*~*KyA bAaT hAi Us PaRwAaNe Ki*~*

by ghayal_shayar on April 07, 2006, 10:43:28 AM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 2415 times)
ghayal_shayar
Guest
«Reply #15 on: April 12, 2006, 01:18:14 PM »
Quote from: "waheed_rose2004"
very  nice  JHl..........   Ghayal  shayar......


waheed bhai bahut bahut shukriya.aage v yunhi shirkat karte rahiye is gahyal mehfil me.
Logged
Talat
Guest
«Reply #16 on: April 12, 2006, 03:14:07 PM »
Quote from: "ghayal_shayar"

apne ashkon se teri aankhon ko bhigote hain,teri ungliyon ko apne badan pe chubhote hain,teri yaadon ka jo sagar hai saath mere,usme raat-din khud ko dubote hain,ab to bas samaa hi ho gaya hai kuch yun ki,ek dooje ko yad kar tu v roti hai,hum bhi rote hain............

sach sirf rote hain.............

kosish ki humne tujhko paane ki,
saza mili hume dil aazmane ki.
khud jise shamma dhoodh rahi,
kya baat hai us parwaane ki.

main ek zinda laash ho gaya,
zindagi se hataash ho gaya,
roshani se is kadar naata tuta,
main amawas ka aakash ho gaya.
ro na pade kahin meri haalat dekh,
so khabar na lena is deewane ki.
khud jise shama dhoond rahi hai,
kya baat hai us parwaane ki..........

ishq mera khuda,tu meri khudaai,
tu meri mehfil,aur tu meri tanhaai,
sab seh lega "ghayal" bas,
seh na paayega teri judaai.
bhula na dena mujhe kabhi,
yaad sambhale rakhna is anjaane ki,
khud jise shamma dhoodh rahi,
kya baat hai us parwaane ki.............

na zameen me,na falak me,
na hi kisi kaatil jhalak me,
tera basera to hota hai bas,
meri us bheegi palak me.
tu hi mera aakhiri sahara,
tu hi karan mere ladkhadaane ki.
khud jise shamma dhoodh rahi,
kya baat hai us parwaane ki.

lamha-lamha bas tera intezaar hai,
tute hue dil ko kahan karaar hai,
ye bas teri bewafaai ki jeet,
aur meri mohabbat ki haar hai.
ye dard mila mujhe,shayad saza thi,
teri yaadon se khud ko sajane ki.
khud jise shamma dhoodh rahi,
kya baat hai us parwaane ki.

ab kosish karte hain tujhe bhulaane ki,
teri yaadon ke sung khud ko mitaane ki.
khud jise shamma dhoodh rahi,
kya baat hai us parwaane ki.


Bohot khoob...Ghayal !!!
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #17 on: April 13, 2006, 01:54:19 PM »
Quote from: "Talat"
Quote from: "ghayal_shayar"

apne ashkon se teri aankhon ko bhigote hain,teri ungliyon ko apne badan pe chubhote hain,teri yaadon ka jo sagar hai saath mere,usme raat-din khud ko dubote hain,ab to bas samaa hi ho gaya hai kuch yun ki,ek dooje ko yad kar tu v roti hai,hum bhi rote hain............

sach sirf rote hain.............

kosish ki humne tujhko paane ki,
saza mili hume dil aazmane ki.
khud jise shamma dhoodh rahi,
kya baat hai us parwaane ki.

main ek zinda laash ho gaya,
zindagi se hataash ho gaya,
roshani se is kadar naata tuta,
main amawas ka aakash ho gaya.
ro na pade kahin meri haalat dekh,
so khabar na lena is deewane ki.
khud jise shama dhoond rahi hai,
kya baat hai us parwaane ki..........

ishq mera khuda,tu meri khudaai,
tu meri mehfil,aur tu meri tanhaai,
sab seh lega "ghayal" bas,
seh na paayega teri judaai.
bhula na dena mujhe kabhi,
yaad sambhale rakhna is anjaane ki,
khud jise shamma dhoodh rahi,
kya baat hai us parwaane ki.............

na zameen me,na falak me,
na hi kisi kaatil jhalak me,
tera basera to hota hai bas,
meri us bheegi palak me.
tu hi mera aakhiri sahara,
tu hi karan mere ladkhadaane ki.
khud jise shamma dhoodh rahi,
kya baat hai us parwaane ki.

lamha-lamha bas tera intezaar hai,
tute hue dil ko kahan karaar hai,
ye bas teri bewafaai ki jeet,
aur meri mohabbat ki haar hai.
ye dard mila mujhe,shayad saza thi,
teri yaadon se khud ko sajane ki.
khud jise shamma dhoodh rahi,
kya baat hai us parwaane ki.

ab kosish karte hain tujhe bhulaane ki,
teri yaadon ke sung khud ko mitaane ki.
khud jise shamma dhoodh rahi,
kya baat hai us parwaane ki.


Bohot khoob...Ghayal !!!


bahut bahut shukriya.talat ji.padhte rahiye yunhi hume aap.
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #18 on: April 13, 2006, 02:36:25 PM »
Ghayal ji bahut khoob likha aapne.. lavz nahi hai hamare paas... bahut khoob...
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #19 on: April 15, 2006, 03:43:39 PM »
Quote from: "Gesu"
Ghayal ji bahut khoob likha aapne.. lavz nahi hai hamare paas... bahut khoob...


bahut bahut shukriya gesu ji.aapne o lafz kahe humare liye wahi bahut hain.
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #20 on: April 16, 2006, 04:39:18 PM »
Quote from: "ghayal_shayar"
Quote from: "waheed_rose2004"
very  nice  JHl..........   Ghayal  shayar......


waheed bhai bahut bahut shukriya.aage v yunhi shirkat karte rahiye is gahyal mehfil me.



ur  welcome  brother.,...........
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #21 on: April 27, 2006, 05:51:15 PM »
Humse agar mohabbat karte ho
To khud se parda kaisa Huh?
Izhaar agar kar dete ho
To zaalim zamane se darna kaisa Huh?
Logged
Pooja
Guest
«Reply #22 on: April 27, 2006, 09:17:05 PM »
Zalim zamana kahin najar na laga de
Band hai jo baat, ser-e-amm na phela de
Payaar naam hai Pooja ka, iss liye darty hai
Payaar hai tumse, magar kahne se darty hai
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #23 on: April 29, 2006, 02:36:29 PM »
Quote from: "Just_Hate_Love"
Humse agar mohabbat karte ho
To khud se parda kaisa Huh?
Izhaar agar kar dete ho
To zaalim zamane se darna kaisa Huh?


sach kaha hai aapne janab.yunhi likhte rahiye.
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #24 on: April 29, 2006, 02:38:01 PM »
Quote from: "Pooja"
Zalim zamana kahin najar na laga de
Band hai jo baat, ser-e-amm na phela de
Payaar naam hai Pooja ka, iss liye darty hai
Payaar hai tumse, magar kahne se darty hai


wah kya sher kaha hai pooja ji.

kaash ki jo tune kaha wo sach hota,
to na tu roti na main hi rota.
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #25 on: April 29, 2006, 04:46:58 PM »
Thanks G.Shayar and good reply Pooja ...
Logged
Just_Hate_Love
Guest
r
«Reply #26 on: April 29, 2006, 04:51:02 PM »
Quote from: "Pooja"
Zalim zamana kahin najar na laga de
Band hai jo baat, ser-e-amm na phela de
Payaar naam hai Pooja ka, iss liye darty hai
Payaar hai tumse, magar kahne se darty hai



Daro mat tum kisise,
Pyaar ka izhaar khule aam kar do,
Agar koi bhi ilzaam tum pe lage,
Tum use befikr hoke humpe dhar do ...
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #27 on: April 30, 2006, 03:29:51 PM »
bahut badhiya janab.

ghayal itna khudgarz nahi,
jo apne ilzzaam tum par daal de.
ab aur nahi chal pa raha,
aaye to koi jo mujhe sambhal de.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #28 on: May 02, 2006, 04:56:58 AM »
sambhal kar, kar baat ki door tak jayegi
sambhal kar, kar baat ki door tak jayegi
teri badnaami ki aag, mera daman jalayegi
yah (payaar) hai wo atish, jo khud ka ghar jala jayegi!!!!!
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #29 on: May 09, 2006, 12:10:30 PM »
Hamare dil mein tumhe basa lenge jal jaane do apne ghar ko,
Jaane do door tak is baat ko daaman tera hum bacha lenge,
Saath jab tak hum hai bhul jaao badnaami ke darr ko ...
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 07:48:47 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.142 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer