kyun hum-tum nahi milte

by Pooja on February 04, 2008, 06:13:51 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7
Print
Author  (Read 7741 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #45 on: February 13, 2008, 10:07:24 PM »
WAQT SE KABHI  KOI LADH NAHI PAAYA EH DOST
WAQT TO SAB KO JEENA SIKHATI HAI
KHWAAB TOOT BHI JAAYE AANKHON MEIN
TO AANKH AANSUO KE SAATH MUSKURAATI HAI..

PHIR KEHTA HOON,SHIKAYAT WAHA KARO JAHAN SUNWAI HO
AAJ KI DUNIYA MEIN EH DOST SHIKAYAT KARO
TO DUNIYA AUR NAYE CHOT DE JAATI HAI...

JITNA  AKELEPAN SE MAIN DARTA HOON
UTNA HI TANHAI MUJHE AUR PAAS BULAATI HAI...


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Manzil Milte Milte Reh Gai by Devdas_online in Shayeri for Dard -e- Bewafai
lekin lafz nahi milte by only aks in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Kharidaar nahi milte by bekarar in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
vo log nahi milte by EK LAMHA HOON MAIN in Share:Love Poetry
Hum Jaise Aashiq Nahi Milte...........Touhid by Mohammad Touhid in Shayri for Khumar -e- Ishq
Pooja
Guest
«Reply #46 on: February 13, 2008, 10:34:36 PM »
Waqat se lad kar jo pa jaaye manjil
Wo hi to deewana hota hai!!!

Khawab toot jaaye kitani bhi baar
Dekhna wahin khwab suhana hota hai

Kahati hu phir tumko, shikayat apni kah do
Ban jaaye jo nasoor, wp zakham sehna mushkil hota hai

Jitna chaho ho jaao akele
Yah to bas khud ko samjhana hota hai
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #47 on: February 14, 2008, 06:39:50 PM »
KHUD HI SAWAAL KARTE HO
KHUD HI JAWAAB MEIN KUCH BOLE JAATE HO...

SAB SAMAJTHA HAI AAPKA DIL
PHIR KYON ISSE YUH SAMJHAAYE JAA RAHE HO??

JISSE AAPKO MANANA CHAHIYE
USSE TO AAP MANATE NAHI,
AAKHIR KISSE PHIR AAP
YUH MANAYE JAA RAHE HO??

KHUD KEHTE HO HUM-TUM NAHI MIL SAKTE
PHIR BHI DIL MEIN UMEED KI CHIRAAG JALAYE JAA RAHE HO???

WAH "POOJA" AAP KE SABR KI DAAT DETA HOON
VEERAN BASTI MEIN BHI KHWAISHE KE PHOOL
 SAJAYE JAA RAHE HO....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #48 on: February 14, 2008, 06:48:11 PM »
Abhi khud ke sawalo-jawabo per hi ek kavita post ki hai.. aor apki yah kavita padne ko mili…

Sawalo jawabo ki kash-m-kash ne hi to maara hai
Aitbaar nahi, phir bhi umeend ka toota nahi sahara hai

Sab samjh kar bhi yah nadan dil nahi samjhata
Pyar ka thappar, jab ki pada, bada karara hai

Mnana hai kise aor kyun yah to main bhi janati nahi
Per ahsaas mai kahin, kisi ahsaas ko sawara hai

Mil nahi sakte kabhi hum-tum yah dil janta hai
Per is dil ko milan ka jhootha khayal bhi, bahoot payara hai

Sabar mere per to khud Pooja bhi deti hai ro
Per aaine mai dekh kar, hasna hi pooja ko gawara hai!!!! (Hope, app last do lines ka matlab samjh sake.. jis maine mai yah likhi gai hai)
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #49 on: February 14, 2008, 07:08:38 PM »
DEKHNA SAWAAL-JAWAAB MEIN HI KAHI REH JAAOGE
JO KABHI NAHI KEHNA CHAAHTE THE
EK AJNABI SE AAJ WOH KEH JAAOGE...

HUM JAANTE HAI,HUM BHI AAPKO AZMAATE HAI KAHIN
KAB TAK APNE DIL KI BAAT HUMSE CHUPA PAAOGE...

EHSAAS KA SHEHAR DOOR SE BAHUT SUHANA LAGTA HAI
PAR NAZDEEK AAKAR DEKHNA...
ISKE DARD SE AAP BHI DARR JAOGE...

HUM-TUM MILENGE KABHI,YEH AAS AAJ BHI RAKHTE HO
SOCHTA HOON,AAKHIR KAHAN JAAKE AAP SUKKON PAAOGE...

SABR WAHAN HOTA HAI JAHAN PYAAR KI KUCH UMEED BAAKI HO
BAS KARO AB YEH DARD KA SILSILA
"POOJA" KYA SOCH RAKHA HAI AAPNE??
APNE BAATE SE AAJ PHIR KISI KO RULAOGE???






Logged
Pooja
Guest
«Reply #50 on: February 14, 2008, 07:16:54 PM »
Janati hu sawalo-jawabo maihi umar bitaugi
Shayad issi kash-m-kash mai kuch palo ko dard bhool jaugi

Ajmaa lo mujhe jab bhi chaho tum dil se
Sabar ka daaman, main na kabhi chor paugi

Ehsaas ki nagari mai, roj subah sham, ashqo se milte hai
Her darr se ajmalo, her ek had paar kar jaugi

Milan ki aas ne hi jala rakha hai Pooja ka diya
Sakoon issi diye ki low se umar bhar paugi

Sabar, aitbaar, umeend jab sab dene lagte hai jawab
Dard ki nagari mai se phir kisi ahsaas ko khoj laugi

Sochegi kaya Pooja, in sab ahsaaso ke bich
Maaf karna, agar ajj phir mai ro jaugi.....
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #51 on: February 14, 2008, 07:35:16 PM »
AGAR SAWAAL-JAWAABO SE DARD KAM HOTA HAI
TO MUJHE BHI YEH DAWA ZARA BATAANA...

SABR KA DAAMAN BAHUT AZIZ HAI AAPKO
SAMAJ NAHI AAATA HUME..
AAKHIR KYA HAI AAPKO HUMSE CHUPANA....

KAB TAK CHUP PAAOGE AAP APNI KHUD KI PARCHAI SE
AAJ ZARA HUME BHI HAI AAPKO SAMJHANA...

NA LAGAO WAHA UMEED JAHA PE CHOT HI MILE
AISI BAATON PAR AAJ HASTA HAI ZAMAANA...

AAP ROYE AAJ TO KOI DEEWANA BHI ROYEGA
AAJ HUME BHI HAI KISI KO  YEH DIKHLAANA...






Logged
Pooja
Guest
«Reply #52 on: February 14, 2008, 07:48:51 PM »
Dard jab had se bad jaata hai, to khud samjhA jaata hai
Ban jaatahai kabhi dawa to kabhi zakhamo ko kurdein jaata hai

Sabar hi hai ab to kaise usse bhi jaane de
Apse nahi kuch bhi chupa, ab to yah najar atta hai

Parchai bhi chorr deti hai sath shikhar dophari main
Kaya iska matlab samjhau ya apko yah samjh atta hai

Laga chuke umeend ab jisne hansa ho hans lene do
Deewano ko bhi kabhi jamane ka samjhaya, samjh atta hai

Na jaane kyun, tere rone se ek pal ka sakoon mila mujhko
Agle hi pal, dard ka phir ek lava sisak jaata hai

Hai khamosh to khamosh hi rah jaane do Pooja ko
Uske her ek bol per na jaane kyun, jawalmukhi phat jaata hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #53 on: February 26, 2008, 05:16:18 PM »
Kisi bhi sawal ke jawab mai dard mit.ta nahi
Kyun wo mere dil ke aaine se mit,ta nahi

Sabar ka daman thama hai bade hi sabar se humne
Phir waqat ka pahiya, kyun jara sa bhi hilta nahi

Chup rahe hai khud hi khud se aaine main
Kyun yah dil trot kar ab bhi bikharta nahi

Her umeend per chot hit o kkhai hai
Phir bhi umeend ka diya hai ki bujhata nahi

Mere rone per na ansoo bahaye koi
Kyun ki is dil per kabhi kuch aor saj.ta nahi

Kisi bhi sawal ke jawab mai dard mit.ta nahi
Kyun wo mere dil ke aaine se mit,ta nahi !!!
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #54 on: February 27, 2008, 06:37:49 AM »
Kisi bhi sawal ke jawab mai dard mit.ta nahi
Kyun wo mere dil ke aaine se mit,ta nahi

Sabar ka daman thama hai bade hi sabar se humne
Phir waqat ka pahiya, kyun jara sa bhi hilta nahi

Chup rahe hai khud hi khud se aaine main
Kyun yah dil trot kar ab bhi bikharta nahi

Her umeend per chot hit o kkhai hai
Phir bhi umeend ka diya hai ki bujhata nahi

Mere rone per na ansoo bahaye koi
Kyun ki is dil per kabhi kuch aor saj.ta nahi

Kisi bhi sawal ke jawab mai dard mit.ta nahi
Kyun wo mere dil ke aaine se mit,ta nahi !!!



waah pooja ji very nice !!! bahut badhiya likha hai aapne!!!

Mera dard
ab Mujh se hi
Hord lene laga hai!
Par kate pakshi ki bhaanti,
Bilakhta to hoon,
kintu ander hi ander,Jaanboojhkar,
Sab kuchh piye jaa raha hoon!
Kam se kam yeh ahsaas to hai
ki Jiye Jaa Raha hoon!!
Logged
Roja
Guest
«Reply #55 on: February 27, 2008, 07:03:56 AM »
AGAR SAWAAL-JAWAABO SE DARD KAM HOTA HAI
TO MUJHE BHI YEH DAWA ZARA BATAANA...

SABR KA DAAMAN BAHUT AZIZ HAI AAPKO
SAMAJ NAHI AAATA HUME..
AAKHIR KYA HAI AAPKO HUMSE CHUPANA....

KAB TAK CHUP PAAOGE AAP APNI KHUD KI PARCHAI SE
AAJ ZARA HUME BHI HAI AAPKO SAMJHANA...

NA LAGAO WAHA UMEED JAHA PE CHOT HI MILE
AISI BAATON PAR AAJ HASTA HAI ZAMAANA...

AAP ROYE AAJ TO KOI DEEWANA BHI ROYEGA
AAJ HUME BHI HAI KISI KO  YEH DIKHLAANA...


Wah kya khoob likha hai ... Khwaish ji...
Logged
Roja
Guest
«Reply #56 on: February 27, 2008, 07:05:51 AM »
Waqat se lad kar jo pa jaaye manjil
Wo hi to deewana hota hai!!!

Khawab toot jaaye kitani bhi baar
Dekhna wahin khwab suhana hota hai

Kahati hu phir tumko, shikayat apni kah do
Ban jaaye jo nasoor, wp zakham sehna mushkil hota hai

Jitna chaho ho jaao akele
Yah to bas khud ko samjhana hota hai


Very simple... and lovely wordings... Daad kabul kariye didi. bahut accha likha hai aapne.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #57 on: February 27, 2008, 07:13:32 PM »
thanx a lot roja for appreciating..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #58 on: February 27, 2008, 07:26:08 PM »
Woh Shaks aur kahin nahi tere dil mein rehta tha
teri har khushi mein hasta,tere har Gham par rota tha...

Shayad uss shaks ki baatein ab kuch yaad na ho,
jab ki tujhse woh kal hi to bichda tha....

Mashroof hai har insaan yaha,
kaun rakh paata hai hisaab aate jaate pal ka,
kya hua agar woh pal tere nazron ke saamne se guzra tha...

Darta hoon shikayat karne se kho na doon uss shaks ko,
phir sochta hoon usse kya khona jo kabhi mila hi na tha....

usse kabhi kisi aur ke saath ki  talab  na thi,
tere waqt ko apne hi waqt ka hissa samajtha tha...

CHALO, AUR KUCH NAHI TO EK CHOTI SI UMEED TO HAI DIL MEIN,
MUJHE YAAD KAR WOH KABHI TO KAHENGE....
"CHAAHE KUCH BHI HO,"KHWAISH" INSAAN TO ACHA THA..."
Logged
Pooja
Guest
«Reply #59 on: February 27, 2008, 09:59:56 PM »
Rahta hai wo dil main kab inkaar hai
Magar nahi uske dil mai payar, yahi takraar hai

Uski baaton mai dekhna chahu khud ko jab bhi main
Her ek baat main uske na jaane kitne sawal hai

Ate hai pal.. aa aa kar jaate hi jayage
Jee rahe hai zindagi aise, jaise do dhari talwaar hai

Saath hai kaya yah to samjhaye koi mujhko
Mere khayalo mai to her dum wo sath hai

Milta nahi hai wo job hi chaha usse
Shayad yahi shikayat use bhi mujhse baar baar hai

Rahta hai wo dil main kab inkaar hai
Magar nahi uske dil mai payar, yahi takraar hai
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 03:43:57 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.182 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer