Kuchh Jawab Ab Humse Sawaal Karte Hai___ {Angel}

by angel4u on July 06, 2009, 04:40:16 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 4131 times)
angel4u
Guest
Kuch Jawab Ab Humse Sawal Karte Hai,
Zindagi Ki Veeraniyon Ne Hamein Patthar Kar Diya,

Kahan Kho Gaye Ho Tum In Anjaani Si Raahon Mein
Tumhare Qadmon Ke Nishaan To Ab Tak Hai In Raston Pe,
Saamne Hai Manzil Par Na Jaane Tum Kahan Kho Gaye,

Dhadkanein Tumhari Hamara Hi Naam Liya Karti Thi,
Kya In Mein Tumhari Dhadkanein Ab Shamil Nahi?
Aaj Meri Ye Dhadkanein Madhdham Hai Kyon,

Base The Hum Tumhari Har Saans Mein
Kya Tumhari Saanson Mein Ab Hum Mehekte Nahi?

Kyon Aaj Ye Laqeerein Alag Si Lagti Hai,
Kya In Mein Ab Tumhare Naam Ki Taqdeer Nahi?

Ujdi Hui Si Kyon Hamein Har Kali Lagti Hai,
Is Bahar Mein Kya Ab Hamara Ehsaas Nahi?

Kabhi Saath Milke Ghanton Dekhte The Samundar Ki Lehron Ko,
Aaj Tapti Hui Ret Pe Chalte Hue Sochte Hai Hum,

Kyon Aaj Tumhari Chahat Ki Chhanv Hamare Saath Nahi?
Zamane Ki Thokarein Se Jo Sambhalti Thi Hamein,
Aaj Wo Baahein Kyon Hamein Thaamti Nahi?

Aa Jao Sanam Ke Ab Bhi Tere Intezaar Mein Hai,
Ye Samundar, Ye Kaliyan, Ye Saansein, Ye Dhadkan,
Ye Rooh Adhoori Hai Tum Bin,
Aa Ke Kar Do Hamari Zindagi Ko Mukammal Sanam,
Aa Jao Na!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Aaj kal, woh humse, Baat nahin karte hain by KaMaL in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Kuchh Yun Hua Ke ______ {Angel} by angel4u in Shayri-E-Dard
EK SAWAAL JAWAB DIJIYEGA by KHILTAGULAB in Miscellaneous Shayri
Kuchh Yun................. {Angel} by angel4u in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
Main sawaal leke fira karu, tum jawab banke mila karo by livingbytheday in Ghazals
Roja
Guest
«Reply #1 on: July 06, 2009, 04:42:56 PM »
Quote
Kuch Jawab Ab Humse Sawal Karte Hai,
Zindagi Ki Veeraniyon Ne Hamein Patthar Kar Diya,

Kahan Kho Gaye Ho Tum In Anjaani Si Raahon Mein
Tumhare Qadmon Ke Nishaan To Ab Tak Hai In Raston Pe,
Saamne Hai Manzil Par Na Jaane Tum Kahan Kho Gaye,

Dhadkanein Tumhari Hamara Hi Naam Liya Karti Thi,
Kya In Mein Tumhari Dhadkanein Ab Shamil Nahi?
Aaj Meri Ye Dhadkanein Madhdham Hai Kyon,

Base The Hum Tumhari Har Saans Mein
Kya Tumhari Saanson Mein Ab Hum Mehekte Nahi?

Kyon Aaj Ye Laqeerein Alag Si Lagti Hai,
Kya In Mein Ab Tumhare Naam Ki Taqdeer Nahi?

Wah wah Bahut bahut accha likha hai tumne dear hasina
Padker dil ber aaya re... God Bless you... dear
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: July 06, 2009, 04:43:45 PM »
Bahoot khoob Angel!!!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #3 on: July 06, 2009, 04:46:18 PM »

Wah wah Bahut bahut accha likha hai tumne dear hasina
Padker dil ber aaya re... God Bless you... dear


Thank you so much Roja...
Hmmmm, Bus pray for me... I really need.....
Logged
angel4u
Guest
«Reply #4 on: July 06, 2009, 04:46:47 PM »
Bahoot khoob Angel!!!

Shukriya Di, aapko itne din baad dekhke bahut achha laga Usual Smile
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #5 on: July 06, 2009, 04:56:12 PM »
AA Jao Na...!!!
Last Ke Yeh 3 Lafz aapki Is rachna ki Khubsoorati Me Chaar-chaand laga gaye Angel.. waqai Bahut Hi Behtreen Alfaaz Pesh kiye Hain.. Jinme Judaai ka dard bhi hai aur Mohabbat bhi.. Really Great Work..!! Applause Applause

Daad Kubool karen...  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


**~** Mann **~**
Logged
angel4u
Guest
«Reply #6 on: July 06, 2009, 04:58:13 PM »

Thank you so much **Mann**

In lafzon mein dard aur usmein chhupi hui mohabbat samajhne ke liye... Aisa hai ke koi samajhna chahe to bahut kuch samajh sakta hai, agar na chahe to ye lafz shabdon ke siwa kuch bhi nahi...

Khair....
Logged
Talat
Guest
«Reply #7 on: July 06, 2009, 05:13:09 PM »
Bohot Khoob Sweety, Dard ka ek darya samaya hai in lafzon main.....Jis main agar socho to bas insaan doobta chala jaaye.....Dil tak utarne waale alfaaz hain ye.......Bohot bohot Khoob dear.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #8 on: July 06, 2009, 05:22:48 PM »
Thank you so much Talat. You always undersatnd my words and appreciate. Its really a pleasure to see your comments over my thread...

Thanks Dear...
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #9 on: July 06, 2009, 07:10:28 PM »
Wow Angel ji,excellent,very beautiful creation,too good. icon_thumleft Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
superspawn10
Guest
«Reply #10 on: July 06, 2009, 07:53:19 PM »
wah..bohot badhiya angel ji... Usual Smile
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #11 on: July 07, 2009, 01:03:59 AM »
Bohot khoob angel ji..achha likha aapne.

Jigar muradabaadi ka ek sher yaad aagaya...

Dil ko jala ke daag-e-tamanna diya mujhe
Ae ishq teri khair ho ye kaya diya mujhe

_____________________Jigar___
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #12 on: July 07, 2009, 01:07:10 AM »
Wah beautiful lines Sayyid ji. icon_thumleft Applause Applause Applause
Logged
Deepati
Guest
«Reply #13 on: July 07, 2009, 04:14:51 AM »
Wah Wah Angel Ji, Bahut khoobsurat likha hai!  Very touching! Applause
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #14 on: July 07, 2009, 04:18:41 AM »
Kuch Jawab Ab Humse Sawal Karte Hai,
Zindagi Ki Veeraniyon Ne Hamein Patthar Kar Diya,

Kahan Kho Gaye Ho Tum In Anjaani Si Raahon Mein
Tumhare Qadmon Ke Nishaan To Ab Tak Hai In Raston Pe,
Saamne Hai Manzil Par Na Jaane Tum Kahan Kho Gaye,

Dhadkanein Tumhari Hamara Hi Naam Liya Karti Thi,
Kya In Mein Tumhari Dhadkanein Ab Shamil Nahi?
Aaj Meri Ye Dhadkanein Madhdham Hai Kyon,

Base The Hum Tumhari Har Saans Mein
Kya Tumhari Saanson Mein Ab Hum Mehekte Nahi?

Kyon Aaj Ye Laqeerein Alag Si Lagti Hai,
Kya In Mein Ab Tumhare Naam Ki Taqdeer Nahi?

Ujdi Hui Si Kyon Hamein Har Kali Lagti Hai,
Is Bahar Mein Kya Ab Hamara Ehsaas Nahi?

Kabhi Saath Milke Ghanton Dekhte The Samundar Ki Lehron Ko,
Aaj Tapti Hui Ret Pe Chalte Hue Sochte Hai Hum,

Kyon Aaj Tumhari Chahat Ki Chhanv Hamare Saath Nahi?
Zamane Ki Thokarein Se Jo Sambhalti Thi Hamein,
Aaj Wo Baahein Kyon Hamein Thaamti Nahi?

Aa Jao Sanam Ke Ab Bhi Tere Intezaar Mein Hai,
Ye Samundar, Ye Kaliyan, Ye Saansein, Ye Dhadkan,
Ye Rooh Adhoori Hai Tum Bin,
Aa Ke Kar Do Hamari Zindagi Ko Mukammal Sanam,
Aa Jao Na!!!


Really nice one indeed Angel Ji
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:24:31 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.134 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer