- Kushiyon Ki Bahar -

by Meena is back on April 06, 2006, 04:16:12 PM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 3024 times)
Meena is back
Guest
kafi der se kuch likha nahin, socha aaj phir se kuch post kar doon...to phir se poem ke roop me meri koshish pesh hai:

Do pal yeh zindagi hasne ka mauka to deti hai,
Par phir se bana deti hai anson girane ke bahane,

Kushiyon ki bahar me kyu khilti nahin har ek khali,
Jo aa jate hai gum ke haath usko dafnane,

Phoolon ki tamana rakhni hi nahin chahiye man me kabhi,
Ke phool hi aksar ate hai apne haaton me kaante chubane,

Na badak “Meena” bar bar bahar-e-kushi ke talash me,
Gum ko apna lo, woh hi ayega tera hardum saath nibane!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
- Kushiyon Ki Bahar - by Meena in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
agaai hei bahar ajaao... by hameeda in Share:Love Poetry
Bahar by Gyan Prakash in Shayri-E-Dard
LAGTA HAI MAUSAM E BAHAR AAH RAH HAI(ASGHAR) by M.ASGHAR MIRPURI in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Bahar-Bheetar by betukh_ bakbaki in English
nikki
Guest
«Reply #1 on: April 06, 2006, 04:18:14 PM »
superbbb sis ..kamaal ki koshish hai...
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #2 on: April 06, 2006, 04:19:29 PM »
shukriya ji shukriya kuddiye!!!  :D
Logged
nikki
Guest
«Reply #3 on: April 06, 2006, 04:27:00 PM »
kab se intzaar kar rahi hun
gulon ke khilne ka..
bahar ke aane ka...
mausam hai ke badalne ka naam nahi lete
ek hum hain jo aas lagaye hue hain..

tum aao ya na aao
hum rahon mein palke bichye hue hain
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #4 on: April 06, 2006, 04:27:02 PM »
Kya khoob likha hai Meena ji bahut khoob.....

Khushyion ki bahaar dikhati hai raah Saat samandar paar.....
Dard jab hai mere paas toh kyu karoon mein Khushion se Izhaar.....

Katt jayega Safar yoon hee Dard sehte sehte....
Kyunki Khushian jaane ke baad rota hai yeh dil baar baar......!!!!!!!!
Logged
nikki
Guest
«Reply #5 on: April 06, 2006, 04:30:43 PM »
too gud B_S.....
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #6 on: April 06, 2006, 04:42:27 PM »
Quote from: "nikki"
kab se intzaar kar rahi hun
gulon ke khilne ka..
bahar ke aane ka...
mausam hai ke badalne ka naam nahi lete
ek hum hain jo aas lagaye hue hain..

tum aao ya na aao
hum rahon mein palke bichye hue hain


gud gud!!

umeedo ke diye hum bujaye baithe hai,
kushiyan ayengi aab na hum yeh aas lagaye baithe,
jab dard se rishta jud gaya to ass hi kyu rakhe,
bas aab to hum apne gum ko apnaye baithe hai!
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #7 on: April 06, 2006, 04:42:32 PM »
Very nice meena sis,nikki sis n gaurav.

"Khushiyan ki bahaarein do pal ki khushiyan bhar de jaati hain,
      yahan to gham ne hi hamesha se saath nibhaaya hai,
      yun to bohat hain aaj bhi jinhe khushiyon ki chahat hai,
      par inki bewafaai ne bohoton ko tanhaa karaaya hai."


tongue3
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #8 on: April 06, 2006, 04:44:40 PM »
Quote from: "Meena is back"
kafi der se kuch likha nahin, socha aaj phir se kuch post kar doon...to phir se poem ke roop me meri koshish pesh hai:

Do pal yeh zindagi hasne ka mauka to deti hai,
Par phir se bana deti hai anson girane ke bahane,

Kushiyon ki bahar me kyu khilti nahin har ek khali,
Jo aa jate hai gum ke haath usko dafnane,

Phoolon ki tamana rakhni hi nahin chahiye man me kabhi,
Ke phool hi aksar ate hai apne haaton me kaante chubane,

Na badak “Meena” bar bar bahar-e-kushi ke talash me,
Gum ko apna lo, woh hi ayega tera hardum saath nibane!



Lekin..... Meena kya kre insaan ki fitrat hai khushiyoon ko talaasna .... khuda ne insaan ke roop mein zindgi bakshi hai ...... to kyun na kar ussi iss nidamat ko ..... hum khusiyon se bhar de .....  haan gum bhi ik hissa hai zindgi ka ..... lekin mousam aate jate hai ... gum aur khuhsiya hamesha zindgi mein aati jati hai !!!


Mana ke gum bhi aate hai zindgi mein bahut sare
Lekin khuda khusiyon ki barsaat bhi karta hai

Gar ujadta hai tufaan ik asiyaane ko hamare to
Khuda dusre ashiyaane ko bhi abaad karta hai

Khel hai jeevan ka sukh dukh to aane jaaen hai
Gumo mein hi insaan kudha ko yaad karta hai

Asia nahi ke gumo ko hi apna lo khushi ko chod ke
Khusiyon ka maousam bhi dil ko shaad karta hai

Kehte hai ke jab "HumTum" koi ghazal likhta hai
To har banda uss pe zaroor irshaad karta hai !!!  
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #9 on: April 06, 2006, 04:45:14 PM »
Quote from: "badnaam_shayar"
Kya khoob likha hai Meena ji bahut khoob.....

Khushyion ki bahaar dikhati hai raah Saat samandar paar.....
Dard jab hai mere paas toh kyu karoon mein Khushion se Izhaar.....

Katt jayega Safar yoon hee Dard sehte sehte....
Kyunki Khushian jaane ke baad rota hai yeh dil baar baar......!!!!!!!!


shukriya ji...and gud one!!

door kadi kushiyan hum pe muskura rahi ti,
gum ki parchayia bahe felaye hume bula rahi ti,
pehle roya karte te, ek sapne ke tootne par,
aab to muskurahat mere chehre ki, ankhon ki nami suka rahi ti!
Logged
nikki
Guest
«Reply #10 on: April 06, 2006, 04:45:27 PM »
too gud Meena sis n Nidhi..thanx a lot both of u..

maana ke gum hi abb zindagi hai
magar tujhe har pal hass ke yaad kiya hai
tum mujhe gum dekar khush ho..
magar nahi jaante tumhare diye gumon ne hi to mera jeevan abaad kiya hai
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #11 on: April 06, 2006, 04:50:29 PM »
Quote from: "nidhi_yadein"
Very nice meena sis,nikki sis n gaurav.

"Khushiyan ki bahaarein do pal ki khushiyan bhar de jaati hain,
      yahan to gham ne hi hamesha se saath nibhaaya hai,
      yun to bohat hain aaj bhi jinhe khushiyon ki chahat hai,
      par inki bewafaai ne bohoton ko tanhaa karaaya hai."


tongue3



waah waah !!!

Gum sath hai mere mujh ko jaan se pyara hai
Yeh mere sanam ka diya mujhey nazara hai
Kyun na kar iss gum ko men dil se lga ke rakhu
Akhir yeh gum hi to jeene ka sahara hai !!!
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #12 on: April 06, 2006, 04:57:13 PM »
Quote from: "nidhi_yadein"
Very nice meena sis,nikki sis n gaurav.

"Khushiyan ki bahaarein do pal ki khushiyan bhar de jaati hain,
      yahan to gham ne hi hamesha se saath nibhaaya hai,
      yun to bohat hain aaj bhi jinhe khushiyon ki chahat hai,
      par inki bewafaai ne bohoton ko tanhaa karaaya hai."


tongue3


thank u and gud one!!!

do pal ki kushi nahin hume umar bar ki kushi chahiye,
raha dikha sakhe raat me, waisi hume roshni chahiye,
jante hai yeh to khwab hai, kabhi pure honge nahin,
gum se bhari hume koi nahin zindagi chahiye!!
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #13 on: April 06, 2006, 05:01:42 PM »
Quote from: "nikki"
too gud Meena sis n Nidhi..thanx a lot both of you..

maana ke gum hi abb zindagi hai
magar tujhe har pal hass ke yaad kiya hai
tum mujhe gum dekar khush ho..
magar nahi jaante tumhare diye gumon ne hi to mera jeevan abaad kiya hai



Zindgi ko yun gaumoon mein dubaya na karo
Khuhsi se har lamha Jeevan ka bitaya karo
kya pta ke kis moud pe zindgi sath chod de
Har pal ankhon mein khawab nya sajaya karo !!
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #14 on: April 06, 2006, 05:04:06 PM »
Quote from: "HumTum is back"

Lekin..... Meena kya kre insaan ki fitrat hai khushiyoon ko talaasna .... khuda ne insaan ke roop mein zindgi bakshi hai ...... to kyun na kar ussi iss nidamat ko ..... hum khusiyon se bhar de .....  haan gum bhi ik hissa hai zindgi ka ..... lekin mousam aate jate hai ... gum aur khuhsiya hamesha zindgi mein aati jati hai !!!


Mana ke gum bhi aate hai zindgi mein bahut sare
Lekin khuda khusiyon ki barsaat bhi karta hai

Gar ujadta hai tufaan ik asiyaane ko hamare to
Khuda dusre ashiyaane ko bhi abaad karta hai

Khel hai jeevan ka sukh dukh to aane jaaen hai
Gumo mein hi insaan kudha ko yaad karta hai

Asia nahi ke gumo ko hi apna lo khushi ko chod ke
Khusiyon ka maousam bhi dil ko shaad karta hai

Kehte hai ke jab "HumTum" koi ghazal likhta hai
To har banda uss pe zaroor irshaad karta hai !!!  


hm woh to hai humtum ji...lekin kabhi kabhi kushiyan bhi ane me der laga deti hai, koi kab tak intezaar kare, phir jo uske pas hota hai (gum) usko hi apnata hai.

mana ek ashiyana ujad kar, Khuda doosra ghar banata hai,
lekin bar bar aap kitne aise ghar basaoge,
toote aine ke tukde jodne ki koshish jitni marzi kar lo,
jod kar bhi aine me ek darar humesha paoge,
dukh ki andhiyan itni bhi nahin honi chahiye ke apni kashti dagmagaye,
ek bar doodne lagi jo naiya, to usko kaise tum bachaoge?
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 11:51:57 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer