kya kafia kya redeef kya baher kya maqta

by @kaash on February 19, 2009, 05:44:07 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1450 times)
@kaash
Guest


apne aasuon ko nazar nahi deta
han main khud ki khabar nahi leta


chhoot jaye kisi mod pe saya agar
awaaz use main mudkar nahi deta


kya kafia kya radeef kya baher kya maqta
ehsaas jab hamara khud ko kadr nahi deta


beemari to hume vohi purani hai
dawa phir vohi teemaardaar nahi deta


milti hai zindagi jab kabhi mujhe
apne gham ka use sabab nahi deta


humsafar mera vaise manta hai sabko
lamha hume koi khushgawaar nahi deta


itne basabr na hue kabhi tanhaiyun se
tasavvur mera kya asar nahi deta


khuda to deta hai sabko ek humsafar
meri zindagi ko koi safar nahi deta


khush dekhke use khush hote hain hum
vaqif hua to khud ko vo khush hone nahi deta


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
shab baher by payar in Shayri for Dard -e- Judai
maqta.............sheba by Sheba in Miscellaneous Shayri « 1 2 3  All »
salma786
Guest
«Reply #1 on: February 19, 2009, 06:01:47 AM »
Bahut khoob kash ji!
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #2 on: February 19, 2009, 08:14:11 AM »
Akash bahut khoob

jab aap ko itna ahsaas hai to kuin thodi aur nazre sani ho jaye


javed
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #3 on: February 19, 2009, 09:46:53 AM »
Wah Akash wahhhhhhhhhh teesre sher par to karodo dad kabul ho. Subhan_allah kya kalam likha hain... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #4 on: February 19, 2009, 11:48:31 AM »
Bohat Achche Aakash Bhai,,.
Nice One,.
Logged
smardia
Guest
«Reply #5 on: February 19, 2009, 12:17:48 PM »
बहुत अच्छी कविता है आपकी .....
बड़े बेफ़िक्र जीते हैं कुच्छ लोग
सुंदर वर्णन किया है आपने .... Applause Applause Applause


apne aasuon ko nazar nahi deta
han main khud ki khabar nahi leta


chhoot jaye kisi mod pe saya agar
awaaz use main mudkar nahi deta


kya kafia kya radeef kya baher kya maqta
ehsaas jab hamara khud ko kadr nahi deta


beemari to hume vohi purani hai
dawa phir vohi teemaardaar nahi deta


milti hai zindagi jab kabhi mujhe
apne gham ka use sabab nahi deta


humsafar mera vaise manta hai sabko
lamha hume koi khushgawaar nahi deta


itne basabr na hue kabhi tanhaiyun se
tasavvur mera kya asar nahi deta


khuda to deta hai sabko ek humsafar
meri zindagi ko koi safar nahi deta


khush dekhke use khush hote hain hum
vaqif hua to khud ko vo khush hone nahi deta



Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #6 on: June 14, 2009, 12:03:37 PM »
Very nice and beautiful creation Kaash ji, Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
beautiful lines by you Sajid ji. Applause Applause Applause
kamaal ka likha aap dono ne.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 24, 2024, 04:46:48 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.137 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer