Kuchh Jawab Ab Humse Sawaal Karte Hai___ {Angel}

by angel4u on July 06, 2009, 04:40:16 PM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 4168 times)
Deepati
Guest
«Reply #15 on: July 07, 2009, 04:21:05 AM »


Jigar muradabaadi ka ek sher yaad aagaya...

Dil ko jala ke daag-e-tamanna diya mujhe
Ae ishq teri khair ho ye kaya diya mujhe

_____________________Jigar___


Dil ko chhoo jaane waali lines likhi hain, Sayyid Ji! Bahut Khoob! Applause
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Aaj kal, woh humse, Baat nahin karte hain by KaMaL in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Kuchh Yun Hua Ke ______ {Angel} by angel4u in Shayri-E-Dard
EK SAWAAL JAWAB DIJIYEGA by KHILTAGULAB in Miscellaneous Shayri
Kuchh Yun................. {Angel} by angel4u in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
Main sawaal leke fira karu, tum jawab banke mila karo by livingbytheday in Ghazals
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #16 on: July 07, 2009, 05:40:51 AM »
Bohat Achche Huzaina Sis,.
Title Bhi Mashallah KYa KHoob Hai, Bohat Achche,.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #17 on: July 07, 2009, 06:09:56 AM »
Kuch Jawab Ab Humse Sawal Karte Hai,
Zindagi Ki Veeraniyon Ne Hamein Patthar Kar Diya,

Kahan Kho Gaye Ho Tum In Anjaani Si Raahon Mein
Tumhare Qadmon Ke Nishaan To Ab Tak Hai In Raston Pe,
Saamne Hai Manzil Par Na Jaane Tum Kahan Kho Gaye,

Dhadkanein Tumhari Hamara Hi Naam Liya Karti Thi,
Kya In Mein Tumhari Dhadkanein Ab Shamil Nahi?
Aaj Meri Ye Dhadkanein Madhdham Hai Kyon,

Base The Hum Tumhari Har Saans Mein
Kya Tumhari Saanson Mein Ab Hum Mehekte Nahi?

Kyon Aaj Ye Laqeerein Alag Si Lagti Hai,
Kya In Mein Ab Tumhare Naam Ki Taqdeer Nahi?

Ujdi Hui Si Kyon Hamein Har Kali Lagti Hai,
Is Bahar Mein Kya Ab Hamara Ehsaas Nahi?

Kabhi Saath Milke Ghanton Dekhte The Samundar Ki Lehron Ko,
Aaj Tapti Hui Ret Pe Chalte Hue Sochte Hai Hum,

Kyon Aaj Tumhari Chahat Ki Chhanv Hamare Saath Nahi?
Zamane Ki Thokarein Se Jo Sambhalti Thi Hamein,
Aaj Wo Baahein Kyon Hamein Thaamti Nahi?

Aa Jao Sanam Ke Ab Bhi Tere Intezaar Mein Hai,
Ye Samundar, Ye Kaliyan, Ye Saansein, Ye Dhadkan,
Ye Rooh Adhoori Hai Tum Bin,
Aa Ke Kar Do Hamari Zindagi Ko Mukammal Sanam,
Aa Jao Na!!!


Bahut Bahut Bahut Khooob Angel!!!!

"Kyon Aaj yeh Lakeerein Alag Si Lagti hai,
Kya Inme Ab Tumhare Naam Ki taqdeer Nahi..."


Zamane Ki Thokarein Se Jo Sambhalti Thi Main,
Aaj Woh Baahein Kyon Hume Thaamti Nahi..."

Kya Kahoon!!! Itni Dard Aur Maayusi Hai iss Nazm Mein,Ke Padhkar Dil Udaas Sa Ho Jaata Hai..Itni Khoobsurti se Likha hai Aapne Angel,Ke Padhte-Padhte  Har Lafz Dil mein utar Saa Jaata hai...Bahut Ache Mere Dost!!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
cara
Guest
«Reply #18 on: July 07, 2009, 06:28:23 AM »
BAHUT KHOOB LIKHA HAI ANGELJI.....

TUM KYA GAYE,THAM GAYI ZINDAGI MERI,
KAISE CHALENGI BIN TERE, ZINDAGI MERI.
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #19 on: July 08, 2009, 12:58:51 AM »
Wah beautiful lines Sayyid ji. icon_thumleft Applause Applause Applause

Shukriya!! aap ki badi inayat hai..
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #20 on: July 08, 2009, 01:01:04 AM »
Dil ko chhoo jaane waali lines likhi hain, Sayyid Ji! Bahut Khoob! Applause

Sach kaha aap ne Jigar jaise shayar kuchh kahe to zarur dil tak pohonchta hai. shukriya deepati ji.
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 05:12:18 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer