KUCHH NAAM

by tabassum shakeel on June 14, 2006, 04:16:05 PM
Pages: 1 2 3 4 5 [6]
Print
Author  (Read 4828 times)
Aryaan
Guest
«Reply #75 on: November 01, 2006, 04:54:22 PM »
Good Ones Tabassum...
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #76 on: November 02, 2006, 05:47:26 AM »
shukriya aryaan
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #77 on: November 02, 2006, 05:57:22 AM »
   zakhm rise jab yadon ke to aisa laga
veerane me khushboo koi aati hai
hamne chonk ke charon aur jab dekha
dekha dheere dheere yaad chali aati hai
   
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #78 on: November 04, 2006, 05:58:16 PM »
   TANHA
chand lamhe saath unka sari zindagi tanha
raat hain ya din hain vo sare hi to hain tanha
dil ki namuradi ne zindagi badal dali
aaj dil me khushiyon ke saare khane hain khali
ik beqarari hai aur ek sannata
dil ki dhadkane isame kitani tez lagti hain
saanson ki aawazon se kaan mere phatate hain
khak zindagi ji hai khud se bas shikayat hai
aur kisi se kuch kahna apni na vo aadat hai
saare gham hamare hain saari raat apni hai
sab ko bas phailaaenge aur bas niharenge
payare sare gham apne hai ye yaad unaki jo
aisi zindagi apni hai koi nahi shikva
vo na saath hain apne gham jo unke hain saathi
chhod jaa na sakte hain ye khazane apne hain

 
Logged
angel4u
Guest
«Reply #79 on: November 12, 2006, 05:31:54 PM »

Yaadon Ka Ek Jhonka Aya HuMse Milne Barson Baad,
Pehle Itna Roye Nahi The Jitna Roye Barson Baad,
LaMha LaMha Ghar Ujda Hai Mushkil Se Ehsaas Hua,
Pathar Aaye Barso Pehle Sheeshe Toote Barso Baad,
Aaj HaMari Khaak Pe Duniay Rone Dhone Baithi Hai,
Phol Hue Kitne Sastejaane Kitne Barso Baad,
Bhool Bhi Jao Kisne Toda Kiase Toda Aur Kyon Toda,
Dhond Rahe Ho Galiyon Mein Kya Dilke Tukde Barson Baad,
Dastak Ki UMMid Laga Kar Kab Tak Yun Hi Jeete HuM,
Kal Ka Waada Karne Wale Milne Aaye Barson Baad...
* * * * * [NM]
Logged
angel4u
Guest
«Reply #80 on: November 13, 2006, 06:05:32 PM »
Thanks Bandar....


Zindagi Pe Ek Khauf Sa Tarri Hai,
Teri Yaadon Ka Ek Azaab Sa Jaari Hai,

Bhulana Tujhe Is Kadar Nahi Aasan,
Ek UMar Tere NaaM Pe Guzari Hai,

Thak Kar Baitha Hai Yahan Kaun Bhala,
Khwahishon Ka Safar Abhi Jaari Hai,

Lag Kar Deewar Se Nidhal Sa Baitha Hai,
Wo Jisne Ro Ro Kar Raat Saari Guzari Hai...
* * * * * [NM]
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #81 on: November 20, 2006, 07:47:12 AM »
thanx  majid.........


   khwabon ko jalaya jab hamne
tab dil me koi bhi dard na tha
bas ek raham tha unke liye
ye zinda hain ab kyun kar ke
jab unko jalaya achcha laga
ab vo jo nahi sab aasaan hai
ab koi chahat kahi nahi
kisi fard se rahaat koi nahi
sab apna apna jeete hain
ham sab ke liye bas jeete hain
ab jeena bahut hi asaan hai
dil me koi bhi shoq nahi
kisi cheez ki hmko chaah nahi
koi kaam hame ab pasand nahi
jaisa jo kahe bas karna hai
sabki sharton par jeena hai
par ye jeena asaan hai bahut
koi khwab nahi koi soch nahi
kuch bura nahi koi achcha nahi
aur apne liye to kuchh bhi nahi
       
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #82 on: December 03, 2006, 06:20:59 PM »
yaad hame phir unaki aai
dil dhadak aahista se
shaam dhali panchhi sab loute
aae nahi vo kya kahiye
aankhen thakin hai dil bhari hai
ashq bahe aahista se..............
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #83 on: December 17, 2006, 01:53:34 PM »
dil hai gum ik yaad me aur zindigi chalti rahi
jaane kab subah hui hai shaam jaane kab hui
aahaten  sirf ek ki hi kaano tak aapatin hain
baqi saari  hi sadaen lout kar jaati rahin
chahaton ka dour hai ye ya ki waqt e akhiri
baat kuchh bhi ab mujhe tujh bin samajh aati nahi
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #84 on: December 23, 2006, 03:50:16 PM »
dil me jo socha hai unko bhulane ke liye
dard phir ek utha ham ko satane ke liye

jaane dil hai bhi mera yaki bas dushman hai
jab bhi dhadka hai ye tujhko bulne ke liye


aankh ke ashq bhi tere hain hansi bhi teri
bol ab mera raha kya hai batane ke liye
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #85 on: December 24, 2006, 01:42:12 AM »
Bohat khoob Tabassum...
Logged
Roja
Guest
«Reply #86 on: December 24, 2006, 03:36:44 PM »
Bahut khoob Tabassum di

Aangano main uthra hai bhamo-dhar ka sannata
Mere dil pe chaya hai mere ghar ka sannata

Raath ki kamoshi toh phir bhi meherba nikhli
Kitna jaanlewa hai dopehar ka sannata

Subah mere jude ki her kali salamat thi
Goonjtha tha kushboo main raat ber ka sannata

Apni dost ko lekar, tum waha gaye honge
Mujhko poochta hoga Raahguzar ka sannata

Khat ko choom kar usne aankh se lagaya tha
Khul jawaab tha ghoya lamhaber ka sannata

Tumne uski aankhon ko gaurse pada hoga
Kuch toh keh raha hoga us nazar ka sannata..
Logged
Pages: 1 2 3 4 5 [6]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:34:28 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.095 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer