kyon ye khayaal nahi aaya

by NewYorker on September 21, 2006, 08:58:20 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2087 times)
NewYorker
Guest
tere jaane ke baad, kyon ye khayaal nahi aaya
kaise bitegaa safar, kyon kabhi ye sawaal nahi aaya?

dil tha tera pathar ka, ya tha hi nahi seene main
nafrut bhi dene, Kyon tu reham-e-kangaal nahi aaya?

tode saare waade, naa hi rakhi koi kasam
tere anjaanepan ka, kyon kabhi malaal nahi aaya?

yaad kartaa hoon jub bhi, judai ka woh lamha
aansoo ankhon main, kyon kabhi behaal nahi aaya?

tere jaane ke baad, kyon ye khayaal nahi aaya
kaise bitegaa safar, kyon kabhi ye sawaal nahi aaya?
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
>>>>> Mujhe Yeh Khayaal Aaya<<<< by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard
TERA KHAYAAL AAYA by saahill in Miscellaneous Shayri
kuchh khayaal nahi by vimmi singh in Shairi for Manzar -e- Kudrat « 1 2  All »
Kyon us bemurawwat par itna pyaar aaya! by shara63 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
yeh khayaal aaya ----- saahil by saahill in Shayri for Khumar -e- Ishq
anjani_si
Guest
«Reply #1 on: September 21, 2006, 09:12:51 PM »
Quote from: "NewYorker"
tere jaane ke baad, kyon ye khayaal nahi aaya
kaise bitegaa safar, kyon kabhi ye sawaal nahi aaya?

dil tha tera pathar ka, ya tha hi nahi seene main
nafrut bhi dene, Kyon tu reham-e-kangaal nahi aaya?

tode saare waade, naa hi rakhi koi kasam
tere anjaanepan ka, kyon kabhi malaal nahi aaya?

yaad kartaa hoon jub bhi, judai ka woh lamha
aansoo ankhon main, kyon kabhi behaal nahi aaya?

tere jaane ke baad, kyon ye khayaal nahi aaya
kaise bitegaa safar, kyon kabhi ye sawaal nahi aaya?


NYji!! :D:D:D:D kya baat hai aisa likhne ka kabhi kyun idea nahi aya :D:D:D

tooooo gooodd!! :D:D:D:D:D:D

yeh sawal poochne ke liye kabhi kyun tumhar maan mein khayal pehle nahi aya
mujhse juda hone se pehle kyun tumne mujhse meri mohabbat ki intehaye poochne ka khayal nahi aya

sanam aaj itne sarhe sawal itne arse ke baadh kyun
thi itna he ghum tu usse waqt rokhne ke liye mujhse yeh sawal karne ka khayal nahi aya :D:D:D:D:D:D
Logged
Tosha
Guest
«Reply #2 on: September 21, 2006, 09:18:11 PM »
janab ... kisne daga de diya ... good one!!

Tu narzo ke saamne katl karti rahi hamara
is dil ko tera roop  nazar nahi aaya

teri ishq main deewane the iskadar
teri tere diye zakhmo ka kheyal nehi aaya

kitni masumi se mita diya is mohabbat ko
teri bewafai ka aasar kabhi nazar nahi aaya

tere diye zakhmo ko sahelate hai hum
per teri judai ka khayel nahi aaya
Logged
NewYorker
Guest
«Reply #3 on: September 21, 2006, 09:44:43 PM »
Thanx.. Tosha-Jee & anjani_si-Jee

Kissi ne nahi diya dokha ... :lol:  
Kuch khayaal barso se "Microsoft Word" main chupaa rakhe the .. Winking
Socha doston se share kar lete hain ... Usual Smile


Ishq main hazaroon hain toote, dil-e-nadaan
bewafai ka ek aur raz kya karte jaan ke ...
Logged
Tosha
Guest
«Reply #4 on: September 21, 2006, 10:01:01 PM »
Quote from: "anjani_si"
Quote from: "NewYorker"
tere jaane ke baad, kyon ye khayaal nahi aaya
kaise bitegaa safar, kyon kabhi ye sawaal nahi aaya?

dil tha tera pathar ka, ya tha hi nahi seene main
nafrut bhi dene, Kyon tu reham-e-kangaal nahi aaya?

tode saare waade, naa hi rakhi koi kasam
tere anjaanepan ka, kyon kabhi malaal nahi aaya?

yaad kartaa hoon jub bhi, judai ka woh lamha
aansoo ankhon main, kyon kabhi behaal nahi aaya?

tere jaane ke baad, kyon ye khayaal nahi aaya
kaise bitegaa safar, kyon kabhi ye sawaal nahi aaya?


NYji!! :D:D:D:D kya baat hai aisa likhne ka kabhi kyun idea nahi aya :D:D:D

tooooo gooodd!! :D:D:D:D:D:D

yeh sawal poochne ke liye kabhi kyun tumhar maan mein khayal pehle nahi aya
mujhse juda hone se pehle kyun tumne mujhse meri mohabbat ki intehaye poochne ka khayal nahi aya

sanam aaj itne sarhe sawal itne arse ke baadh kyun
thi itna he ghum tu usse waqt rokhne ke liye mujhse yeh sawal karne ka khayal nahi aya :D:D:D:D:D:D


kya baat hai chutki :D:D

umer ka takaza hai dost
judai ka daard kam umer main nahi hota
jakham panapte hai seene main
per aasar samajhne ke baat hi hai hota
Logged
Tosha
Guest
«Reply #5 on: September 21, 2006, 10:08:00 PM »
Quote from: "NewYorker"
Thanx.. Tosha-Jee & anjani_si-Jee

Kissi ne nahi diya dokha ... :lol:  
Kuch khayaal barso se "Microsoft Word" main chupaa rakhe the .. Winking
Socha doston se share kar lete hain ... Usual Smile


Ishq main hazaroon hain toote, dil-e-nadaan
bewafai ka ek aur raz kya karte jaan ke ...


Hmmm ... Yeh MS Word ke pool badi der se kholi ...
tabhi aap ke samajh main kuch nahi aata  :wink:


her saakh chatne pe tanna aur mazboot hota hai
tute jo dil kise ka, vajood aur vishwas duna hota hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: September 25, 2006, 10:06:29 AM »
tere jaane ke baad, kayun ek sakoon ka khayal ayya
palbhar ko hi sahi, apne zinda hone ka khayal ayya

chalati rahi barso, jis tarah tere piche piche
tere jaane ke baad, dishaheen hone ka khayal ayya

her manjil, her rasta, tay mujko hi ab karna hai
apne honsallo per ab yakin karne ka khayal ayya

sath sath rah kar bhi jo tanhaa bitaai zindagi
ajj tanha raaton mai, kayun unka khayal ayya

tere jaane ke baad, her wo lamha yaad ayya
sath sath bitaya jo waqat, ansoo ban kar bah ayya
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #7 on: September 29, 2006, 07:07:13 AM »
kitna intezar hai mujhe tera
kaise tujhe main yakeen dilaun

kyun pal pal tarsu main tere liye
tujhe paane ko main kuch bhi kar jau

kho jaate ho aapni duniye mein tum
par tujhe judaa ho kar main kahan jau

yeh na kehna majboor hu farZon se
iss liye tujhe main har pal jalau
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #8 on: September 29, 2006, 06:28:40 PM »
very nice startin ny ji... baki dosto ne bhi khoob likha hai!

khayal agar hota hume hal-e-judai ka,
na zikar kabhi ata ishq ki shehenayi ka!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: October 01, 2006, 05:32:51 AM »
yakin bhi hai, aitbaar bhi hai
han mujko tujse payaar bhi hai

pal pal tinka tinka sajaya hai
bade armaano se dil lagaya hai

juda tujse bhi judai nahi hai
tere khayalo se ab koi rihai nahi hai
Logged
NewYorker
Guest
«Reply #10 on: October 02, 2006, 08:44:47 PM »
yahan to sabhi bade bhari shayar hai .... nice pooja ji, meena ji & burniing_desiires ... bahoot hi accha likha hai aap sabhi ne ...  

kya woh yaad karta hoga, woh pal
saath jo humne kabhi bitaya tha

milna bichadna, roothna mananaa
bina baat ke bhi, khoob usse hasaaya tha

milan main aur tanhai main
seene se usse, hamesha hi lagayaa tha

jub kiya tha dil ka izhaar usse
kitna woh zalim, muskuraya tha

kya woh yaad karta hoga, woh pal
saath jo humne kabhi bitaya tha
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: October 02, 2006, 11:10:24 PM »
wah NY ji kaya baat hai, Kamal ka likha hai apne....

Good job...
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #12 on: October 03, 2006, 12:13:35 AM »
Quote from: "NewYorker"
yahan to sabhi bade bhari shayar hai .... nice pooja ji, meena ji & burniing_desiires ... bahoot hi accha likha hai aap sabhi ne ...  

kya woh yaad karta hoga, woh pal
saath jo humne kabhi bitaya tha

milna bichadna, roothna mananaa
bina baat ke bhi, khoob usse hasaaya tha

milan main aur tanhai main
seene se usse, hamesha hi lagayaa tha

jub kiya tha dil ka izhaar usse
kitna woh zalim, muskuraya tha

kya woh yaad karta hoga, woh pal
saath jo humne kabhi bitaya tha


kabhi morh ke dekha usne, woh pal
jo humne haste hasate bithaye the

jab laya karte the dil ki baat zubaan par
tu sun ke hass diya karte the

apni tadap ki inteha baataye
tu mu morh diya karte the

nighayein taras jaithi thi meri
lekin zalim he bohat,,nazar choraya karte the

yaad kar ke woh haseen pal
humhe rolaya karte the

kabhi hum unke seene se lagha karte the
abbh tu sirf yaadoin ke sangh apni zindagi ke kuch dinh khaata karte the!!!!!!! :D:D:D:D:D:D
Logged
NewYorker
Guest
«Reply #13 on: January 03, 2007, 11:29:18 PM »
apno se bhi ruswai chahata hai
kyon ye dil abb tanhai chahata hai ...

kaise raste aur kaisi manzile
awaara-e-zindagi ki farmaish chahata hai ...

na hai koi dua aur na hai koi tamaanaa
dard-e-dil ki khawaish chahata hai ...

gur ho na saka jo koi hamaraa
kyon har khushi se zudai chahata hai ...

apno se bhi abb ruswai chahata hai
kyon ye dil abb tanhai chahata hai ...
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #14 on: January 04, 2007, 11:31:33 AM »
wah ny ji... purani post upar lakar apne ek beeta hua lamha yaad dila diya... aor bohaat hi behtreen likha aapne


Apnon se beganagi ke silsle chalte rahe
kabhi woh aor kabhi hum aah bharte rahe

kaise raastoN,kaise manzilon ki umeed rakhein
hum toh benam musafir ki tarah bas chalte rahe

Akhir kabhi toh rokega woh mujhe awaz laga kar
shayad ussi lamhe ke intezar mein hum jeete rahe
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 02:59:06 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer