Kyun Be-Asar Meri Dua Hui

by Alam Qazi on April 18, 2011, 07:15:44 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 2047 times)
Alam Qazi
Guest

Jab chorr hi diya hai Tune mujhe, Kisi aur ki justuju ke liye
Phir mitaa mera har ek Nisha'n, Jo zehan pe Tere hai khinche huwe

Mere chehre pe padi ye silwatei'n, Gawaah hai Gham-E-Hijr ki
Saansei'n tou beshak Rawaa'n magar, Arsaa huwa mujhe mare huwe

Wo Daur bhi kuch aur thaa, Iss Daur ki Tu naa baat kar
Roshan tha kabhi har khyal, Ab har khwaab hai bujhe huwe

Dard ka mera ye Hausla, Mujhe aur bhi sanghdil banaa Gyaa
Jo Ashk kabhi sirf Ashk Thaa, Wo saare khoo'n se Tarr huwe

Kyun Be-Asar meri Dua hui, Kyun Arsh mujhse khafaa Rahaa
Ye Aaj mujhpe Waazeh huwa, Kyun  ALAM  Tum Dar-Badar huwe...


  *** @lam ***

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
*Meri parchai kyun hai* by Rajesh Harish in Miscellaneous Shayri
kyun meri mohabat by smruti in Shayri-E-Dard
jab asar kar jaye dua meri ...........................sunil by sunildehgawani in Miscellaneous Shayri
BE INSAAFI KYUN MERI QAUM SE by lakhwinder singh ashk in Shairy-E-Watan
Asar kyun jaate.....................saru............152 by SURESH SANGWAN in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
dead heart
Guest
«Reply #1 on: April 18, 2011, 07:39:20 PM »
Wah Wah Wah..
Bahaut bahaut khoob Qazi jee..
 Clapping Smiley Clapping Smiley
Khush rahiye..!
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #2 on: April 18, 2011, 09:32:05 PM »
Kazi Sahaab Aadaab!

Kia khoob kalaam pesh ki janab daad daad daad Usual Smile
Behad achche aur rawaaN ahsaas o khayaal bayaaN
kiye hai aapne dil se daad hazir hai... Usual Smile

Pahele teen ashaar aapne behad khoob aur rawaaN
kahe hai... aur aakher ke do ashaar meiN aapne
kafiyaa badal diya ?
Khair par sabhi ashaar behad khoob rahe...
dil se daad hazir hai.. Usual Smile

Likhate rahiye... Aate rahiye...
Khush O aabaad rahiye... Usual Smile
Khuda Hafez... Usual Smile         

Logged
manjum
Guest
«Reply #3 on: April 19, 2011, 03:53:24 AM »
kya baaat hai... bahut khub alamji....

 Applause Applause Applause
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #4 on: April 19, 2011, 05:31:24 AM »

Jab chorr hi diya hai Tune mujhe, Kisi aur ki justuju ke liye
Phir mitaa mera har ek Nisha'n, Jo zehan pe Tere hai khinche huwe

Mere chehre pe padi ye silwatei'n, Gawaah hai Gham-E-Hijr ki
Saansei'n tou beshak Rawaa'n magar, Arsaa huwa mujhe mare huwe

Wo Daur bhi kuch aur thaa, Iss Daur ki Tu naa baat kar
Roshan tha kabhi har khyal, Ab har khwaab hai bujhe huwe

Dard ka mera ye Hausla, Mujhe aur bhi sanghdil banaa Gyaa
Jo Ashk kabhi sirf Ashk Thaa, Wo saare khoo'n se Tarr huwe

Kyun Be-Asar meri Dua hui, Kyun Arsh mujhse khafaa Rahaa
Ye Aaj mujhpe Waazeh huwa, Kyun  ALAM  Tum Dar-Badar huwe...


  *** @lam ***



simat kar kalaam tera jo dil mein utar gaya,
mujhe aaj maaloom hua kyon tu bazm-e-adab ke nazar hua.

aaaaaaaaala kalaam
Logged
Alam Qazi
Guest
«Reply #5 on: April 19, 2011, 04:41:20 PM »

Bahot Bahot shukriya dosto.... Aap logo ne mere dard ki gehrai ko samjha aur pasand farmaya....

once again....to all..... shukriyaa.....


*** @lam ***


Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:42:59 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer