kya rakha hai

by sanya310 on March 09, 2005, 06:45:19 PM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 3621 times)
sanya310
Guest
«Reply #15 on: March 10, 2005, 11:09:25 AM »
v. nice Humtum!

Pyar karti hoon tumse izhar nahi kar sakti
Har pal teri yaad aaye ye inkar nahi kar sakti
pyar  to hota hai ek bar fir na hoga kabhi
par tere izhar ka ab mein ab aur intezar nahi kar sakti
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
kaun kheata hai tujhko bhula rakha hai, by muneeb in Shayri for Khumar -e- Ishq
Hum Nay Kaajal Se Jo Aankhon Ko Saaja Rakha Hai ............ by waheed_rose2004 in Shayri for Khumar -e- Ishq
bahon me aayo ishron mein kya rakha hai by zafarzeeshan in Shayri for Khumar -e- Ishq
~~~Rakha hai~~~ by Ravinder in Shayri-E-Dard
Dunia se pyar chupa rakha hai by Pooja in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
HumTum
Guest
«Reply #16 on: March 10, 2005, 11:40:27 AM »
Quote from: "dhadkan"
Humtum wat is the meaning of
1.Rahiy-e-mulk-e-adam
2. janib


oh sory dhadkan i expain now

rahiy-e-mulk-e-adam =  jism se aatama ka mukt hona
janib = taraf
Logged
HumTum
Guest
«Reply #17 on: March 10, 2005, 11:42:35 AM »
Quote from: "sanya310"
v. nice Humtum!

Pyar karti hoon tumse izhar nahi kar sakti
Har pal teri yaad aaye ye inkar nahi kar sakti
pyar  to hota hai ek bar fir na hoga kabhi
par tere izhar ka ab mein ab aur intezar nahi kar sakti


good one sanu....

Dil ki baat dil mae na rah Sakey gi
Kuch log cheheray bhi parh letay hain

Hum nae un sae kabhi kuch na kaha
Humari ankhoo sae woh sab samhje lety hain

Eik baar phir khyaal aya ke un ki rah dehkey
Un ki ruswai ke dar se qadam rukney lagtey hain

HumTum
Logged
HumTum
Guest
«Reply #18 on: March 10, 2005, 11:50:49 AM »
Quote from: "Meena"
wahhhhhhhhhh sanyaaaaaaa!!!!! bóhot hi acha likha tumne!

 :D

diye te kabhi humne ek doosre ko jo wade,
usse tere jane ke baad hum nibayenge,
tumne to basa lyie dil me kisi aur ko aab,
par hum is dil se tera nam kabhi nahin mithayenge!


tum naam ki baat kerti ho
log chehrey bool jaya kertey hain
samunder to bahut duur ki bat"Meena ji"
log to ankhoN mein doob jaya kertey hain....

HumTum
Logged
sanya310
Guest
«Reply #19 on: March 10, 2005, 12:12:10 PM »
bohot hi ache humtum ji!!

Yaad karoon tuje har pal har jagah main pagli
udaas hoon par dikhati hoon muskuraahat ye nakli
pahadon se pighalti hui barf behti jaise dhoonde ek sahil
kuch aisi halat hai meri main dhoondhoo is dil ka kaatil
Logged
HumTum
Guest
«Reply #20 on: March 10, 2005, 12:16:14 PM »
Quote from: "sanya310"
bohot hi ache humtum ji!!

Yaad karoon tuje har pal har jagah main pagli
udaas hoon par dikhati hoon muskuraahat ye nakli
pahadon se pighalti hui barf behti jaise dhoonde ek sahil
kuch aisi halat hai meri main dhoondhoo is dil ka kaatil


very good ....

aik ghazal likh raha hun najanay kahan tak pohanche
aye kaash! dard-e-dil ke darmaaN tak pohanche

soch raha hun kabhi to us ko khabar ho
kabhi to haal-e-dil us meharbaaN tak pohanche..

HumTum
Logged
sanya310
Guest
«Reply #21 on: March 10, 2005, 12:26:36 PM »
wow v.nice!!

Ae khuda salamat rakhna mere is pyar ko
badi shiddat se chahti hoon mere yaar ko
bhool na payega ye zamana, aise toot ke chahoon use
Kabhi sawaar na hone dena beech koi deewar ko
Logged
HumTum
Guest
«Reply #22 on: March 10, 2005, 01:35:04 PM »
Quote from: "sanya310"
wow v.nice!!

Ae khuda salamat rakhna mere is pyar ko
badi shiddat se chahti hoon mere yaar ko
bhool na payega ye zamana, aise toot ke chahoon use
Kabhi sawaar na hone dena beech koi deewar ko


Ankhein, qissay, Hum aur tum,
batain tanay Hum aur tum.

Yadain tairy piaree yadain,
rahain manzil Hum aur tum.

Sari mehfil aiak traf,
apni ankhin Hum aur tum....


HumTum
Logged
sanya310
Guest
«Reply #23 on: March 10, 2005, 04:08:57 PM »
hmm goood!! humtum...

pyar humko bhi hai pyar tumko bhi hai
phir kyon ye silsile hote hain
na galti hamari hai na galti tumhari hai
phir kyon itne gile hote hain (lol derived from chalte chalte)
Logged
HumTum
Guest
«Reply #24 on: March 10, 2005, 04:13:59 PM »
Quote from: "sanya310"
hmm goood!! humtum...

pyar humko bhi hai pyar tumko bhi hai
phir kyon ye silsile hote hain
na galti hamari hai na galti tumhari hai
phir kyon itne gile hote hain (lol derived from chalte chalte)


hmm Thank u Sanu.....:D

hazaron dukh paray sehna mohabbat mar nahin sakti
hai tum say bus yeh hi kehna mohabbat mar nahin sakti

tera har baar meray khat ko parhna aur ro dena
mera har baar yehi likhna mohabbat mar nahi sakti

ager hum hasraton ki qabr mai hi dafn ho jaain
to yeh kitabon pe likh dena mohabbat mar nahin sakti...

HumTum
Logged
Meena
Guest
«Reply #25 on: March 10, 2005, 04:30:20 PM »
dhadkan, sanya and hum tum ji....bohot ache!!!

 :D
Logged
sanya310
Guest
«Reply #26 on: March 10, 2005, 05:41:01 PM »
thnx meena Usual Smile
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #27 on: March 10, 2005, 11:04:19 PM »
MUHAABBAT MAR NAHINSKTI YEH HRFE AKHIR HAI
AUR LIKH NAHIN SKTA YEHI  HRFE AKHIR HAI
Logged
dhadkan
Guest
«Reply #28 on: March 11, 2005, 05:12:00 AM »
Ek se badhakr ek hai sabhi yahan.
Logged
sanya310
Guest
«Reply #29 on: March 11, 2005, 09:39:26 AM »
including u dhadkan! Usual Smile
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:08:01 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer