Kya Likhoon...

by r a i n on August 05, 2006, 10:15:28 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 824 times)
r a i n
Guest
Tanhaayi mein jab baitha likhne
To khayal aaya ki kya likhoon.............

Yaad aaye phir woh lamhe,
Jo tere saath maine bitaaye the,
Socha kyun na unhi lamho ka,
Ek haseen Aagaaz likhoon...............

Na jaane kyun sudh-budh gava baithe,
Aur khoye rahe tere khayalon mein,
Socha kyun na is marz ke,
Aasaar aur Raaz likhoon..............

Majbooriyaan thi teri kuch aisi,
Jo tu mujhe na apna saki,
Socha kyun na unhi majbooriyon se,
Apna main Intekaam likhoon...............

Kaise samjhaayein dil ko,
Ye to paagal aur nadaan hai,
Phir sochta hoon kyun na is,
Mohobbat ke dardnaak anjaam likhoon..........

Saugaat mein mile ashq se hai pyar,
Kyunki girte huye bhi ye tera naam lete hain,
Dekhkar in ashkon ko sochta hoon,
Kyun na teri bewafaai ki lambi daastaan likhoon............

Tere diye ghamo.n ko humne dil ke kareeb rakha hai,
Kyunki ye sab tujhse juray hain,
Sochta hoon kyun na in ghamo.n aur dardon ko
Apne ishq ka Inaam likhoon..................
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kya Likhoon by priya_akela in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Sochti Hon Kya Likhoon...! by Qutubuddin in Ghazals
uss ki aankhoN pe ik kitab likhoon gi..... by laaiba in Shayri-E-Dard
Main yeh kis key naam likhoon??? by vampi khan in Shairy-E-Watan
kya likhoon by nandbahu in Miscellaneous Shayri
r a i n
Guest
«Reply #1 on: August 05, 2006, 10:16:47 AM »
baat niklegi tou phir door talak jaayegi

log bewajah udasi ka sabab poochengey

ye bhi poochengey k tum itni pareshaN q ho

ungliyaaN uthengi sookhey huey baaloN ki taraf

ek nazar dekhengey guzrey huey saaloN ki taraf

choorioN par bhi kai tanz kiyey jaayenge

kaaptey haatho pe bhi fiqrey kase jaayenge

log zalim heiN har ek baat ka taanaa dengey

bato baatoN me mera zikr bhi ley aayenge

unki baatoN ka zara sa bhi asar mat lena

warna chehrey k tassavurr sey samajh jaaengey

chahey kuch bhi hoN sawalaat na karna un sey

merey baarey me koi baat na karna un sey

baat niklegi tou phir door talak jaayegi !!!
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #2 on: August 05, 2006, 11:07:29 AM »
nice RAIN......

bahut khoob
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #3 on: August 05, 2006, 11:15:46 AM »
very good ! Usual Smile



What is it with Love


That makes me
then breaks me?

When in love
Do I truly love?

Is it really love
Or do I think that I love?

Maybe I just love being in love
Or love the idea of being in love?

I spent my whole life chasing love.
In the end the one thing I truly love
Could just be the meir pursuit of love.
Logged
r a i n
Guest
«Reply #4 on: August 07, 2006, 04:46:00 AM »
shukriya vikas aur sadiqa jee..!!
Mohsin Naqvi jee ki ye ghazal dekhain..ummeed hay aap logo.n ko pasand aayegi..!!

ghaltiyon say mara tu bhi nahin main bhi nahin
donon insaan hain khuda tu bhi nahin main bhi nahin

tu jafa ki main wafa ki rah per hain gaamzan
peechay murr kay daikhta tu bhi nahin main bhi nahin

tu mujhay ,main tujhay ilzaam dharta hoon
apnay munn main jhaankta tu bhi nahin main bhi nahin

maslehat nay kar diyey donon main paida ikhtilaaf
warna tou dil ka bura tu bhi nahin main bhi nahin

budd gumaani shehar main kisnay phailadee jabkay
aik doosray say khafa tu bhi nahin main bhi nahin

jaan-e-mohsin tu bhi thaa ziddi ana mujh main bhi thi
donon khud sar thay, jhuka tu bhi nahin main bhi nahin.....

by Mohsin Naqvi...!!
Logged
phoenix
Guest
«Reply #5 on: August 07, 2006, 04:47:58 AM »
bahut aache

keep it up
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:57:41 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer