Kya main maali tha bekaar ? !!!

by smardia on October 10, 2009, 07:16:24 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1420 times)
smardia
Guest
Meri badi didi ne ek-baar mujhe salah di thee..unki lines
"Sneh v samta se jeeta jata man....
 Hriday marusthal ko bana do chaman.."


Utter mai maine ye kuchh line unhe likh bheji thee...

Mantra tumhara siddh hoga didi
Par mujhse sadha nahi

Hriday marusthal seench-seench thaka
Ful koi khila nahi
Banzer ho gayee hriday bhoomi
Spandan koi bacha nahi
Sukhi sab nadiyen hriday desh ki
Avrodh huye uttpan itne
Bypass karvana pada
Bhagirath ban nayee Ganga bahaane ko

Pyaar k bindu ko
Sindhu banana aasaan nahi
Ye do-chaar dino ka prayaas nahi
Anter ka kalush varsho purana
Usey khod hatana khel nahi
Hil jaayengi neev jeevan ki
Usey main kaise meetaun
Matbhed,man-ka-bhed,mati-bhed
Ye gati-rodh jeevan path k
Kaise main meet banau unko
Jo har-pal mere sang chalte
Man se par koson dur rehte

Mantra tumhara siddh hoga didi
Par mujhse sadha nahi

"Apno ko dil ki baat batao"
Sahi hoga soch tumhara didi
Par jo n samjh sake peer parai
Unhen kaise hriday k ghaav dikhaun
Makkhol udaana jinhe suhaata
Un saathiyon se kaise
Main marham ki aas lagaun

Fal khane k din aaye ab
Kaise main naye beej oogaun ?
Shuru kiya hota jaap kuchh varsho pehle
Tou shayad mantra sadh jaata
Man ko ab kaise vishwaas dilaun
Kaise ab shuruaat karu main ?

Mantra tumhara siddh hoga didi
Par mujhse sadha nahi

Dosh nahi deta kisi ko
Mera apna dil beemaar
Main he karan,main he jimmevaar
Seench n paya apni jeevan bagiya
Kya main maali tha bekaar ? !!!
Huh???


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
KaHo Na BeKaaR HaiN by asgher in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2  All »
Aansu Bekaar Chale Gaye by Devdas_online in Shayri-E-Dard
main maali bhee thaa honhaar by Prateek Mardia in Shayri-E-Dard
MAALI AB by adil bechain in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
JAB DIL KARE KE MAIN BEKAAR HOON TAB MAN SE KYA KAHE by jeet hindi shayar in Other Languages
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #1 on: October 10, 2009, 07:17:21 PM »
Nice Applause Applause
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #2 on: October 10, 2009, 08:03:23 PM »
Wah bahut bahut khoob likha aapne Smardia ji,marvelous,excellent icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Thumbs UP
Logged
smardia
Guest
«Reply #3 on: October 11, 2009, 06:53:11 PM »
Thank you Rishi...

Nice Applause Applause
Logged
Roja
Guest
«Reply #4 on: October 12, 2009, 03:01:00 AM »
Quote
Mantra tumhara siddh hoga didi
Par mujhse sadha nahi

Hriday marusthal seench-seench thaka
Ful koi khila nahi
Banzer ho gayee hriday bhoomi
Spandan koi bacha nahi
Sukhi sab nadiyen hriday desh ki
Avrodh huye uttpan itne
Bypass karvana pada
Bhagirath ban nayee Ganga bahaane ko

Lovely  Applause Applause
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #5 on: October 12, 2009, 03:39:51 AM »
Smardia Jiiiiiiii.... Kya Kahun Dost..?? Aapke Likhe Yeh Alfaaz.. Aapka Apni Didi Ko Bheje Is Jawab Ne Jhinjod Ke Rakh Diya Dost.. Bahut Dard Hai aapke in Alfaazon me.. Bahut Hi Umda.. Applause Applause



**~** Mann **~**
Logged
smardia
Guest
«Reply #6 on: October 12, 2009, 06:01:38 AM »
Thankyou Rojaji....

Lovely  Applause Applause
Logged
smardia
Guest
«Reply #7 on: October 12, 2009, 09:17:05 AM »
Maanbhai tahedil se aapka shukriya....AApne rachna ko bariki se padha aur sarahaya......dhanyawaad

Smardia Jiiiiiiii.... Kya Kahun Dost..?? Aapke Likhe Yeh Alfaaz.. Aapka Apni Didi Ko Bheje Is Jawab Ne Jhinjod Ke Rakh Diya Dost.. Bahut Dard Hai aapke in Alfaazon me.. Bahut Hi Umda.. Applause Applause



**~** Mann **~**
Logged
smardia
Guest
«Reply #8 on: October 12, 2009, 09:20:11 AM »
Meri didi ki inhi do lines par Prateek Mardia ne bhi kuchh lines likh bheji thee main unhe yahan fir se paste kar raha hu....

"kuch naya nahi soojh raha aajkal-ek puraani kavita ki peshkush kar raha hu.meri ek bua ne ek atyant prernadaayak kavita likhi thee-jisme ek pankti thee--
'sneh aur samta se jeeta jaata mun
hriday marusthal ko bana lo chaman'
 

Inhi do panktiyon ko lekar ek tukbandi likhi thee..pesh he.."


'sneh aur samta se jeeta jaata mun
hriday marusthal ko bana lo chaman'

mantra tumhaara siddh hoga bua
pur mujhko to nahi sadha

yeh kalyug he bholi bua
yahan chamatkar he yada-kada
yahan satya balishth
yahan satya sada
kehne to woh thaa ''satyug''
jaadugariyon ki nagri thee
snehil sparsh raam ka paakar
 ahalya jub patthar se ubari thee
ya fir jaise meera vish se anjaan
grehan kya to amritpaan
pur kalyug mein
satya adig  aur satya atal
satya pragaadh aur satya prabal
jaadu-tone sub nishful
nahi khilte cactus pur
phool aur ful!!

bua meri tum ho bholi
ya karti ho hansi thitholi
bholi kehna meri naadani
bua meri badi sayaani
tum laayi gulaab khila kilaaya
aur main paudha jaanch na paaya
tum shaayad isliye itarti
aur sub pur kasti ho fabti!

bua-uphas nahi koi acchi baat
jo pehle se he aaahat
unke bhee samjho jazbaat..

kaanta jub yeh mun mein tanta he
dukh aisa-jo naa baaten thumta he
paudha apna-na jud se kaate banta he
kyon smaran karaati hume galat paath
hum rakhte samta -takte-'baat'

sneh diya humne apaar
samta bhee rakhi beshumaar
bagiya mein fir bhee nahi bahar
mut vichlit ho dukh se unke
jo kehte maali khud ko bekaar
seench na paaya main bhee bagiya
main maali bhee tha honhaar!!


Prateek Mardia
Logged
ANAAMIKA
Guest
«Reply #9 on: October 14, 2009, 07:20:56 PM »
Wah-wah kya baat hai....Dard ka dariya baha diya Surendraji aapne....
Aapki yeh lines bahut gehri dil mai utar gayee....
aur anter ko kachot gayee.......

"Par jo n samjh sake peer parai
Unhen kaise hriday k ghaav dikhaun
Makkhol udaana jinhe suhaata
Un saathiyon se kaise
Main marham ki aas lagaun"

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Meri badi didi ne ek-baar mujhe salah di thee..unki lines
"Sneh v samta se jeeta jata man....
 Hriday marusthal ko bana do chaman.."


Utter mai maine ye kuchh line unhe likh bheji thee...

Mantra tumhara siddh hoga didi
Par mujhse sadha nahi

Hriday marusthal seench-seench thaka
Ful koi khila nahi
Banzer ho gayee hriday bhoomi
Spandan koi bacha nahi
Sukhi sab nadiyen hriday desh ki
Avrodh huye uttpan itne
Bypass karvana pada
Bhagirath ban nayee Ganga bahaane ko

Pyaar k bindu ko
Sindhu banana aasaan nahi
Ye do-chaar dino ka prayaas nahi
Anter ka kalush varsho purana
Usey khod hatana khel nahi
Hil jaayengi neev jeevan ki
Usey main kaise meetaun
Matbhed,man-ka-bhed,mati-bhed
Ye gati-rodh jeevan path k
Kaise main meet banau unko
Jo har-pal mere sang chalte
Man se par koson dur rehte

Mantra tumhara siddh hoga didi
Par mujhse sadha nahi

"Apno ko dil ki baat batao"
Sahi hoga soch tumhara didi
Par jo n samjh sake peer parai
Unhen kaise hriday k ghaav dikhaun
Makkhol udaana jinhe suhaata
Un saathiyon se kaise
Main marham ki aas lagaun

Fal khane k din aaye ab
Kaise main naye beej oogaun ?
Shuru kiya hota jaap kuchh varsho pehle
Tou shayad mantra sadh jaata
Man ko ab kaise vishwaas dilaun
Kaise ab shuruaat karu main ?

Mantra tumhara siddh hoga didi
Par mujhse sadha nahi

Dosh nahi deta kisi ko
Mera apna dil beemaar
Main he karan,main he jimmevaar
Seench n paya apni jeevan bagiya
Kya main maali tha bekaar ? !!!
Huh???



Logged
ANAAMIKA
Guest
«Reply #10 on: October 14, 2009, 07:32:28 PM »
Surendrajee aapka bahut bahut shukriya...Prateekjee ki kavita ko prastut karne k liye.... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Prateekji aapne bhi badi sunder pesh-kash ki hai...
Aapka tark pasand aaya...vishesh kar ye panktiyen....

"pur kalyug mein
satya adig  aur satya atal
satya pragaadh aur satya prabal
jaadu-tone sub nishfal
nahi khilte cactus pur
phool aur fal!!"

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Meri didi ki inhi do lines par Prateek Mardia ne bhi kuchh lines likh bheji thee main unhe yahan fir se paste kar raha hu....

"kuch naya nahi soojh raha aajkal-ek puraani kavita ki peshkush kar raha hu.meri ek bua ne ek atyant prernadaayak kavita likhi thee-jisme ek pankti thee--
'sneh aur samta se jeeta jaata mun
hriday marusthal ko bana lo chaman'
 

Inhi do panktiyon ko lekar ek tukbandi likhi thee..pesh he.."


'sneh aur samta se jeeta jaata mun
hriday marusthal ko bana lo chaman'

mantra tumhaara siddh hoga bua
pur mujhko to nahi sadha

yeh kalyug he bholi bua
yahan chamatkar he yada-kada
yahan satya balishth
yahan satya sada
kehne to woh thaa ''satyug''
jaadugariyon ki nagri thee
snehil sparsh raam ka paakar
 ahalya jub patthar se ubari thee
ya fir jaise meera vish se anjaan
grehan kya to amritpaan
pur kalyug mein
satya adig  aur satya atal
satya pragaadh aur satya prabal
jaadu-tone sub nishful
nahi khilte cactus pur
phool aur ful!!

bua meri tum ho bholi
ya karti ho hansi thitholi
bholi kehna meri naadani
bua meri badi sayaani
tum laayi gulaab khila kilaaya
aur main paudha jaanch na paaya
tum shaayad isliye itarti
aur sub pur kasti ho fabti!

bua-uphas nahi koi acchi baat
jo pehle se he aaahat
unke bhee samjho jazbaat..

kaanta jub yeh mun mein tanta he
dukh aisa-jo naa baaten thumta he
paudha apna-na jud se kaate banta he
kyon smaran karaati hume galat paath
hum rakhte samta -takte-'baat'

sneh diya humne apaar
samta bhee rakhi beshumaar
bagiya mein fir bhee nahi bahar
mut vichlit ho dukh se unke
jo kehte maali khud ko bekaar
seench na paaya main bhee bagiya
main maali bhee tha honhaar!!


Prateek Mardia

Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:54:27 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 20 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer