kyun hum-tum nahi milte

by Pooja on February 04, 2008, 06:13:51 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7
Print
Author  (Read 7701 times)
Pooja
Guest
«Reply #30 on: February 13, 2008, 04:31:39 PM »
shukaria sahood and Tinny ji.....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Manzil Milte Milte Reh Gai by Devdas_online in Shayeri for Dard -e- Bewafai
lekin lafz nahi milte by only aks in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Kharidaar nahi milte by bekarar in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
vo log nahi milte by EK LAMHA HOON MAIN in Share:Love Poetry
Hum Jaise Aashiq Nahi Milte...........Touhid by Mohammad Touhid in Shayri for Khumar -e- Ishq
Pooja
Guest
«Reply #31 on: February 13, 2008, 04:34:30 PM »
Aapki shayari mujhe bahut acchhi lagi!!!!!!!!
 thank you pooja. aapne mere zakhm ko aur gehra kar diya!!!!!

Kaya kahu Kaise kahu, shabdo se anjaan hu
Dukh gaya mujhse kisi ka dil, such mano preshan hu

Likhati hu apne dil ki, her ek aor dil se anjaan hu
Ho sake to kar dena maaf, dard se nahi main anjaan hu!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #32 on: February 13, 2008, 04:35:21 PM »
KItni achi shaayari kari aap sabne.

Mein bhi kuch kehna chahta hoon.
Mein jaanta hoon achi nahi hogi, par meri ye pehli koshish he.

""Socha humne us din jaakar haal-e-dil bataa dein aapko,
Hame maalom tha aap hamaare haal-e-dil sunenge.

Bas ek choti sa patthar aaya raah mein,
Hum uthe, sambhle, phir tumhari taraf chal diye,

Par der ho gayi, aap kisi aur ke saath jaa rahe the,
Phir bhi aapne palat kar dekha,
hum tumhara haath pakadne hi waale the par tabhi,

PHIR WOHI KAMBAKHT PATTHAR AA GAYA.
AUR HUM AAJ TAK HAAL-E-Dil, DIL MEIN RAKHE REH GAYE.

BAAD MEIN PATA CHALA, AAP BHI BATAANA CHAH RAHE THE""  angry1


Nice try awaid ji!! Apka yoindia mai sawagat hai!!

Na jaane kyun chlate chalte sath bichard jaata hai
Raah rahti hai wahi, humraah bichard jaata hai

Waqat samjhata hai phir kaya rah gai thi kami
Per tab tak dekho, waqat nikal jaata hai

Hai pyar to bard kar, bata de usko
Hai kaya dil mai tere, yah samjha de uako

Hai agar pyar tera to wapis lout ayega
Nahi to jaane de, warna umarbhar dhoka khayega!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #33 on: February 13, 2008, 07:44:47 PM »
HASRAT DEKHIYE PARWAANE KI JO
GUMNAAM HOKAR BHI JALE JAATE HAI

ZIDD DEKHIYE MUSAFIR KI
JO TOOFANO MEIN BHI CHALE JAATE HAI...

BERUKHI DEKHIYE MERE SANAM KI
HUMSE ROOTH KE WOH SABSE MILE JAATE HAI...

HUM-TUM KABHI MIL NAHI SAKTE
YEH JAANTE HAI HUM,
ISLIYE APNE AANSU PIYE JAATE HAI...

MOHABBAT DEKHIYE 'KHWAISH" KI
SAB JAANTE HAI PHIR BHI KAMBAKT YEH JIYE JAATE HAI....

Logged
Pooja
Guest
«Reply #34 on: February 13, 2008, 07:53:28 PM »
Parwane bane hai jalne ko jal jayege
Insaan bataye wo kis had tak gir jayege

Zidd hai musafir ki sirf chalte jaana
Manjil koi puche to pata nahi , kis manjil wo jayege

Berukhi sanam se dil kyun unka jalane laga
Baat aise kahin, jaise bada wo manayege

Milan kahte hai kisko koi to samjha de hume
Dil mai basa hai jo, wo dil mai se kaha jayege

Mohobaat dekhin nahi kabhi kisi ne Pooja ki
Tanha andhiaro mai hi ek din goom ho jayege!!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #35 on: February 13, 2008, 08:06:53 PM »
AB HUMEIN PYAAR PAR KOI VISHVAAS NAHI HAI
KEHDO JAAKAR SAMUNDAR SE BHI
AB HUMEIN PYAAS NAHI HAI....

KUCH YUH MUKAAM AAYE THE MERI ZINDAGI MEIN
KE GHAM KE TUFAAN MEIN  BIKHAR GAYI THI HASTI MERI
GHAM ITNE SAHE KE AB KHUSHIYON KA BHI EHSAAS NAHI HAI...

EK WAQT THA JAB AAPKE PYAAR KO DUNIYA SE CHUPA THA
AAPKO LOGON KI NAZAR SE BACHATA THA PAR
AB DIL MEIN CHUPA  KOI RAAZ NAHI HAI....

LAB SUKH GAYE AANSU BAHA-BAHA KAR
PAR PHIR BHI MUJHE PYAAS NAHI HAI,
ZINDAGI PAR KOI VBISHWAAS NAHI HAI....

Logged
Pooja
Guest
«Reply #36 on: February 13, 2008, 08:15:40 PM »
Vishwaas kahte hai jise, yah khud ko ek dhoka hai
Samunder bhi kaya jaane, kab usne apni lahro ko roka hai

Mukaam zindagi ke, samjhayege haqiqat zindagi ki
Humko to yahi samjh aaya, zindagi ek samjhota hai

Bahoot chaha dil se jise, wo ansuo ki sogat de gaya
Phir dil ne hi samjhaya, kyun aise ke liye tu rota hai

Lab per ahh, dil mai phir bhi ek tadap rahti hai
Shayad pyar karne walo ke sath aisa hi hota hai
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #37 on: February 13, 2008, 08:32:18 PM »
JIS PAL KO TUM DIL SE BOOLA BAITI HO "POOJA"
WOH PAL AAJ BHI TUJHE YAAD KARTA HAI....

NA SAMJHO KI ZINDAGI KE PAAS AAPKE LIYE KUCH NAHI
ZARA SOCH KAR DEKHNA,BIN BAAT KE BAADAL BHI KYA BARSAAT KARTA HAI??

JISSE TUM BHOOL KE JEENA CHAAHTI HO,
WOH AAJ BHI KHUDA SE TERI SALAMATI KI FARIYAAD KARTA HAI...

USS SHAKS SE BAHUT ASAANI SE AAPNE NAATA TOD DIYA
WOH HAR KISI SE AAJ BHI TERI HI BAAT KARTA HAI....

MAIN JAANTA HOON WOH SHAKS GUNAAH KARTA HAI
WOH KHUDA SE PEHLE TUJHE YAAD KARTA HAI,
KYA KARE.....WOH SHAKS AAJ BHI TUJHSE PYAAR KARTA HAI......



Logged
Pooja
Guest
«Reply #38 on: February 13, 2008, 08:42:11 PM »
Aggaz hai kaya iska anjaam kaya hoga
Jisko janati nahi, kyun sochu uska naam kaya hoga

Ishaq hai ibadat, na kheil isse insaan
Jo hua hi nahi to wo pal kaya hoga

Zindagi ke pass hai bahoot kuch shayad mere liye
Kheil raha hai jo tu kheil, soch iska anjaam kaya hoga

Barsaat ki boondo se mai wakif hu
Jo barse hi nahi baadal, us mosam ka kaya hoga

Bhulu kise aor kise main yaad rakhun
Samne akar kar baat, chup ke rahne se kaya hoga

Khwab hai khayal hai ya hai haqiqat ka naata
Baato se aise dil behlaane se kaya hoga

Hai Gunah to rok le khud ko
Aise pyar ko badnaam karne se kaya hoga!!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #39 on: February 13, 2008, 08:53:27 PM »
KYA GHAM HAI KYA KHUSHI
AB KUCH MALOOM NAHI....

WOH SHAKS APNA HAI YA AJNABI
AB KUCH MALOOM NAHI....

WOH DARD MEIN KHUD BHI ROTI HAI
YA SIRF MUJHE AZMAATI  HAI,
AB KUCH MALOOM NAHI...

WOH MUJHE APNI YAAD DILAATI HAI
YA KHUD YAAD AATI HAI
AB KUCH MALOOM NAHI...

JIS KE BINA EK PAL NAHI GUZAR PAAYA
KYA USKE BINA ZINDAGI KABHI GUZAR PAAYEGI

AB KUCH MALOOM NAHI....

Logged
Pooja
Guest
«Reply #40 on: February 13, 2008, 09:05:04 PM »
beautifull..... wah bahoot khoob.. ek ek word dil ko chu gaya... Too Good Khwaish ji!!!

Waqat kab kaya dikha jaaye yah maloom nahi
Hai kis ke dil mai kaya chupa yah maloom nahi

Chah kar bhi tujhse hum door na ho paaye
Wajah jo puche dil, hume maloom nahi

Ladte hai tujhse bahano se hum roj roj
Wajah kaya hai yah hume maloom nahi

Dard kyun mujhko tere liye hota hai
Dil se pucha, bola mujhe maloom nahi

Ajnabi se kab ban gaya koi itna apna
Armaano se pucha, unhe maloom nahi

Zindagi bitani hai, bin unke humne
Jab bataya dil ko, wo bola maloom nahi

Waqat kab kaya dikha jaaye yah maloom nahi
Hai kis ke dil mai kaya chupa yah maloom nahi
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #41 on: February 13, 2008, 09:24:15 PM »
BAHUT HI KHOOB..MERI CHOTI SI BAAT KA AAPNE BAHUT KHOOB JAWAAB DIYA..

KUCH KHWAAB AISE BHI HOTE HAI
JINHE HAQEEQAT KA DARR NAHI HOTA..

WOH TO JEETE HAI APNI ZINDAGI APNE HISAAB SE
UNHE SACHAI KYA HAI??
ISS BAAT KA ASAR NAHI HOTA...

KUCH KHWAISHE AISI HOTI HAI
JO JAANTI HAI MAIN KABHI MUKAMBAL NAHI HONGI,
PAR PHIR BHI DIL KAB KHWAISHE RAKHTA HAI
ISME DIL KA KOI KASOOR NAHI HOTA...

JO INSAAN TUMHARE BAHUT KAREEB HAI
WOH DOORIYON MEIN BHI KABHI DOOR NAHI HOTA

AISI KOI MOHAABAT HAI TO HUME BHI BATAO
JAHAN  AASHIQ KA DIL CHOOR-CHOOR NAHI HOTA....

KUCH FAISLE AISE HOTE HAI JO INSAAN NAHI KAR PAATA
AGAR KAR PAATA TO INSAAN KA DUSRA NAAM MAJBOOR NAHI HOTA....

Logged
Pooja
Guest
«Reply #42 on: February 13, 2008, 09:34:18 PM »
Her khwab kabhi na kabhi haqiqat ban.na chahta hai
Na sawikaare magar, such to yahi batata hai

Jeete hai magar khwab bas apne hi khayalo main
Koi bandhan na unhe kabhi rok paata hai

Dil janata hai ki khwaish yah shayad na ho poori
Magar khud se yah khud kahne mai ghabrata hai

Jo hai dil ke kareeb, bahoot kareeb dil usko paata hai
Jameen ki doori ka phir koi antar nahi rah jaata hai

Hai payar tujhe to kaise tu phir ghabrata hai
Irada ho to asmaan main bhi ched ho jaata hai

Fasle hote hai sirf soch mai insaan ki
Badaya jo ek kadam, rasta wahin khud-b-khud ban jaata hai
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #43 on: February 13, 2008, 09:42:43 PM »
DEKH KAR HAR EK RANG TAQDEER KE
KHUD KO KADAM BADHANE SE ROK LETA HOON

SHIKAYATE WAHA KARO JAHAN SUNWAI HO
JAHAN SHIKAYAT KA JAWAAB SHIKWA HO
WAHAN CHUP HO LETA HOON...

KHWAABO KI DUNIYA HAQEEQAT SE BAHUT HASEEN HAI
IS LIYE PALKON KO BAND KAR SO LETA HOON....

MUJHE KOI SHAUK NAHI DARD KI NUMAYISH KA
IS LIYE TANHAI MEIN JEE BHAR KE RO LETA HOON....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #44 on: February 13, 2008, 09:59:15 PM »
Kudrat se ladne ki kaya tujhmain deewangi nahi
Na jaane kyun sun kar mujhe heraani nahi

Pyar hai to shikayat kaise
Ya kah do ki shikayat nahi

So lane se waqat nikal jayega
Magar haqiqat ki yah baat nahi

Dard koi mangta nahi hai dil se
Mil jaaye jo bin mange, to koi chara nahi.....
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 01:23:06 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer