kya gunaah kiya

by suave on May 05, 2005, 01:19:20 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1080 times)
suave
Guest
Hum ne to aitbaar kiya,kya gunaah kiya
Tum se hum ne pyar kiya,kya gunaah kiya

Har ik ko bakhshi izzat,diya sadaa pyar
Na kisi ko sharmsaar kiya,kya gunaah kiya

Dil main bithaya,jis ne bole do meethe bol
Us ko na aghyaar kiya,kya gunaah kiya

Berukhi ki teri, aadat si ho gayee
shikwa na tujh se yaar kiya,kya gunaah kiya

Kante samet liye, daaman main har baar
Tujh ko to nazr haar kiya,kya gunaah kiya

Saaya mila na kabhi,raha dhoop se rishta
Manzil ka intezaar kiya,kya gunaah kiya

Kholi zabaan na hum ne, kisi ke bhi aage
Ruswaa na tera pyar kiya,kya gunaah kiya

Jab jab chalin, adl-o-insaaf ki baatein
Amal tareeqa-e-sarkar(sal.)kiya,kya gunaah kiya

Dekha kiye jhoot ki numaaish, shab-o-roz
Zulm khud pe har baar kiya,kya gunaah kiya

Shayad wo palat aaye, is ummeed pe 'MAYANK'
Us mod pe intezaar kiya,kya gunaah kiya


MAYANK
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Hum ne to aitbaar kiya,kya gunaah kiya by husain52 in Shayri-E-Dard
KYA GUNAAH KIYA JO MAINE SAAZA PAYI. by ANKIT RAO in Shayri-E-Dard
ishq kar liya kya gunaah kiya..........Saniya by SaniyaS in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Gunaah Kiya Mane by FARE in Songs & Lyrics
Gunaah Kiya Maine..!! by Áɑѕӈίգ in Ghazals
thelostworld
Guest
«Reply #1 on: May 05, 2005, 01:36:40 PM »
Quote from: "suave"
Hum ne to aitbaar kiya,kya gunaah kiya
Tum se hum ne pyar kiya,kya gunaah kiya

Har ik ko bakhshi izzat,diya sadaa pyar
Na kisi ko sharmsaar kiya,kya gunaah kiya

Dil main bithaya,jis ne bole do meethe bol
Us ko na aghyaar kiya,kya gunaah kiya

Berukhi ki teri, aadat si ho gayee
shikwa na tujh se yaar kiya,kya gunaah kiya

Kante samet liye, daaman main har baar
Tujh ko to nazr haar kiya,kya gunaah kiya

Saaya mila na kabhi,raha dhoop se rishta
Manzil ka intezaar kiya,kya gunaah kiya

Kholi zabaan na hum ne, kisi ke bhi aage
Ruswaa na tera pyar kiya,kya gunaah kiya

Jab jab chalin, adl-o-insaaf ki baatein
Amal tareeqa-e-sarkar(sal.)kiya,kya gunaah kiya

Dekha kiye jhoot ki numaaish, shab-o-roz
Zulm khud pe har baar kiya,kya gunaah kiya

Shayad wo palat aaye, is ummeed pe 'MAYANK'
Us mod pe intezaar kiya,kya gunaah kiya


MAYANK


Nice mayank good job!!!
Logged
thelostworld
Guest
«Reply #2 on: May 05, 2005, 01:39:37 PM »
Hothon ki zuban ye aansu kahte hai..
Chup rahte hain lekin fir bhi bahte hain..
Aansu ki kismat toe dekhiye..
Ye unke liye bahte hain jo aankhon main hi rahte hain..
Logged
isha_verma7
Guest
«Reply #3 on: May 05, 2005, 06:36:55 PM »
Wah " thelostworld" wat a shayer..........simply WOW!!.........good work
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #4 on: May 05, 2005, 08:56:21 PM »
PATHAR KO BHI PANI KAR DE HUM WHO JAAN RAKHTE HAI, ANJAAN KO BHI APNA BANA LE HUM WOH PEHCHAAN RAKHTE HAI.
Logged
thelostworld
Guest
«Reply #5 on: May 08, 2005, 03:49:21 AM »
Quote from: "isha_verma7"
Wah " thelostworld" wat a shayer..........simply WOW!!.........good work



thanx isha ji  Usual Smile
Logged
Devdas_online
Guest
«Reply #6 on: May 08, 2005, 07:19:00 AM »
Quote from: "suave"
Hum ne to aitbaar kiya,kya gunaah kiya
Tum se hum ne pyar kiya,kya gunaah kiya

Har ik ko bakhshi izzat,diya sadaa pyar
Na kisi ko sharmsaar kiya,kya gunaah kiya

Dil main bithaya,jis ne bole do meethe bol
Us ko na aghyaar kiya,kya gunaah kiya

Berukhi ki teri, aadat si ho gayee
shikwa na tujh se yaar kiya,kya gunaah kiya

Kante samet liye, daaman main har baar
Tujh ko to nazr haar kiya,kya gunaah kiya

Saaya mila na kabhi,raha dhoop se rishta
Manzil ka intezaar kiya,kya gunaah kiya

Kholi zabaan na hum ne, kisi ke bhi aage
Ruswaa na tera pyar kiya,kya gunaah kiya

Jab jab chalin, adl-o-insaaf ki baatein
Amal tareeqa-e-sarkar(sal.)kiya,kya gunaah kiya

Dekha kiye jhoot ki numaaish, shab-o-roz
Zulm khud pe har baar kiya,kya gunaah kiya

Shayad wo palat aaye, is ummeed pe 'MAYANK'
Us mod pe intezaar kiya,kya gunaah kiya


MAYANK


humne us bewafa se pyar kiya, jinhen pyar ka matlab nahin malum,
woh hume kya raasta dikhayenge, jise apne ghar ke raasta nahin malum
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:57:54 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer