KUCHH NAAM

by tabassum shakeel on June 14, 2006, 04:16:05 PM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6
Print
Author  (Read 4827 times)
tabassum shakeel
Guest
«Reply #60 on: October 16, 2006, 01:28:00 PM »
     
   
 

main tamam rang pahan chuki
jo teri nazar ko pasand the
vo tamam phool laga chuki
teri chahhaton me shumar jo
vo hi khushboo maine pasand ki
jo tujhe pasand thi ham nafas
jahaan tune dekha shoq se
meri nazaren bhi bas vahin gain
mera kya raha nahi jaanati
main to khud ko tera hun maanti
magar ek baar to jaaneja
zara poochh kya hai pasand mujhe?

 
         
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #61 on: October 16, 2006, 01:40:09 PM »
Waah Didi Kamaal Ka Likha Hai.,.//
Bahoot Khoob ,...
Qurbaan Hogaye Humto,...

Subhan Allah...
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #62 on: October 19, 2006, 02:13:40 PM »

  thanx bhai  tumko mera likha hamesha hi achcha lagta hai thnx tumane nahi likha kuchh..............


SHAAM

vo ek shaam thi
subah se dhoop me tapta hua din
jisake aagosh me chhup gaya
gulabi hokar

aur phir badle the rang kai
aasman ne
naranji sa aasman , peela hua
uudha hua,phir hogaya dhudhla sa
shayed kisi ki yaad me
aur phir tapta hua din chupke se
badla raat me

ab jo kal din aaega
poochhungi main
jate jate sham ko tum
naam kiska le gae
raat bhi udas thi aur chand
bhi tha gumsum
khamosh the sitare bhi
kuchh to batao tum......... .........        
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #63 on: October 19, 2006, 07:32:33 PM »
Bohat khoob Tabassum...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #64 on: October 20, 2006, 02:56:50 PM »
Sisi Tum Kuch Is Tarah Likhti Ho,..
Ke Har Kisi Ko Pasand Aata Hai,..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #65 on: October 20, 2006, 03:04:54 PM »
Bedard Hain Jo Unhe Apne Dard Bataa Raha Hoon,..
Dekhle O Berehan Aaj Tere Sheher Se Main Jaa Raha Hoon,..

Tujhe Na Thi Khadar Chahne Walon Ki, Tu Mohabbat Se Nafrat Karti Thi,..
Teri Mohabbat Ki Khateer Dekh Aaj Main Ghamon Mein Bhi Muskuraa Raha Hoon,.,

Aur Kya Degi Tu Sila Chahaton Ka Is Deewaane Ko,..
Main Hoon Yahan "Jaanasheen" Jo Apni Kismat Ko Bhi Azmaa Raha Hoon,..

________________________-Azeem-___________________________
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #66 on: October 20, 2006, 03:24:24 PM »
  vo isliye jaanasheen ke tum mere bhai ho Usual Smile thanks again

    dil me ab apne bhi baqi koi arman nahi
rooh ghayal si hai aur jism me bhi jaan nahi

silsila ranj ka jaari hai na rukne pataa
roke isko yahaan aisa koi insaan nahi

ashq saathi hai bane ankhon me sapane na rahe
kya yahan shokhi ki achchi koi dukan nahi?

likhana dushman hai bana jab bhi likha rooth gaya
aisa bhikya hai likha padhna jo asan nahi?

hans ke likhne pe shikayat kabhi ansu pe mere
kaise ab likhun bata mujh me to ab jaan nahi

kar chuke sara safar door na manzil mujhse
usko bhi chheen le tu itane bhi nadan nahi
       
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #67 on: October 20, 2006, 03:51:23 PM »
Nice One Again Didi,..
Logged
sufyan
Guest
«Reply #68 on: October 21, 2006, 06:01:48 PM »
Thanx tabassum i have seen the ans of my shayris very late but its really very beautiful actually i dint get time for it
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #69 on: October 25, 2006, 03:45:44 PM »
thnx jaanasheen and sufiyan.............

jab yaaden kabhi rulatin hon usko ek bheega khat likh do
jab yaden kabhi hansati hon usko mehka sa khat likh do
vo door sahi chahe tumse dil se to jana mushkil hai
roi roi si yaadon ko hansa pana bhi mushkil hai
tujhse doori ko sah len ham ye bhi to bada hi mushkil hai
bas aasaan hai ik kaam haame ki yaad tujhe bas karte rahen
chahe tu aae ya na aae aae bas tujh ko khat likhate hi rahen
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #70 on: October 25, 2006, 05:12:27 PM »
Bahoot Khoob Didi,.,.
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #71 on: October 29, 2006, 08:30:03 PM »
thanx jaannasheen

  yaadon ka ganv basaya hai
tum aake kabhi dekho to zara
shaam dhale hi roz yahaan
yaadon ke panchhi aate hain

shaam ki laali dhalti hai
aur raat palat ke aati hai
aur raat ki raani khilati hai
tab dil me vo muskate hain    
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #72 on: October 29, 2006, 08:30:56 PM »
 jab yaaden kabhi rulatin hon usko ek bheega khat likh do
jab yaden kabhi hansati hon usko mehka sa khat likh do
vo door sahi chahe tumse dil se to jana mushkil hai
roi roi si yaadon ko hansa pana bhi mushkil hai
tujhse doori ko sah len ham ye bhi to bada hi mushkil hai
bas aasaan hai ik kaam haame ki yaad tujhe bas karte rahen
chahe tu aae ya na aae aae bas tujh ko khat likhate hi rahen      
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #73 on: November 01, 2006, 04:03:32 PM »
  yaad hame phir unaki aai
dil dhadak aahista se
shaam dhali panchhi sab loute
aae nahi vo kya kahiye
aankhen thakin hai dil bhari hai
ashq bahe aahista se..............
     
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #74 on: November 01, 2006, 04:04:12 PM »
  ik aas thi jo vo toot chuki
ab saans ka chalna baqi hai
tum door hue muddat bhi hui
bas yaad hi karna baaaqi hai
 
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:22:09 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer