kya kabhi dekha hai?????

by ranjana on September 07, 2006, 06:41:25 PM
Pages: 1 [2] 3 4
Print
Author  (Read 4173 times)
ranjana
Guest
«Reply #15 on: September 08, 2006, 09:26:59 AM »
kinaare ki talsah mein bhatak rahi hun main
yeh dubane se bachane ki talash mujhe kahan liye jaati hai
kabhi dard ka gehara sagar kabhi khushi ka ek jhootha pal
mujhe ek umeed ka dariya dikha ke chali jaati hai !!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Khud Ko Kabhi Jeete, Kabhi Marte Dekha Hamne by deepika_divya in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Jin sapno ko kabhi dekha tha humne by kamal.shayari in Share Poetry You Like
JahaaN dekha DhuaN kabhi !!! by sarfira in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
kya kabhi dekha hai mujhe by ripan dev in Share: Poetry of Pain
kabhi aate huwe dekha kabhi jaate huwe dekha (zarraa) by zarraa in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
badnaam_shayar
Guest
«Reply #16 on: September 08, 2006, 11:49:10 AM »
Waah...!!

Doobne ko mere liye ek Dariya hee bahut tha.....
Par tumne toh AShQon ki nadiyan baha dee......

Yoon toh Jeene ke liye Humdard hee Bahut the.....
Par tumne aaj phir kisi Humsafar ki kami mehsoos kara dee.....

Gar maloom hota hume toh hum bhi Khuda ke saamne sir jhukate.....
Maangte ek aur dua Zindagi ki aur usme Shayad apni Sanam ko paate......

Mujhe IShara tha kabhi ki yeh Cheez bhi Zindagi me anmol hai.....
Sahi kaha kisi ne Dafan Jism aur toote Dil ka Dunia me kya Mol hai......!!!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #17 on: September 08, 2006, 04:25:39 PM »
dil mera kyu dhokhe baar baar khaata hai
kyu is nadaan ko har kisi per etebaar ho jaata hai

log karke dillagi chal dete hain iske saath
yeh fir akela aur tanah sa reh jaata hai

thokare khaane se bhi yeh kab sudhara hai
bas yun hi kisi ki nazaro mein kho jaata hai

yeh dil mere bahut nadaan aur bhola hai
kyu is ko baar kisi se pyaar ka bhoot sawar ho jaata hai!!
Logged
phoenix
Guest
«Reply #18 on: September 09, 2006, 07:40:51 AM »
bahut khoob ranjana ji, gaurav and vikas bro Usual Smile
gud going
Logged
shalu
Guest
«Reply #19 on: September 09, 2006, 08:37:46 AM »
Soch aksar us ek pal mein uljh jaati hai
Jab achanak tanhaayee mein apki yaad aati hai
Sardiyon ki dhoop jaise utarti hai zeene se
Kabhi khidki ke parde ki oat se sharmaati hai
Dekhne ko ek jhalak tapti dopehar mein chhat per aati hai
Aur phir mujhko saamne pa kar yun hi ghabra jaati hai
Woh khamosh mohabbat jo dum tod gayee khamoshi se hi
Jindgi jaise haadsa ban ke phir se guzar jaati hai
Soch aksar us ek pal mein uljh jaati hai
Jab achanak tanhaayee mein apki yaad aati hai


SHALU
Logged
ranjana
Guest
«Reply #20 on: September 09, 2006, 09:11:45 AM »
shukriya nitesh ...likha kyu nahi Usual Smile  ...bahut khoob shalu ..


jab bhi is dil mein kisi ki yaad aayi
kyu saath reheti hai meri tanhaai

dil thaa pehle hi beheka sa
us per teri yeh ruswaai

maine tujhko chaha apne dil se
teri hi dil mein meri jagah kyu na ban paayi

aaj akele bathe bunte hai hum sapne
main aur meri yeh tanhaai

kabhi toh kategi viarh ki raate
kabhi toh chalegi sukh ki purwaaii

abhi toh bas saath hain mere main aur meri tanhaai !!
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #21 on: September 09, 2006, 04:32:51 PM »
Quote from: "ranjana"
shukriya nitesh ...likha kyu nahi Usual Smile  ...bahut khoob shalu ..


jab bhi is dil mein kisi ki yaad aayi
kyu saath reheti hai meri tanhaai

dil thaa pehle hi beheka sa
us per teri yeh ruswaai

maine tujhko chaha apne dil se
teri hi dil mein meri jagah kyu na ban paayi

aaj akele bathe bunte hai hum sapne
main aur meri yeh tanhaai

kabhi toh kategi viarh ki raate
kabhi toh chalegi sukh ki purwaaii

abhi toh bas saath hain mere main aur meri tanhaai !!


bahut aache ranjana ji....

jub bhi baithta hu aakele yaad tumhari aati hai.
kisi bhi sukh ke sadhan se ye chain nhi paati hai.
log kehte hai tum to gulistaan mein bhi tanha rehte ho,
per baharo ke cheen lene se tanhaayee nhi jaati hai.

isiliye maut bhi saath nibhane nhi aati hai,
aur... dard ki deewaro ne humko jakad rakha hai.
kab se sooch rahe hai saath chor de zamane ka.
par aapki yaadon ne haath humara pakad rakha hai.
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #22 on: September 09, 2006, 04:33:24 PM »
Quote from: "ranjana"
shukriya nitesh ...likha kyu nahi Usual Smile  ...bahut khoob shalu ..


jab bhi is dil mein kisi ki yaad aayi
kyu saath reheti hai meri tanhaai

dil thaa pehle hi beheka sa
us per teri yeh ruswaai

maine tujhko chaha apne dil se
teri hi dil mein meri jagah kyu na ban paayi

aaj akele bathe bunte hai hum sapne
main aur meri yeh tanhaai

kabhi toh kategi viarh ki raate
kabhi toh chalegi sukh ki purwaaii

abhi toh bas saath hain mere main aur meri tanhaai !!


bahut aache ranjana ji....

jub bhi baithta hu aakele yaad tumhari aati hai.
kisi bhi sukh ke sadhan se ye chain nhi paati hai.
log kehte hai tum to gulistaan mein bhi tanha rehte ho,
per baharo ke cheen lene se tanhaayee nhi jaati hai.

isiliye maut bhi saath nibhane nhi aati hai,
aur... dard ki deewaro ne humko jakad rakha hai.
kab se sooch rahe hai saath chor de zamane ka.
par aapki yaadon ne haath humara pakad rakha hai.
Logged
phoenix
Guest
«Reply #23 on: September 09, 2006, 05:24:56 PM »
kyun hum iss dil ko behlate bahut hain
jaante hai zaamane ko fir bhi umeed jagate kyun hain

aate hain raat har roshni k baad
fir kis ki yaad mein aankho ko jaagate kyun hain

nahi choodna chaahte suraj ko shaam ki baaho.n se
fir bhi raat ko gale se lagate kyun hai
Logged
ranjana
Guest
«Reply #24 on: September 09, 2006, 05:49:15 PM »
zindagi bhi kitni ajeeb hai
kabhi yeh dard kabhi khushi ban jaati hain

kabhi mila deti hain yeh sahil se
kabhi manjhdaar mein dubo jaati hai

khelti hai kabhi yeh hamaare jazbaato se
aur kabhi yeh pyaar ka saaya bhi kar jaati hai!!

kyu hai  hame is ke har lafaz se pyaar itna
kyu yeh kabhi mushkil ek sawal bhi ban jaati hai!!
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #25 on: September 10, 2006, 07:51:59 AM »
Quote from: "ranjana"

zindagi bhi kitni ajeeb hai
kabhi yeh dard kabhi khushi ban jaati hain

kabhi mila deti hain yeh sahil se
kabhi manjhdaar mein dubo jaati hai

khelti hai kabhi yeh hamaare jazbaato se
aur kabhi yeh pyaar ka saaya bhi kar jaati hai!!

kyu hai  hame is ke har lafaz se pyaar itna
kyu yeh kabhi mushkil ek sawal bhi ban jaati hai!!


bahut hi aacha likha hai aapne zindgi ke baare mein,ranjana ji......

ye zindgi bhi kitni aajeeb hai.
kabhi ikaraar se darte thay, ab inkaar se dartein hai.
kabhi dushmaon se dar lagta tha aaj yaar se darte hai.
kabhi kaantoon se dar lagta tha, aaj bahar se dartein hai,
bachpan mein maar se darte thay, aaj pyaar se dartein hai.
Logged
ranjana
Guest
«Reply #26 on: September 12, 2006, 04:28:47 AM »
bahut khoob kavi ji..........

yeh zindagi hai kyu apni hi ashqo se nam
kabhi hain khushiya.n toh kabhi hai yahan ghum
jee lete hain kabhi hum umeed ka daaman pakad ke
hum kaun hai. hain kahan ke aur kiske liye hain yahan hum !!
Logged
BHONDU
Khususi Shayar
*****

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 19 hours and 12 minutes.

Posts: 1550
Member Since: Mar 2006


View Profile
«Reply #27 on: September 12, 2006, 03:29:19 PM »
Quote from: "ranjana"
bahut khoob kavi ji..........

yeh zindagi hai kyu apni hi ashqo se nam
kabhi hain khushiya.n toh kabhi hai yahan ghum
jee lete hain kabhi hum umeed ka daaman pakad ke
hum kaun hai. hain kahan ke aur kiske liye hain yahan hum !!


good one ranjana ji....

ye zindgi meri ab mere ankhoo ke naam hai.
ye zindgi mere ab gumo ki shaam hai....
mili nhi mere ishq ko uski manzil kabhi.
isiliye shayed mera ishq badnaam hai.
Logged
ranjana
Guest
«Reply #28 on: September 12, 2006, 06:59:01 PM »
Quote from: "BHONDU"
Quote from: "ranjana"
bahut khoob kavi ji..........

yeh zindagi hai kyu apni hi ashqo se nam
kabhi hain khushiya.n toh kabhi hai yahan ghum
jee lete hain kabhi hum umeed ka daaman pakad ke
hum kaun hai. hain kahan ke aur kiske liye hain yahan hum !!


good one ranjana ji....

ye zindgi meri ab mere ankhoo ke naam hai.
ye zindgi mere ab gumo ki shaam hai....
mili nhi mere ishq ko uski manzil kabhi.
isiliye shayed mera ishq badnaam hai.


bahut hi accha likha hai kavi ji ...

yeh ishq kabhi kabhi yeh bhi sitam kar jaata hai
bas kisi ka ek ishaara pyaar ka paane ko mann taras jaata hai
dil chahata hai jis sahare ka saaya umar bhar
woh hi shakas  bas zindagi bhar ke ek ajnabi sa ban jaata hai!!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #29 on: September 13, 2006, 03:57:27 AM »
Dekhte nahi tujhe toh ab Khud ko kaise Pehchaan paate.....
Sulagte rehte bas Dard-O-Gum aur hum sirf Deewane bankar hee reh jaate......

Ab mili Taalim Mahobbat ki toh dekho hum kaise yeh Rishta hai NIbhaate......
Tum bhi karo Guzar kabhi hum me dekho hum kaise Tum binn hai jee paate........!!!!!!!!!
Logged
Pages: 1 [2] 3 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 09:31:07 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.14 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer