kyu wo hamein mohobbat ki raho par le jaane aaya hai

by kaushikbhawna008 on June 16, 2008, 09:29:10 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 994 times)
kaushikbhawna008
Guest
waqt ne kyu hampar fir ye sitam dhaya hai
aaj koi fir hamse pyaar jatane aaya hai

kehta hai ki pura karega mere har wo khwaab ko
kya wo fir ek naya khawaab dikhane aaya hai

koi kehde unse jara dil mei ab nahi bas sakta hai wo
mera dil ban chuka hai pat.thar kyu wo fir ise todne aaya hai

aankhon mei ab ashk b koi raha nahi hai baaki
kyu wo mere gamo ka hisaab lene aaya hai

ajnabi hai wo rahe wo ajnabi to acha hai
kyu wo apnepan ka haq jatane aaya hai

khali pade is bejaan se but mei
kyu wo zindgi ka chiraag jalaane aaya hai

jab har umeed khatam ho chuki hai meri
haalaton se apne kar lia hai samjhota
aaj fir kyu wo hamei
mohobbat ki raahon par le jaane aaya hai

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Pyar aaya ishq aaya,Aur aaya intzaar by pankaj_pups in Shayri for Khumar -e- Ishq
Muskuraatay Raho...! by mute_witness in Shayri-E-Dard
Muskuratey Raho by Pooja in Shairi - E - Zindagi
Muskaratay Raho ... !!! by Delicate_Doll in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Khush raho, ham ko dar-b-dar kar do! by abdbundeli in Shayri for Khumar -e- Ishq
k.shael
Guest
«Reply #1 on: June 16, 2008, 11:41:16 AM »
BAHUT KHOOB KAUSHIK,
BAHUT KHOOB Applause Applause
KEEP IT UP....
BY. K.SHAEL

DOST CHOD DE TU ZIDD APNI,
KISMAT WALA HAI TU JO WO TUJHE MANANE
AAYA HAI, EK HAME DEKH HAM AAJ BHI TADAF
RAHE HAI TERA PYAR TO TUJHE WAPIS BULANE
AAYA HAI, NA KHALI HAATH LOUT JANE DE USE
DE DE USE JO WO PANE AAYA HAI,
DOST ZIDD CHOD CHAL TERA PYAR TUJHE WAPIS
BULANE AAYA HAI....
Logged
Sammual
Guest
«Reply #2 on: June 16, 2008, 06:52:47 PM »
Wah Bahut Acha Laikha Hai kaushikbhawna ji... Clapping Smiley
Aapne Bhi Acha Likha Hai K.SHAEL Ji... Clapping Smiley

Galti Ka Ehaas Sab Ko Hota
Hai,Aaj Use Bhi Hua Hoga
Bichad Jane Ka Gham Kya Hota
Hai,Aaj Use Mehsoos Hua Hoga
Zid Chood Apni Chali Ja Uske
Paas,Woh Bhi Tere Bin Kahin
Udaas Baitha Hoga  crybaby2
 
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: June 16, 2008, 07:26:42 PM »
Her ek ne apni soch ke mutabeek bahoot acha likha hai. Bhawna bahoot he achi rachna likhi hai apne!! Good job!

SHALLY AND Sammual JI good reply!!


Jisne torra ek baar dil, wo baar baar torega
jisne chora ek baar sath, wo baar baar chorega
chod jhootha bharam, phir se baaton main na aa jaana
khay ahai jo ek baat dhoka, wo baar baar na kha jaana!!
Logged
akela
Guest
«Reply #4 on: June 16, 2008, 07:35:34 PM »
bahoot acchey kaushik....shael..sammual auur pooja ......bahoot badhiya...  Applause
Logged
Sammual
Guest
«Reply #5 on: June 16, 2008, 07:44:25 PM »
Apne Acha Likha Hai Pooja Ji Parrr...

Ik Baar Ki Hui Galti Insaan
Baar Baar Dohrata, Aggar Use
Chod Kar Hi Jana Hota To Woh
Dobara Kabhi Wapis Nahin Aata
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: June 16, 2008, 07:48:03 PM »
wapis usse pyar nahi jaroorat laai hogi
phir na jaane kitani jhoothi kasamain khai hogi
pyar karne wala kabhi munh morr ja he nahi sakta
is tarah ane -jaane -ane wala, pyar nibha hi nahi sakta!!
Logged
Sammual
Guest
«Reply #7 on: June 16, 2008, 08:21:36 PM »
Pyar Main Kabhi Kabhi Gille Shikwe Ho Jate
Hai, Pyar Karne Wale Bahi Door Ho Jate Hai
Pyar Jarrurat Ke Liye Nahin Kiya Jata,Pyar
Karne Se Do Dil EK Ho Jate Hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: June 16, 2008, 08:27:46 PM »
apne apne vichar, apne apne ahsaas hai
apni apni takdeer, apne apne vishwaas hai
her baar lute uske hatho, her baar dhoka khaya hai
pyar ke naam per se to ab aitbaar uth aya hai
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #9 on: June 17, 2008, 05:37:13 AM »
shukriya pooja ji, sammual ji, akela ji and shally ji jo aapne meri feelings ko samjha aur apne apne vichar likhe

kyu unpar ham aitbaar kar le fir se
kya usne koi farz nibhaya tha
kaise maan le aaj unka sacha hai har vadaa
jab koi vadaa unhone na kabhi nibhaya tha
kar chuke hain ham majboot apne dil ko
ab asar is par kuch hota nahi
kyu chalak aaye hain aaj unki aankhon mei b aansu
jisne hamein khoon k aasu kabhi rulaya tha
Logged
k.shael
Guest
«Reply #10 on: June 17, 2008, 06:01:12 AM »
THANX FRIENDS....

AAJ JO CHALKE HAI USKI AANKH SE
AANSOO, TU KHUD HI SOCH DARD USE
HUA TO HOGA,TUJHE CHODNE KI GALTI
MEIN USNE BAHUT KUCH KHOYA HOGA,
MANTE HAI TERE UPAR JO BEETI WO KAM
NAHI, PAR EK BAAR YE POOCH APNE DIL SE
USPAR AAB JO BEETEGI KYA USSE HOGA TUJHE
BHI GAM NAHI....

BY. K.SHAEL
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #11 on: June 17, 2008, 06:10:45 AM »
shally tumhare jawab mei mein sirf itna hi keh sakti hoon

dard sehte sehte apne dil ko hamne itna majboot banaya hai
mom jaise apne hi dil ko hamne ab pat.thar dil banaya hai
aasu, yaadein aur zajbaat ab ispar parta koi fark nahi
bas aisa lagta hai wo bohut der baad laut kar wapis aaya hai
Logged
k.shael
Guest
«Reply #12 on: June 17, 2008, 06:53:41 AM »
KHUDA NE TUME KHOYA PYAR LOTAYA HAI,
JANE KYUN TUJHE YE LAGTA DHOOP KA
SAYA HAI, AAB PAKAD KUCH AISE HAATH
USS PYAR KA KI JO GALTI USNE KI THI
AAJ WO KHUD US PAR PACHTAYA HAI, AAB
YE TERA FARZ HAI KI USE LOUT KHALI
HAATH NA JANE DE, KI WO TERI HI TO
PARCHAI KA SAYA HAI....

KAUSHIK MUJHE PATA HAI TANHAI KA DARD KYA
HAI MEIN KHUD ISS DOUR SE GUJAR RAHI HO, PAR
MERI MOHABBAT MEIN ITNI SHIDAAT HAI KI AGAR
WO WAPIS MUJHE MIL JAYE TO MEIN USE KHUDA MANOOGI

BY. K.SHAEL
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 26, 2024, 06:36:57 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.129 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer