Shayri-E-Dard
sajid_ghayel
Guest
«Reply #1 on: May 14, 2009, 09:55:42 AM »
Wah Diya bohat khoob....Very Good work.
Logged
diya786
Guest
«Reply #2 on: May 14, 2009, 10:24:22 AM »
Behtareen Peshkash Hai Gudiya
Bohat Khoob Keep It Up.
Kuch Bana To Baad Main Jarur Likhunga
Khush Raho..

Bahut bahut shukriya Majid Bhai notworthy
jo aapne saraha
intezaar rahega mujhe aapke jawaab ka
Logged
diya786
Guest
«Reply #3 on: May 14, 2009, 10:28:59 AM »
Wah Diya bohat khoob....Very Good work.

Shukriya Sajid Sahab
Logged
diya786
Guest
«Reply #4 on: May 14, 2009, 10:31:57 AM »
Waah Diya ji behad acha likha hai aapne  Clapping Smiley Clapping Smiley bahot mahsus kar likha aapne..  a gud poem..                                                                                                        tu to ek pyara sa dost hai jo khafa hoke bhi nahi hota hai,hamesha apne kalaam se dher saari baat karta hai,har nagma har nazm dil se likhti hain aap,hamesha padhne ko jee karta hai

Bahut bahut shukriya Kaash ji notworthy
jo aapne is kadar saraha meri nazm ko
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #5 on: May 14, 2009, 10:43:49 AM »
Kashish Dear... aapki Qalam ke to Hum Pahale se hi Kaayal hain..!! aur Yeh Poem to waqai dil ko chhoo gai.. Ek Succhaai Ko Lafzon me Dhaal kar aapne Behad Khubsoorat Poem Likhi hai..!! Applause Applause

Jo Bhi Is Rachna Ko padega use Yahi lagega ki Shayad yeh Uski Zindgi se Juda koi such hai.. aur Asli shayar wahi kahalaata hai jo Ha Padhne wale ko yeh Mehsoos kara de.. aur aap isme Kaamyaab hui hain.... Daad Kubool karen is MANN Ki...!!!


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


**~** Mann **~**
Logged
diya786
Guest
«Reply #6 on: May 14, 2009, 10:47:56 AM »
Kashish Dear... aapki Qalam ke to Hum Pahale se hi Kaayal hain..!! aur Yeh Poem to waqai dil ko chhoo gai.. Ek Succhaai Ko Lafzon me Dhaal kar aapne Behad Khubsoorat Poem Likhi hai..!! Applause Applause

Jo Bhi Is Rachna Ko padega use Yahi lagega ki Shayad yeh Uski Zindgi se Juda koi such hai.. aur Asli shayar wahi kahalaata hai jo Ha Padhne wale ko yeh Mehsoos kara de.. aur aap isme Kaamyaab hui hain.... Daad Kubool karen is MANN Ki...!!!


[/b] Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


**~** Mann **~**

Bahut bahut shukriya dear itni gehraai se padhne ke liye... notworthy
Logged
Talat
Guest
«Reply #7 on: May 14, 2009, 10:52:36 AM »
Waah Kahish...Bohot hi khoob...bohot achcha likha hai  Applause Applause
Logged
dead heart
Guest
«Reply #8 on: May 14, 2009, 06:44:19 PM »
Sabhi ki zindagi mein ek waqt aisa bhi zaroor aata hai jab woh yeh sochne par majboor ho jaata hai ki kuch paane ki chah mein kya kuch kho diya usne
ek choti si koshish ki hai ki jab wohi shaks peeche mudkar dekhta hai to use kaisa lagta hai...

Kuch paane ke liye
na jaane kitna kuch kho aaye
ab khud se sharminda hain soch kar
yeh kis raah par nikal aaye

Kaisa hai yeh zindagi ka safar
nahin hai jiski koi bhi manzil
ab tak humne jo kuch kiya
nahin hai uska koi bhi haasil
ek khushi hi talashti thi nazar
lekin kitne hi gham ab hain aaye
Ab khud se sharminda hain soch kar
yeh kis raah pe nikal aaye

Tum bhi soch lo meri majbooriyaan
na chah kar bhi jo humne kiya
palat kar jo humne dekha zara
khud apne haalat pe ashkon ko baha diya
phir jo dekha humne aaina
khud ko hi pehchaan_ne se inkaar kar aaye
Ab khud se sharminda hain soch kar
yeh kis raah pe nikal aaye...

Bahaut acha likha hai Kashish di... Applause
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #9 on: May 15, 2009, 01:09:09 AM »
WAH WAH DIYA JI
SARVESH RASTOGI
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #10 on: May 16, 2009, 09:01:18 AM »
Sabhi ki zindagi mein ek waqt aisa bhi zaroor aata hai jab woh yeh sochne par majboor ho jaata hai ki kuch paane ki chah mein kya kuch kho diya usne
ek choti si koshish ki hai ki jab wohi shaks peeche mudkar dekhta hai to use kaisa lagta hai...

Kuch paane ke liye
na jaane kitna kuch kho aaye
ab khud se sharminda hain soch kar
yeh kis raah par nikal aaye

Kaisa hai yeh zindagi ka safar
nahin hai jiski koi bhi manzil
ab tak humne jo kuch kiya
nahin hai uska koi bhi haasil
ek khushi hi talashti thi nazar
lekin kitne hi gham ab hain aaye
Ab khud se sharminda hain soch kar
yeh kis raah pe nikal aaye

Tum bhi soch lo meri majbooriyaan
na chah kar bhi jo humne kiya
palat kar jo humne dekha zara
khud apne haalat pe ashkon ko baha diya
phir jo dekha humne aaina
khud ko hi pehchaan_ne se inkaar kar aaye
Ab khud se sharminda hain soch kar
yeh kis raah pe nikal aaye...


Wah Wah Bhoot bahoot khoob Kashish Dear.. bahoot hi Umda Likha hai.. bahoot khoob! Applause Applause Applause
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #11 on: May 16, 2009, 09:02:17 AM »

Kuch Pane Ki Chaah Mein Hum Sab Khote Gaye
Bas Khud Apne Liye Hi Jaise Kaante Bote Gaye.

Is Berang Duniya Ke Kuch Rang Mujhpe Yun Chade
Ki Phir Charon Aur Bas Jaise Andhere Hote Gaye

Khwahishon Ka Suraj Hijr K Badal Me Kya Chupa
Phir To Zindagi Ke Sare Maayne Hi Badalte Gaye.

Kuch Yun Chali Tere Intazar Ki Thandi Hawaae,n
Ki Kuch Ashq Meri Aankhon Mein Hi Jhamte Gaye.

Aur Kya Karta Bhala Main Tujhse Koi Shiqwa Gila
Bas Bewafaai Tune Ki Aur Sharminda Hum Hote Gaye.




Wah Wah Majid ji.. Bahoot bahoot khoob. Well written.  Applause Applause
Logged
aaina
Guest
«Reply #12 on: May 16, 2009, 11:45:02 AM »
bhut hi khoobsurat koshish diya ji
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #13 on: May 20, 2009, 11:51:22 AM »
Sabhi ki zindagi mein ek waqt aisa bhi zaroor aata hai jab woh yeh sochne par majboor ho jaata hai ki kuch paane ki chah mein kya kuch kho diya usne
ek choti si koshish ki hai ki jab wohi shaks peeche mudkar dekhta hai to use kaisa lagta hai...

Kuch paane ke liye
na jaane kitna kuch kho aaye
ab khud se sharminda hain soch kar
yeh kis raah par nikal aaye

Kaisa hai yeh zindagi ka safar
nahin hai jiski koi bhi manzil
ab tak humne jo kuch kiya
nahin hai uska koi bhi haasil
ek khushi hi talashti thi nazar
lekin kitne hi gham ab hain aaye
Ab khud se sharminda hain soch kar
yeh kis raah pe nikal aaye

Tum bhi soch lo meri majbooriyaan
na chah kar bhi jo humne kiya
palat kar jo humne dekha zara
khud apne haalat pe ashkon ko baha diya
phir jo dekha humne aaina
khud ko hi pehchaan_ne se inkaar kar aaye
Ab khud se sharminda hain soch kar
yeh kis raah pe nikal aaye...


Kashish ki Koshish...bekaar Lagi Mujhe !!!
Logged
diya786
Guest
«Reply #14 on: May 22, 2009, 11:01:49 AM »
Lo Gudiya Koshis Karta Hun
I Hope Aapko Pasand Aaye
Aue Galti Maaf Ho Behna....


Kuch Pane Ki Chaah Mein Hum Sab Khote Gaye
Bas Khud Apne Liye Hi Jaise Kaante Bote Gaye.

Is Berang Duniya Ke Kuch Rang Mujhpe Yun Chade
Ki Phir Charon Aur Bas Jaise Andhere Hote Gaye

Khwahishon Ka Suraj Hijr K Badal Me Kya Chupa
Phir To Zindagi Ke Sare Maayne Hi Badalte Gaye.

Kuch Yun Chali Tere Intazar Ki Thandi Hawaae,n
Ki Kuch Ashq Meri Aankhon Mein Hi Jhamte Gaye.

Aur Kya Karta Bhala Main Tujhse Koi Shiqwa Gila
Bas Bewafaai Tune Ki Aur Sharminda Hum Hote Gaye.



Bahut khoob Majid Bhai
kamaal likha hai
too good
Applause Applause Applause
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 02:45:31 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.131 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer