ranjana
Guest
|
mere saamne woh dariya ki tarah machalta raha bujh na saki fir bhi meri payaas kyu mera dil paysaa sa raha
uska bagbaan sada phoolo sa mehekta raha mere pass hi kyu patjhar ka ek masum thara raha
musafir thaa woh bhi musafir thee main bhi usko manzil mil gayi apni mera naseeb hi kyu apni manzile dhoondta raha
maine bahut dur tak talasha apna humsafar koi usne paa liya sakoon kisi gair ki bahaon mein mere saath bas mera humsafar mera saaya hi kyu raha
sab likhte rahe apne apne andaaz se apne geet aur ghazal log kehte hain ki mera andaaz sabse niralaa sa raha
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
vikas2210
Guest
|
|
«Reply #1 on: August 23, 2006, 07:41:23 AM » |
|
mere saamne woh dariya ki tarah machalta raha bujh na saki fir bhi meri payaas kyu mera dil paysaa sa raha
uska bagbaan sada phoolo sa mehekta raha mere pass hi kyu patjhar ka ek masum thara raha
musafir thaa woh bhi musafir thee main bhi usko manzil mil gayi apni mera naseeb hi kyu apni manzile dhoondta raha
maine bahut dur tak talasha apna humsafar koi usne paa liya sakoon kisi gair ki bahaon mein mere saath bas mera humsafar mera saaya hi kyu raha
sab likhte rahe apne apne andaaz se apne geet aur ghazal log kehte hain ki mera andaaz sabse niralaa sa raha wowwwwwww kaya baat hai lagta hai aap ne dard aur judai ka mail karwa diya hai........ bahut khoob
|
|
|
Logged
|
|
|
|
vikas2210
Guest
|
|
«Reply #2 on: August 23, 2006, 07:44:39 AM » |
|
woh aate jaate rahe hum tanha hi rahe woh jab bhi muskaye kuch aansu humne bhi jhalkaye
mere paas they kuch armaan kuch sapne humne bhi sajaye kuch saath mere gaye kuch meri arthi pe logo ne sajaye
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #3 on: August 23, 2006, 07:50:01 AM » |
|
shukriya Vikas .....bahut khoob likha ....
apne tanha safar per jab hum nikale saath apna kafan le ke khud nikale
jo muskarate rahe sada mehfilo mein woh log banawati phoolo ke gulisthaan nikale
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
Rau: 14
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.
Posts: 19903 Member Since: Feb 2006
|
|
«Reply #4 on: August 23, 2006, 09:02:45 AM » |
|
Bahoot Khoob Ranjana Sis And Vikas Bhai.,.. Lage Raho,.. Keep Going
|
|
|
Logged
|
|
|
|
badnaam_shayar
Guest
|
|
«Reply #5 on: August 23, 2006, 09:27:55 AM » |
|
Superb Ranju......ek Ladki ki Dil ki baat keh dee tumne.....WOW
Mahobbat mujhe aaj apni Nakaami see lagti hai...... Karti hai woh aksar baatein kisi aur ki meri harr Baat use Purani see lagti hai........
Doob chuka hoon main ab apne hee Gum ke Nashe me choor....... Kyu ab yeh Zindagani mujhe bekaar see lagti hai......
Na hai Sawera Roshan aur Na hee Raat Raat se lagti hai...... Kya Doon Jawab main apne Dil-e-Nadaan ko...... Usko harr jawab me Dillagi see lagti hai......
De de aye Khuda ab Maut mujhe...... IS Dunia ko Shayad meri harr aadat Nafarmaani see lagti hai.........!!!!!!!!!!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #6 on: August 23, 2006, 09:39:19 AM » |
|
shukriya Azeem .....Gaurav...bahut khoob likha hai tumne ...
apne saaye bhi aksar shaam hote hi bichar jaate hain koi nibhaaye yahan ta umar ab saath kaise
yun hi tanah beet jaayega yeh safar mera ab har waqt mere dard mein koi aansu bahaaye kaise
apnie hi jab na samajh sake mera dard yahan toh garo ko yahan apana zakham dikhaaye kaise
apne hi dard ke bojh se yahan dub rahi hai zindagi ab hum tujhko sahil per laaye kaise
|
|
|
Logged
|
|
|
|
badnaam_shayar
Guest
|
|
«Reply #7 on: August 23, 2006, 09:44:53 AM » |
|
Aaj phir Gairon aur Apno me tumne hai farak banaya....... Shayad Fakeer hai hum Mahobbat ke yahi tumne Lafzon ko yoon sajaya......
Ab yeh Sab humse aur piya nahi jata...... Gawara hai maut bhi ab bas ab aur Jiya nahi jata......
Raah chuni thi jo Manzil ki aur..... Bas ab uspar akele Safar taye kia nah jata.........!!!!!!!!!!!!!!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #8 on: August 23, 2006, 11:35:56 AM » |
|
kuch na milega yahan tujhe bikhare hue khawabo ke siva reit per ab yun koi sapno ke mehal na saja
aa rahi hai jo yeh mehekti si hawa us per koi apna gulisthaan na bana
sirf zinda rehna hi naam nahi hai zindagi ka dost isko yun kisi ke sahare ka mohtaaj na bana
nahi bujh paayegi teri yeh payaas mere ashqo se tu ab is ko kisi sehera ki payaas na bana
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #9 on: August 24, 2006, 05:56:46 AM » |
|
in bujhi si aankho mein tuta hai fir se kahwab koi yeh mere saath ek bhatkata sa saaya hai koi
dil ko fir se jaga diya hai yeh dard de ke kisne kyu fir se yaad aa raha hai mujhe bhula hua koi
raat gujari hai bas yun hi aankho anakho mein kya taqdeer ne buna hai mere liye sapana fir se koi
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #10 on: August 31, 2006, 06:51:23 AM » |
|
kuch bhule hue afsaane yun yaad aate hain jaise koi puranne likhe hue lafaz kisi kagaz per mil jaate hain ek ek kar ke sab bichar gaye rahi mere rahagujar ke ab hum kiske liye yun hi jeeye jaate hain !!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|