Kya Jajbaat Kabhi Nahi Marte.......

by Nikhaar on March 21, 2010, 12:30:33 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1398 times)
Nikhaar
Guest

Sochte hai hum aksar aaj dikhti hai jo duniya haseen inn aankhon ko,
Kal uss duniya ki haqiqat ka chehra kya hoga

Kal tak vishwaas tha beinteha dono k darmiyaan
Aaj vishwaas ki kabr khod di gayi
Bina vishwaas k uss rishte ka kya hoga

Aitbaar par jite the jiske wo hi daga de gaya
Kya pta tha unhe ki iss kadar unke har khwaab chankna chur hoga

satth chale the ek raah par ab raaste bhi hai juda
kal tak mohabbat mein paagal the ek duje k
Kya jaante the,kal ek duje ko dekhna bhi unhe na manjur hoga

Unke liye swaal hai ye jo kehte hai humse k jajbaat kabhi marte nahi
De jwaab aaj wo hamein,kya reh paayege jajbaat uss dil mein
Jis dil ka yu bedardi se khoon hoga
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
KABHI NA KABHI WAQT EIK SA NAHI HOTA by muneeb in Shayri-E-Dard
ashiq marte nahi------------------ by chatingforever in Shayri-E-Dard
mre jajbaat by omprakash suthar in Shayri for Dard -e- Judai
Mohabbat karnewaale marte nahi by pandit in Miscellaneous Shayri
Khud Ko Kabhi Jeete, Kabhi Marte Dekha Hamne by deepika_divya in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
riyaz106
Guest
«Reply #1 on: March 21, 2010, 01:38:14 PM »
Wah wah Nikhar ji bahut achhi poem hai ye aapki. Shandaar aur purkashish. Bahot bahot khoob
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #2 on: March 21, 2010, 09:30:29 PM »
Bakhubi Aapne Haal e Dil Ko Alfazon Mein Piroya Hai
Har Lafz Maano Jaise Dard Mein Dooba Hua Hai...
Sawalon Se Bharpur Aapka Yeh Kalaam Achcha Raha Ji
Bahut Khub Nikhaar Ji...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3 on: March 22, 2010, 08:10:32 AM »

Sochte hai hum aksar aaj dikhti hai jo duniya haseen inn aankhon ko,
Kal uss duniya ki haqiqat ka chehra kya hoga

Kal tak vishwaas tha beinteha dono k darmiyaan
Aaj vishwaas ki kabr khod di gayi
Bina vishwaas k uss rishte ka kya hoga

Aitbaar par jite the jiske wo hi daga de gaya
Kya pta tha unhe ki iss kadar unke har khwaab chankna chur hoga

satth chale the ek raah par ab raaste bhi hai juda
kal tak mohabbat mein paagal the ek duje k
Kya jaante the,kal ek duje ko dekhna bhi unhe na manjur hoga

Unke liye swaal hai ye jo kehte hai humse k jajbaat kabhi marte nahi
De jwaab aaj wo hamein,kya reh paayege jajbaat uss dil mein
Jis dil ka yu bedardi se khoon hoga


Bahut Bahut Khoooob Pooja..

bahut Hi khoobsurat Aur sawaalo Se Bhari kavita Likhi Hai Aapne..

Kuch Baaton ko Yaa Kisi Bhi sawaal Ko kavita Ke Roop mein Dhaalna Asaan nahi Hota Par Aapne Bakhoobi Inn Preashno Ko Apni Kavita Mein uthaya..

bahut AChe.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Talat
Guest
«Reply #4 on: March 22, 2010, 01:50:27 PM »

Sochte hai hum aksar aaj dikhti hai jo duniya haseen inn aankhon ko,
Kal uss duniya ki haqiqat ka chehra kya hoga

Kal tak vishwaas tha beinteha dono k darmiyaan
Aaj vishwaas ki kabr khod di gayi
Bina vishwaas k uss rishte ka kya hoga

Aitbaar par jite the jiske wo hi daga de gaya
Kya pta tha unhe ki iss kadar unke har khwaab chankna chur hoga

satth chale the ek raah par ab raaste bhi hai juda
kal tak mohabbat mein paagal the ek duje k
Kya jaante the,kal ek duje ko dekhna bhi unhe na manjur hoga

Unke liye swaal hai ye jo kehte hai humse k jajbaat kabhi marte nahi
De jwaab aaj wo hamein,kya reh paayege jajbaat uss dil mein
Jis dil ka yu bedardi se khoon hoga


Bohot bohot khoob Nikhaar, bohot hi khoobsurat peshkash.....
Logged
DhavalRami
Guest
«Reply #5 on: March 23, 2010, 05:07:16 AM »
niKhaar saaHeb:

salaam!

bahot Khoob farmaayaa hai! daad!

KhUSh raheN... apnaa Khayaal raKheN

duaaoN ke saath ijazat

aapka

~ Dhaval
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #6 on: March 23, 2010, 02:40:02 PM »

Sochte hai hum aksar aaj dikhti hai jo duniya haseen inn aankhon ko,
Kal uss duniya ki haqiqat ka chehra kya hoga

Kal tak vishwaas tha beinteha dono k darmiyaan
Aaj vishwaas ki kabr khod di gayi
Bina vishwaas k uss rishte ka kya hoga

Aitbaar par jite the jiske wo hi daga de gaya
Kya pta tha unhe ki iss kadar unke har khwaab chankna chur hoga

satth chale the ek raah par ab raaste bhi hai juda
kal tak mohabbat mein paagal the ek duje k
Kya jaante the,kal ek duje ko dekhna bhi unhe na manjur hoga

Unke liye swaal hai ye jo kehte hai humse k jajbaat kabhi marte nahi
De jwaab aaj wo hamein,kya reh paayege jajbaat uss dil mein
Jis dil ka yu bedardi se khoon hoga

Bahut Hi lajawab Likhi Hai aapne Yeh Rachna Pooja Ji.. Jazzbaaton Ko Behad Khubsoorati se Pesh Kiya hai aapne.. Bahut Hi Umda Peshkash hai..!! Applause Applause



**~** Mann **~**
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #7 on: March 26, 2010, 03:41:29 PM »
Shukriya Riyaz ji , hum dum ji , khwaish ji , celmira ji , dhaval ji,
khwaish ji , mann ji.....bahut bahut shukriya......aap sabne iss rachna ko pasand kiya....
Thanx a lot to all............ notworthy
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #8 on: March 28, 2010, 12:29:41 PM »
very nice  icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #9 on: April 07, 2010, 07:14:04 PM »
Bahut hi khoobsurat kavita likhi hai aapne Pooja ji... bahut hi dard hai iski ek ek pankti me... sach hi kaha tha aapne ki kavitaon ki duniya hoti hi aisi hai ki hamare dard pe bhi log wah wah kehte hain... main bhi keh raha hoon .. Wah wah... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Sach kahen to aajkal sachche mohabbat ki koi kadar nahi hai... pyar bas ek dil behlaane ka saadhan ban k reh gaya hai... aur kuch dino me ye aur bhi bhayanak roop me saamne aayegi... kahin bhi mohabbat ka naamo nishaan nahi rahega ... jajbaaton ki koi keemat nahi hogi...

kuch panktiyaan likhne ki koshish ki hai maine usi mohabbat k naam...
kal is jahaan me mohabbat ka wo hashra hoga,
tutenge sainkdo dil aur aansuon ka sama hoga,

kuch dino ki baat hai mohabbat ka bazaar hoga,
jab bhare bazaar me mohabbat nilaam hoga,

aaj har rishte ki buniyaad hoti hai wafaa,
kal har vishwaas ka naam bewafaa hoga,

kal is duniya me mohabbat ka wo hashra hoga ,
na chalne ko zameen hogi na upar aasmaan hoga,

kehte hain hum ki jazbaat kabhi marte nahi hai,
par kal in jajbaaton ka na naam na nishaan hoga...
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #10 on: April 09, 2010, 03:39:53 AM »

Sochte hai hum aksar aaj dikhti hai jo duniya haseen inn aankhon ko,
Kal uss duniya ki haqiqat ka chehra kya hoga

Kal tak vishwaas tha beinteha dono k darmiyaan
Aaj vishwaas ki kabr khod di gayi
Bina vishwaas k uss rishte ka kya hoga

Aitbaar par jite the jiske wo hi daga de gaya
Kya pta tha unhe ki iss kadar unke har khwaab chankna chur hoga

satth chale the ek raah par ab raaste bhi hai juda
kal tak mohabbat mein paagal the ek duje k
Kya jaante the,kal ek duje ko dekhna bhi unhe na manjur hoga

Unke liye swaal hai ye jo kehte hai humse k jajbaat kabhi marte nahi
De jwaab aaj wo hamein,kya reh paayege jajbaat uss dil mein
Jis dil ka yu bedardi se khoon hoga


Very good indeed Nikhaar Ji
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:24:19 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer