kyun hum-tum nahi milte

by Pooja on February 04, 2008, 06:13:51 PM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 7
Print
Author  (Read 7699 times)
ashezice
Guest
«Reply #15 on: February 06, 2008, 02:52:56 PM »
Bohat Khoob.............
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Manzil Milte Milte Reh Gai by Devdas_online in Shayeri for Dard -e- Bewafai
lekin lafz nahi milte by only aks in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Kharidaar nahi milte by bekarar in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
vo log nahi milte by EK LAMHA HOON MAIN in Share:Love Poetry
Hum Jaise Aashiq Nahi Milte...........Touhid by Mohammad Touhid in Shayri for Khumar -e- Ishq
Pooja
Guest
«Reply #16 on: February 06, 2008, 03:08:18 PM »
shukaria ashezice  ji!!

AAPKA YOINDIA MAI SAWAGAT HAI
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #17 on: February 07, 2008, 07:13:04 AM »
Yakin is dil ko ab khud per nahi
Tujhse to maine kiya koi gilla nahi

Dard hai ki wafa tu na nibha saka
Kaise kahu, ab tujh main wo baat nahi

Sakoon chahti hu khud ke liye tujhse
Najar, magar atti ab wo umeend nahi

Ehsaas ko shabd mil jaaye, ek yakin ke sath
Per teri ankhon mai ab wo aitbaar nahi


Tujhko khud par yakeen rakhna hoga!
Is waqt tujhe khud ko parakhna hoga!

Aayein mushkilein to be-saakhta takra ja un se,
is junoon ke aage to pahadon to bhi sarakna hoga!

Is bheed bhari duniya mein yoon hi kuchh nahi milta,
tujhe khud apne liye ek mutthi aasmaan pakadna hoga!

hote aaye hain khel mohabbat mein kai yahaan,
Is baar yahan par zamane ko jhukna hoga!
 
Logged
diya786
Guest
«Reply #18 on: February 07, 2008, 09:04:40 AM »
very well said pooja, khwaish, roja, baadal
ab kuch meri taraf se bhi

uska andaaz zamaane se juda lagta hai
woh kisi aur ka hokar bhi mera lagta hai

pyar to karta hai zaahir nahin hone deta
woh kisi aur ka maqrooz-e-wafa lagta hai

itna mayoos ho jata hoon main raat ke sannate se
ki besabab dil ka dhadakna bhi bura lagta hai

khoon hota hai tammannao ka dil hi dil mein
dekhne waalon ko jo rang-e-hina lagta hai

zindagi se to mujhe pyar bahut hai lekin
sirf jeene ko jiye jaana bura lagta hai
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #19 on: February 07, 2008, 09:47:38 AM »
very well said pooja, khwaish, roja, baadal
ab kuch meri taraf se bhi

uska andaaz zamaane se juda lagta hai
woh kisi aur ka hokar bhi mera lagta hai

pyar to karta hai zaahir nahin hone deta
woh kisi aur ka maqrooz-e-wafa lagta hai

itna mayoos ho jata hoon main raat ke sannate se
ki besabab dil ka dhadakna bhi bura lagta hai

khoon hota hai tammannao ka dil hi dil mein
dekhne waalon ko jo rang-e-hina lagta hai

zindagi se to mujhe pyar bahut hai lekin
sirf jeene ko jiye jaana bura lagta hai

BAHUT KHOOB...SACH MEIN BAHUT ACHA LIKHA HAI AAPN NE..
Logged
shahbaz
Guest
«Reply #20 on: February 07, 2008, 11:21:45 AM »
such a good word selection
seems like u have taken it from somewhere
if really u have written it
accept hearty congratulations from me
allah hafiz
Logged
Pooja
Guest
«Reply #21 on: February 07, 2008, 04:03:27 PM »
Umeed ka daaman chora nahi karte,
Pass aaye pyar to use lotaya nahi karte,

Yakeen kabhi bhi khoya nahi karte,
Jise chahte ho tum, us pe pyar ka izhaar kyo nahi karte!!!


Baadal

Sahi kaha baadal ji!!

Umeend ka daman hi kabhi chora na gaya
Mordta raha wo munh, humse hi khud ko morda na gaya

payar mere ko jo na samjh saka mere ansuo se bhi
kar ke phir izhaar, khud ko aor torra na gaya
Logged
Pooja
Guest
«Reply #22 on: February 07, 2008, 04:10:58 PM »
Yakin is dil ko ab khud per nahi
Tujhse to maine kiya koi gilla nahi

Dard hai ki wafa tu na nibha saka
Kaise kahu, ab tujh main wo baat nahi

Sakoon chahti hu khud ke liye tujhse
Najar, magar atti ab wo umeend nahi

Ehsaas ko shabd mil jaaye, ek yakin ke sath
Per teri ankhon mai ab wo aitbaar nahi


Tujhko khud par yakeen rakhna hoga!
Is waqt tujhe khud ko parakhna hoga!

Aayein mushkilein to be-saakhta takra ja un se,
is junoon ke aage to pahadon to bhi sarakna hoga!

Is bheed bhari duniya mein yoon hi kuchh nahi milta,
tujhe khud apne liye ek mutthi aasmaan pakadna hoga!

hote aaye hain khel mohabbat mein kai yahaan,
Is baar yahan par zamane ko jhukna hoga!
 

AKS ji apki shayri ke liye kaya kahu!! hamesha hi pard kar kuch sikhne ko mila hai!! bahoot acha likha hai apne!!

Yakin mera dugmugane laga hai
Socho mai mujhko chot pahuchane laga hai

Kar jaati hu yakin kyun ussi per baar baar
Jo phir se mujhe chot pahuchane laga hai

Dunia se takrana nahi hai mushkil magar
Pooja ka dil he usse takrane laga hai

Muhobbat-e-anjaam se na ghabraya yah dil
Per na jaane kyun, khud se hi ghabrane laga hai

Yakin mera dugmugane laga hai
Socho mai mujhko chot pahuchane laga hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #23 on: February 07, 2008, 04:17:23 PM »
very well said pooja, khwaish, roja, baadal
ab kuch meri taraf se bhi

uska andaaz zamaane se juda lagta hai
woh kisi aur ka hokar bhi mera lagta hai

pyar to karta hai zaahir nahin hone deta
woh kisi aur ka maqrooz-e-wafa lagta hai

itna mayoos ho jata hoon main raat ke sannate se
ki besabab dil ka dhadakna bhi bura lagta hai

khoon hota hai tammannao ka dil hi dil mein
dekhne waalon ko jo rang-e-hina lagta hai

zindagi se to mujhe pyar bahut hai lekin
sirf jeene ko jiye jaana bura lagta hai

bahoot khoob diya!! bahoot hi acha likha hai!! ek koshish meri taraf se apki kavita ko padne ke baad:

Na jaane kyun wo zamane sa hi mujhe laga
Mera hokar bhi, zamane ka hi mujhe laga

Pyar ho shayad mere liye bhi usmain kahi
Magar khud se uska pyar kahin jayada laga

Mayoos hokar zamane se jab bhi gai uske kareeb
Na jaane kyun aor mayoos mujhe mera jahan laga

Bhawanaye to kab ki mar chuki kahin
Sun kar usse to apna jeena bhi bekar laga!!

Na jaane kyun wo zamane sa hi mujhe laga
Mera hokar bhi, zamane ka hi mujhe laga...............
Logged
baadal102
Guest
«Reply #24 on: February 08, 2008, 10:50:18 AM »
Umeed ka daaman chora nahi karte,
Pass aaye pyar to use lotaya nahi karte,

Yakeen kabhi bhi khoya nahi karte,
Jise chahte ho tum, us pe pyar ka izhaar kyo nahi karte!!!


Baadal

Sahi kaha baadal ji!!

Umeend ka daman hi kabhi chora na gaya
Mordta raha wo munh, humse hi khud ko morda na gaya

payar mere ko jo na samjh saka mere ansuo se bhi
kar ke phir izhaar, khud ko aor torra na gaya


Samjha jo nahi tumhe,
Wo tere pyar ko kya samjhenga,

Aasuo se jo nahi jhuka,
Us ke dil mai pyar kya hoga,

Torro na khud ko aiso ke liye,
Bhula ke bita hua kal,Aaj ke liye tumhe jina hoga!!!!




Baadal

Logged
Pooja
Guest
«Reply #25 on: February 08, 2008, 04:46:37 PM »
bahoot sahi kaha baadal ji!!!

jeena kahte hai kise, yah samjhaye koi
is dard ke sath kaise kahan jaaye koi

tasveer ban kar jo her pal dil mai rahta hai
uss tasveer ko kaise aaina dikhaye koi

sath chalta hai mere her pal wo ek khayal ki tarah
apne hi khayalo se bhag kar kaha jaaye koi

milan hota hai her pal ussi se sawalo jawabo main
is kash-m-kash ko kaise mitaye koi!!!
Logged
sahood
Guest
«Reply #26 on: February 09, 2008, 05:59:08 AM »
very nice pooja....everyone know taht u r a good shayar....
Logged
tinny23
Guest
«Reply #27 on: February 09, 2008, 01:53:34 PM »
such me yahi hakikat he aur yehi fasana!!!!!!!!!!!
shabad mile jaye to bhi unse kese samjhaye,une shabdo ka eshsase kaha se laye!1!!!!!!!!
Logged
ahujagirish
Guest
«Reply #28 on: February 11, 2008, 07:33:35 AM »
Aapki shayari mujhe bahut acchhi lagi!!!!!!!!
 thank you pooja. aapne mere zakhm ko aur gehra kar diya!!!!!
Logged
awahid2020
Guest
«Reply #29 on: February 13, 2008, 09:31:10 AM »
KItni achi shaayari kari aap sabne.

Mein bhi kuch kehna chahta hoon.
Mein jaanta hoon achi nahi hogi, par meri ye pehli koshish he.

""Socha humne us din jaakar haal-e-dil bataa dein aapko,
Hame maalom tha aap hamaare haal-e-dil sunenge.

Bas ek choti sa patthar aaya raah mein,
Hum uthe, sambhle, phir tumhari taraf chal diye,

Par der ho gayi, aap kisi aur ke saath jaa rahe the,
Phir bhi aapne palat kar dekha,
hum tumhara haath pakadne hi waale the par tabhi,

PHIR WOHI KAMBAKHT PATTHAR AA GAYA.
AUR HUM AAJ TAK HAAL-E-Dil, DIL MEIN RAKHE REH GAYE.

BAAD MEIN PATA CHALA, AAP BHI BATAANA CHAH RAHE THE""  angry1
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 7
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 08:49:44 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer