- Kushiyon Ki Bahar -

by Meena is back on April 06, 2006, 04:16:12 PM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 2988 times)
Meena is back
Guest
«Reply #15 on: April 06, 2006, 05:05:59 PM »
Quote from: "nikki"
too gud Meena sis n Nidhi..thanx a lot both of you..

maana ke gum hi abb zindagi hai
magar tujhe har pal hass ke yaad kiya hai
tum mujhe gum dekar khush ho..
magar nahi jaante tumhare diye gumon ne hi to mera jeevan abaad kiya hai


bohot ache!!!

pyar ke badle hume gum mila,
doka hume yaha hurdum mila,
kya kare hum, kis ke pas jaye,
aye Khuda hume kyu yeh janam mila!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
- Kushiyon Ki Bahar - by Meena in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
agaai hei bahar ajaao... by hameeda in Share:Love Poetry
Bahar by Gyan Prakash in Shayri-E-Dard
LAGTA HAI MAUSAM E BAHAR AAH RAH HAI(ASGHAR) by M.ASGHAR MIRPURI in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Bahar-Bheetar by betukh_ bakbaki in English
HumTum is back
Guest
«Reply #16 on: April 06, 2006, 05:08:32 PM »
Jisne zindgi bakhsi hai housla bhi ussi ne diya hai
Gum diye hai to khusi ka mousam bhi usne diya hai

Dholti hai gar naov to usse sambhalne ke liye
Dil mein zanuun e jazzba bhi to ussne diya hai

Mein kaseey keh du ke haan gum ko apnauga
Mere chahne walo ka kafila bhi ussne diya hai !!
Logged
nikki
Guest
«Reply #17 on: April 06, 2006, 05:09:12 PM »
nice one again sis....n thanx

mujhe gila apne janam par nahi hai
yeh to kismat hai jo saath nahi deti
rab ne kuch aise likhi hai apni takdeer yaar
humein diye gum...auron ke naam likh di khushiyon ki bahar
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #18 on: April 06, 2006, 05:12:58 PM »
Quote from: "HumTum is back"
Jisne zindgi bakhsi hai housla bhi ussi ne diya hai
Gum diye hai to khusi ka mousam bhi usne diya hai

Dholti hai gar naov to usse sambhalne ke liye
Dil mein zanuun e jazzba bhi to ussne diya hai

Mein kaseey keh du ke haan gum ko apnauga
Mere chahne walo ka kafila bhi ussne diya hai !!


wah wah...

haunsla mera toot gaya, aab koi hume umeed nahin,
kafir ko tanhai bhati hai, majid ki bheed nahin!!
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #19 on: April 06, 2006, 05:14:50 PM »
couldn;t understand your sher Meena Ji  :?
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #20 on: April 06, 2006, 05:15:44 PM »
Quote from: "nikki"
nice one again sis....n thanx

mujhe gila apne janam par nahi hai
yeh to kismat hai jo saath nahi deti
rab ne kuch aise likhi hai apni takdeer yaar
humein diye gum...auron ke naam likh di khushiyon ki bahar


thank u...aur bohot ache

kabih kismat ko dosh dete hai to kabhi shikayat karte hai Khuda se,
kyu hume tanha choda duniya ki is bheed me,
taj mahal ki khwaish nahin ti, bar thodi kushi ki tamana ti,
par hum to ulajte rahe gumon ki zaneer me!!
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #21 on: April 06, 2006, 05:17:22 PM »
Quote from: "HumTum is back"
couldn;t understand your sher Meena Ji  :?


 lo kar lo gal Puzzled !

haunsal toot gaya, koi umeed bachi nahin, kafir to akhela hi rehta hai tanhai me, majid ya Mandir me nahin aur waha pe to bheed hoti hai na!
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #22 on: April 06, 2006, 05:19:55 PM »
Kafir = Katal karne wala  ( r u pointing to urself)
and Masjid .......  NOT  Majid !!!

hope u undersatnd wht i am trying to say !!
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #23 on: April 06, 2006, 05:23:55 PM »
arre mujhe bataya gaya ke kafir=who doesnt beleive in God
masjid ki speeling nahin ati ti  sad5
Logged
Talat
Guest
«Reply #24 on: April 06, 2006, 05:28:01 PM »
Bohot khoob Meena Humtum...Nikki...Nidhi n Gaurav ....behtareen likha hai Usual Smile

Meena .. Kafir means Non-believer ..u were right Usual Smile
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #25 on: April 06, 2006, 05:29:34 PM »
thanx humtum n meena sis and excellent work by both u n nikki sis too.

"Kabhi khushiyon ki aas maine bohat kisi se lagaayi thi,
      aaj aisi raah pe hun ki khushiyon ki mujhe chahat hi nahi,
      aisa gham zindagi bhar ka wo de gaya hai mujhe,
      ki pyaar mohabbat k ehsaas ke daaman se bohat door ho gayi hun."
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #26 on: April 06, 2006, 05:31:14 PM »
Talat ji aap bhi .....  aap ne ahmed faraz ki woh gazal suni hai ...  "Mere kafir se mujhko pyaar hai"
he is poiting out Kafir as a Qatal karne wala !!
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #27 on: April 06, 2006, 05:32:00 PM »
thank u talat..  :D

nidhi kuddiye..thanx and bohot khoob
Logged
Talat
Guest
«Reply #28 on: April 06, 2006, 05:34:57 PM »
Quote from: "HumTum is back"
Talat ji aap bhi .....  aap ne ahmed faraz ki woh gazal suni hai ...  "Mere kafir se mujhko pyaar hai"
he is poiting out Kafir as a Qatal karne wala !!


Ho sakta hai unhone wahan wo lafz qatil ke tayr pe istimaal kiya ho....par Kafir actually mean non-believer laughing4
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #29 on: April 06, 2006, 05:40:16 PM »
mai jeet gayi...mai jeet gayi!!!  :D
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 11:13:54 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer