KUCHH NAAM

by tabassum shakeel on June 14, 2006, 04:16:05 PM
Pages: [1] 2 3 4 5 6
Print
Author  (Read 4829 times)
tabassum shakeel
Guest
dil me basae naam kabhi honton pe bhi aajate hain
mat poocho usase phir kitane afsane ban jaate hain

dil me rah kar dhakate rahte to phir koi baat na thi
jaane kyun aankhon me aake chhalak chhlak vo jate hain
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #1 on: June 14, 2006, 04:27:45 PM »
Bohat khoob Tabassum....
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #2 on: June 14, 2006, 04:30:03 PM »
shukriya aryan aap bhi kuchh likhiye na
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #3 on: June 15, 2006, 01:50:10 AM »

Zikr-e-shab-e-firaaQ se wehshat usey bhi thi
Meri tarha kisi se mohabbat usey bhi thi

Mujh ko bhi shauQ tha naye chehron ki deed ka
Raasta badal ke chalne ki aadat usey bhi thi

Sunata tha woh bhi sab se puraani kahaniyan
Taza rafaQaton ki zaroorat usey bhi thi

Mujh se bichad ke shehar mein ghul mil gaya woh shakhs
Halankeh shehar bhar se raQaabat usey bhi thi

Woh mujh se barh ke zabt ka aadi tha, jee gaya
Warna harr ek saans Qayaamat usey bhi thi

Aye dil na jaan khud ko nakaam ke bad-zauQ
Woh mana nahi par tujh se mohabbat usey bhi thi
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #4 on: June 15, 2006, 04:12:12 AM »
wah apki shayri hamesha bahut khoob surat hoti hai ek ahsas shamil hai faqt shoq nahi.............

haan door hun main unse kabhi pas jinke thi
nazron se meri door hain chahat main jinki thi

seene me gham ka aisa samandar nahi tha jab
haan main bhi muskurati thi jab saath unke thi

dil me the beshumar mohabbat ke khazane
lab pe the tarane mere jab saath unke thi

unki khata na meri khata door ham hue
qismat ko thi jalan badi main saath unke thi

ab bhi hun main zinda ye nahi ki mar gai
han vaise nahi jeeti jaise saath unke thi
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #5 on: June 15, 2006, 01:51:13 PM »
Bohat shukriya Tabassum, yeh sab aapka husn-e-nazar hai... Bohat hi khubsoorat reply diya hai Aap ne...
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #6 on: June 19, 2006, 08:11:17 AM »
shukriya aryan
Logged
ZindagiKhhoGai
Guest
«Reply #7 on: June 19, 2006, 09:59:52 PM »
dil pe kuj naam likhe the jinhe hamne mita diya
bas eik tera nam inn haathon k lakeerooo p likha reh gaya
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #8 on: June 21, 2006, 01:20:45 PM »
bahut khoob zindagi..
Logged
sufyan
Guest
«Reply #9 on: July 16, 2006, 10:51:30 AM »
very nice tabassum n aryan,
  Ashkon ka kya hai pal bhar mein aajaate hain
  kisi ke dil ki chot ko apne saath bahaate hain
  humne to sabke ghum ko apna maana hai
  isliye to zamaane ne humein SAHIL mana hai
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #10 on: July 18, 2006, 11:05:28 AM »
Bohat shukriya Sufyan & Nice One...
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #11 on: August 22, 2006, 05:32:13 PM »
shukriya aryan aur sufiyan
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #12 on: August 22, 2006, 05:35:59 PM »
Quote from: "sufyan"
very nice tabassum n aryan,
  Ashkon ka kya hai pal bhar mein aajaate hain
  kisi ke dil ki chot ko apne saath bahaate hain
  humne to sabke ghum ko apna maana hai
  isliye to zamaane ne humein SAHIL mana hai


sufiyan ye aapke khoobsurat sher ka javab hai sorry zara late  Usual Smile

sahil se mouj aake jo takra ke gai hai
ik chot vo bhi dil pe kahin kha ke gai hai
sahil ko intezaar usi mouj ka sahi
us mouj ke seene me bhi sahil hi hai kahin
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #13 on: August 24, 2006, 04:38:21 AM »
talash kon kare ham ko pata koi bhi nahi
usake jaisa yahaan ab doosra koi bhi nahi

chahaten usaki bhala sher me kya aapaen
nazaren yun usasi jahaan me yahaan koi bhi nahi

dil pe dastak bhi nade koi ye khali hi nahi
usake bin yahaan rah paae aisa koi bhi nahi
Logged
sufyan
Guest
«Reply #14 on: August 27, 2006, 06:36:00 PM »
Thanx Aryan,n tabassum  u wrote very well late but beautiful im giving answer of it may b its not good like urs but i try for it....
 
 woh to khamosh sehta hai dard saare
 lehren yeh samjhti nahin use is kaabil ka
 Kyun na aayegi chot un lehron ko
 Woh jo dil tod deti hai SAHIL ka


Thanx,
Sufyan(SAHIL)
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 6
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:35:45 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.128 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer