Kya samajh baithe

by thycreator on April 01, 2008, 05:37:13 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 4046 times)
thycreator
Guest
Hello everyone,

Thanks for your response to my last post....n helping me in my revival...apke encouragement se likhne ka motivation milta hai....

Meri ek aur poem, ummeed hai apko pasand aayegi


Unn masoom nigahon ko hum na jaane kya samajh baithe,
Teri dilkash adaon ko hum wafa samajh baithe..

Badi hasrat se sajaya tha dil ka aashiyan humne,
Tujhe nafrat bhari dunai mein hum dua samajh baithe..

Bahut tha naaz humko apni iss paak muhabbat par,
Sabhi gumon se hum apne aap ko juda samajh baithe..

Na gumaan tha hame ye bas dillgai hai teri khatir,
Tujhko toh hum muhabbat ka ek khuda samajh baithe..

Liye baithe hain ab aansoo aur jahan ka dard seene mein,
Apni iss nadan si ghaflat ko pyar ka diya samajh baithe..

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Khud ko hi bhula baithe by paro_ka_deva_devdas in Shayri-E-Dard
baithe baithe by Princess21 in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 ... 9 10 »
Rog laga Baithe by muskaan.hir in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Kabhi Mandir Par Jaa Baithe, Kabhi Masjid Par Jaa baithe by khwahish in Miscellaneous Shayri
kal shaam yoon hi chhat par baithe baithe by MinakshiGil in Share Poetry You Like
Pooja
Guest
«Reply #1 on: April 01, 2008, 05:44:12 PM »
wah kaya baat hai Amit, ek ek line bahoot achi hai.. magar yah line dil ko chu gai..

Badi hasrat se sajaya tha dil ka aashiyan humne,
Tujhe nafrat bhari dunai mein hum dua samajh baithe..
Logged
thycreator
Guest
«Reply #2 on: April 01, 2008, 05:51:00 PM »
Thanks a lot Pooja ji...........Usual Smile
Logged
syednaami
Guest
«Reply #3 on: April 01, 2008, 05:51:59 PM »
jo samjha humne aisa hua na tha
dard mila aisa dil aazarda tha
harsu ishq naapaid sa tha
kaatna ik ik lamha dushwaar sa tha
firaaq ka samaan haijaan sa tha
amn-o-sukoon dasht main khoya tha
visaal ki chaah main tarq kia sab kuchh tha
woh paikar-e-husn ayaan phir bhi na tha


(S Naami)
Logged
thycreator
Guest
«Reply #4 on: April 02, 2008, 06:38:26 AM »
jo samjha humne aisa hua na tha
dard mila aisa dil aazarda tha
harsu ishq naapaid sa tha
kaatna ik ik lamha dushwaar sa tha
firaaq ka samaan haijaan sa tha
amn-o-sukoon dasht main khoya tha
visaal ki chaah main tarq kia sab kuchh tha
woh paikar-e-husn ayaan phir bhi na tha


(S Naami)

Wooofffff..........urdu ki dictionary lekar baithna padega....apse ek request hai ki jahan urdo ke mushkil shabdon ka istemaal karein, wahan bracket mein uske meaning bhi likh de.....taki hum jaise gareeb shabdon wale bhi samajh saken...its just a request...Usual Smile
Logged
zakhmola
Guest
«Reply #5 on: April 02, 2008, 06:59:42 AM »
Jisney samjhaya
Wohh khud na samajh paaya
sachmein, bahut asaan hai
sabko samjhana...
Logged
aarzoomehek
Guest
«Reply #6 on: April 02, 2008, 09:16:36 AM »
hota hai kabhi kabhi aise hi..jispar dil-o-jaan se bharosa kar baithte hai wohi dil ko dukha jaate hai..pehli baar aapka kalaam parha...bohot acha laga..keep penning down ur thoughts..Usual Smile
Logged
syednaami
Guest
«Reply #7 on: April 02, 2008, 12:53:54 PM »
jo samjha humne aisa hua na tha
dard mila aisa dil aazarda (Very sad, agonized)tha
harsu (All around, har taraf) ishq naapaid(disappeared, obsolete) sa tha
kaatna ik ik lamha dushwaar(difficult) sa tha
firaaq(judai, bhichhadna) ka samaan haijaan(Joshila, excited) sa tha
amn-o-sukoon dasht(wild, desert, war like ground) main khoya tha
visaal(milan, meeting) ki chaah main tarq(shun, leaving, chhod dena) kia sab kuchh tha
woh paikar-e-husn(example of beauty) ayaan(visible, zaahir) phir bhi na tha


(S Naami)

Wooofffff..........urdu ki dictionary lekar baithna padega....apse ek request hai ki jahan urdo ke mushkil shabdon ka istemaal karein, wahan bracket mein uske meaning bhi likh de.....taki hum jaise gareeb shabdon wale bhi samajh saken...its just a request...Usual Smile

Sorry, mujhe lagaa normal words hain samajhe ja sakte hai.
main ma'ani likh deta hun waise.
Aage se khayal karunga, waise, dictionary ko dekhna padta hai to achha hota hai.
Shukriya
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: April 02, 2008, 03:13:13 PM »
jo samjha humne aisa hua na tha
dard mila aisa dil aazarda tha
harsu ishq naapaid sa tha
kaatna ik ik lamha dushwaar sa tha
firaaq ka samaan haijaan sa tha
amn-o-sukoon dasht main khoya tha
visaal ki chaah main tarq kia sab kuchh tha
woh paikar-e-husn ayaan phir bhi na tha


(S Naami)

Wooofffff..........urdu ki dictionary lekar baithna padega....apse ek request hai ki jahan urdo ke mushkil shabdon ka istemaal karein, wahan bracket mein uske meaning bhi likh de.....taki hum jaise gareeb shabdon wale bhi samajh saken...its just a request...Usual Smile

bilkul sahi kaha AMIT...

Logged
thycreator
Guest
«Reply #9 on: April 02, 2008, 04:35:33 PM »
hota hai kabhi kabhi aise hi..jispar dil-o-jaan se bharosa kar baithte hai wohi dil ko dukha jaate hai..pehli baar aapka kalaam parha...bohot acha laga..keep penning down ur thoughts..Usual Smile

Thanks a lot Aarzoo-mehek ji......kya naam hai....Aapne kuch likha nahi??
Logged
thycreator
Guest
«Reply #10 on: April 02, 2008, 04:39:04 PM »
jo samjha humne aisa hua na tha
dard mila aisa dil aazarda (Very sad, agonized)tha
harsu (All around, har taraf) ishq naapaid(disappeared, obsolete) sa tha
kaatna ik ik lamha dushwaar(difficult) sa tha
firaaq(judai, bhichhadna) ka samaan haijaan(Joshila, excited) sa tha
amn-o-sukoon dasht(wild, desert, war like ground) main khoya tha
visaal(milan, meeting) ki chaah main tarq(shun, leaving, chhod dena) kia sab kuchh tha
woh paikar-e-husn(example of beauty) ayaan(visible, zaahir) phir bhi na tha


(S Naami)

Wooofffff..........urdu ki dictionary lekar baithna padega....apse ek request hai ki jahan urdo ke mushkil shabdon ka istemaal karein, wahan bracket mein uske meaning bhi likh de.....taki hum jaise gareeb shabdon wale bhi samajh saken...its just a request...Usual Smile

Sorry, mujhe lagaa normal words hain samajhe ja sakte hai.
main ma'ani likh deta hun waise.
Aage se khayal karunga, waise, dictionary ko dekhna padta hai to achha hota hai.
Shukriya

Koi bat nahi, mujhe khushi iss bat ki hai ki apne meri bat ko sahi spirit mein liya, yahan aane wale sabhi log urdu shabdon ke dhani nahi hain, issliye unki suvidha ke liye shayad yahi behtar hoga......

Abhi meaning likhne ke bad samajh mein aaya ki aap kya keh rahe hain....Usual Smile

Logged
syednaami
Guest
«Reply #11 on: April 02, 2008, 05:09:47 PM »
Bilkul Baja farmaya Amit sahib.
Waise maine Urdu ke liye ek thread shuroo kia hai, agar aap uss main hissa lainge to khushi hogi.
Urdu Talaffuz Aasan Ke naam se.
Buhat Meherbaani
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #12 on: April 04, 2008, 05:51:54 AM »
syednaami sahab Shukriyaa^h aapne lafoN ko samjhaane ka bheeRha uthhaya hai....agarche kabhi kabhi toh bahoot hi Koft hoti hai..jab kisi Achhe Ashar ka talaffuz na samajh maiN aaye toh...Hum dil se aapke mamnoon haiN....our aapne urdu ke liye jo naya silsila Shuru kiya hai hum uske liye dil se aapke mashkoor haiN...our umeed hai hamare ilm maiN us se kaafi izafa hoga.....Shukriyaa^h.............Harash
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #13 on: April 04, 2008, 06:02:09 AM »
Quote
Unn masoom nigahon ko hum na jaane kya samajh baithe,
Teri dilkash adaon ko hum wafa samajh baithe..

Badi hasrat se sajaya tha dil ka aashiyan humne,
Tujhe nafrat bhari dunai mein hum dua samajh baithe..

Bahut tha naaz humko apni iss paak muhabbat par,
Sabhi gumon se hum apne aap ko juda samajh baithe..

Na gumaan tha hame ye bas dillgai hai teri khatir,
Tujhko toh hum muhabbat ka ek khuda samajh baithe..

Liye baithe hain ab aansoo aur jahan ka dard seene mein,
Apni iss nadan si ghaflat ko pyar ka diya samajh baithe..


Amit ji...chalo aaj hume aapka naam bhi maloom hua... happy3..Achha laga....aapki rachna hamne padi achhi lagi....jahaaN tak sammajhne ki baat hai amit ji..insaan bahoot jagah daga kha jata hai dost....ZindagiyaaN barbaad hote dekhi haiN...bada hi na-muraad Lafz hai samajh baithhna....bahoot hi khoob likha hai dost..

Ummid-e-wafa maiN deta raha ImtihaaN koi
Sizde woh kerte rahe loot.ta raha jahaN koi

KarmoN ke haiN khel mere humdum mere sahil
Khuda kahiN deta raha Gut.ta raha jahaN koi

Harash
Logged
syednaami
Guest
«Reply #14 on: April 04, 2008, 12:49:36 PM »
syednaami sahab Shukriyaa^h aapne lafoN ko samjhaane ka bheeRha uthhaya hai....agarche kabhi kabhi toh bahoot hi Koft hoti hai..jab kisi Achhe Ashar ka talaffuz na samajh maiN aaye toh...Hum dil se aapke mamnoon haiN....our aapne urdu ke liye jo naya silsila Shuru kiya hai hum uske liye dil se aapke mashkoor haiN...our umeed hai hamare ilm maiN us se kaafi izafa hoga.....Shukriyaa^h.............Harash

Aap ka tah-e-dil se mashkoor hun, jo iss khaaksaar ki adna koshish ko saraaha gaya. Yeh sab kuchh aap karamfarmaon ke baahimi ta'aawun ke baghair mumkin na ho paayega, arz bas yeh hai ki aap buzrig log bhi hum thoda sa apne wasee ilm se mustafeed karenge.

Faqat Syed Naami
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:21:29 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer